Lūqā 13
taubā karo varnā halāk ho jāoge
1us vaqt kuchh log īsā ke pās pahuṅche. unhoṅ ne use galīl ke kuchh logoṅ ke bāre meṅ batāyā jinheṅ pīlātus ne us vaqt qatl karvāyā thā jab vah bait-ul-muqaddas meṅ qurbāniyāṅ pesh kar rahe the. yūṅ un kā ḵẖūn qurbāniyoṅ ke ḵẖūn ke sāth milāyā gayā thā. 2īsā ne yah sun kar pūchhā, “kyā tumhāre ḵẖayāl meṅ yah log galīl ke bāqī logoṅ se ziyādā gunāhgār the ki inheṅ itnā dukh uṭhānā paṛā? 3hargiz nahīṅ! balki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar tum taubā na karo to tum bhī isī tarah tabāh ho jāoge. 4yā un 18 afrād ke bāre meṅ tumhārā kyā ḵẖayāl hai jo mar gae jab shiloḵẖ kā burj un par girā? kyā vah yarūshalam ke bāqī bāshindoṅ kī nisbat ziyādā gunāhgār the? 5hargiz nahīṅ! maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar tum taubā na karo to tum bhī tabāh ho jāoge.”
bephal anjīr kā daraḵẖt
6phir īsā ne unheṅ yah tamsīl sunāī, “kisī ne apne bāġ meṅ anjīr kā daraḵẖt lagāyā. jab vah us kā phal toṛne ke liye āyā to koī phal nahīṅ thā. 7yah dekh kar us ne mālī se kahā, ‘maiṅ tīn sāl se is kā phal toṛne ātā hūṅ, lekin āj tak kuchh bhī nahīṅ milā. ise kāṭ ḍāl. yah zamīn kī tāqat kyūṅ ḵẖatm kare?’ 8lekin mālī ne kahā, ‘janāb, ise ek sāl aur rahane deṅ. maiṅ is ke ird-gird goḍī karke khād ḍālūṅgā. 9phir agar yah agle sāl phal lāyā to ṭhīk, varnā ise kaṭvā ḍālnā’.”
sabat ke din kubṛī aurat kī shifā
10sabat ke din īsā kisī ibādatḵẖāne meṅ tālīm de rahā thā. 11vahāṅ ek aurat thī jo 18 sāl se badruh ke bāis bīmār thī. vah kubṛī ho gaī thī aur sīdhī khaṛī hone ke bilkul qābil na thī. 12jab īsā ne use dekhā to pukār kar kahā, “ai aurat, tū apnī bīmārī se chhūṭ gaī hai!” 13us ne apne hāth us par rakhe to vah fauran sīdhī khaṛī ho kar allāh kī tamjīd karne lagī.
14lekin ibādatḵẖāne kā rāhanumā nārāz huā kyūṅki īsā ne sabat ke din shifā dī thī. us ne logoṅ se kahā, “hafte ke chhah din kām karne ke liye hote haiṅ. is liye itwār se le kar jumae tak shifā pāne ke liye āo, na ki sabat ke din.”
15ḵẖudāvand ne javāb meṅ us se kahā, “tum kitne riyākār ho! kyā tum meṅ se har koī sabat ke din apne bail yā gadhe ko khol kar use thān se bāhar nahīṅ le jātā tāki use pānī pilāe? 16ab is aurat ko dekho jo ibrāhīm kī beṭī hai aur jo 18 sāl se iblīs ke baṅdhan meṅ thī. jab tum sabat ke din apne jānvaroṅ kī madad karte ho to kyā yah ṭhīk nahīṅ ki aurat ko is baṅdhan se rihāī dilāī jātī, chāhe yah kām sabat ke din hī kyūṅ na kiyā jāe?” 17īsā ke is javāb se us ke muḵẖālif sharmindā ho gae. lekin ām log us ke in tamām shāndār kāmoṅ se ḵẖush hue.
rāī ke dāne kī tamsīl
18īsā ne kahā, “allāh kī bādshāhī kis chīz kī mānind hai? maiṅ is kā muvāznā kis se karūṅ? 19vah rāī ke ek dāne kī mānind hai jo kisī ne apne bāġ meṅ bo diyā. baṛhte baṛhte vah daraḵẖt sā ban gayā aur parindoṅ ne us kī shāḵẖoṅ meṅ apne ghoṅsle banā liye.”
ḵẖamīr kī misāl
20us ne dubārā pūchhā, “allāh kī bādshāhī kā kis chīz se muvāznā karūṅ? 21vah us ḵẖamīr kī mānind hai jo kisī aurat ne le kar taqrīban 27 kilogrām āṭe meṅ milā diyā. go vah us meṅ chhup gayā to bhī hote hote pūre guṅdhe hue āṭe ko ḵẖamīr kar gayā.”
taṅg darvāzā
22īsā tālīm dete dete muḵẖtalif shaharoṅ aur dīhātoṅ meṅ se guzrā. ab us kā ruḵẖ yarūshalam hī kī taraf thā. 23itne meṅ kisī ne us se pūchhā, “ḵẖudāvand, kyā kam logoṅ ko najāt milegī?”
us ne javāb diyā, 24“taṅg darvāze meṅ se dāḵẖil hone kī sirtoṛ koshish karo. kyūṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki bahut se log andar jāne kī koshish kareṅge, lekin befāidā. 25ek vaqt āegā ki ghar kā mālik uṭh kar darvāzā band kar degā. phir tum bāhar khaṛe rahoge aur khaṭkhaṭāte khaṭkhaṭāte iltimās karoge, ‘ḵẖudāvand, hamāre liye darvāzā khol deṅ.’ lekin vah javāb degā, ‘na maiṅ tum ko jāntā hūṅ, na yah ki tum kahāṅ ke ho.’ 26phir tum kahoge, ‘ham ne to āp ke sāmne hī khāyā aur piyā aur āp hī hamārī saṛkoṅ par tālīm dete rahe.’ 27lekin vah javāb degā, ‘na maiṅ tum ko jāntā hūṅ, na yah ki tum kahāṅ ke ho. ai tamām badkāro, mujh se dūr ho jāo!’ 28vahāṅ tum rote aur dāṅt pīste rahoge. kyūṅki tum dekhoge ki ibrāhīm, ishāq, yāqūb aur tamām nabī allāh kī bādshāhī meṅ haiṅ jabki tum ko nikāl diyā gayā hai. 29aur log mashriq, maġrib, shimāl aur junūb se ā kar allāh kī bādshāhī kī ziyāfat meṅ sharīk hoṅge. 30us vaqt kuchh aise hoṅge jo pahale āḵẖir the, lekin ab avval hoṅge. aur kuchh aise bhī hoṅge jo pahale avval the, lekin ab āḵẖir hoṅge.”
yarūshalam par afsos
31us vaqt kuchh farīsī īsā ke pās ā kar us se kahane lage, “is maqām ko chhoṛ kar kahīṅ aur chale jāeṅ, kyūṅki herodes āp ko qatl karne kā irādā rakhtā hai.”
32īsā ne javāb diyā, “jāo, us lomṛī ko batā do, ‘āj aur kal maiṅ badruheṅ nikāltā aur marīzoṅ ko shifā detā rahūṅgā. phir tīsre din maiṅ pāyā-e-takmīl ko pahuṅchūṅgā.’ 33is liye lāzim hai ki maiṅ āj, kal aur parsoṅ āge chaltā rahūṅ. kyūṅki mumkin nahīṅ ki koī nabī yarūshalam se bāhar halāk ho.
34hāy yarūshalam, yarūshalam! tū jo nabiyoṅ ko qatl kartī aur apne pās bheje hue paiġambaroṅ ko saṅgasār kartī hai. maiṅ ne kitnī hī bār terī aulād ko jamā karnā chāhā, bilkul usī tarah jis tarah murġī apne bacchoṅ ko apne paroṅ tale jamā karke mahfūz kar letī hai. lekin tū ne na chāhā. 35ab tere ghar ko vīrān-o-sunsān chhoṛā jāegā. aur maiṅ tum ko batātā hūṅ, tum mujhe us vaqt tak dubārā nahīṅ dekhoge jab tak tum na kaho ki mubārak hai vah jo rabb ke nām se ātā hai.”