Lūqā 4
īsā ko āzmāyā jātā hai
1īsā daryā-e-yardan se vāpas āyā. vah rūh-ul-quds se māmūr thā jis ne use registān meṅ lā kar us kī rāhanumāī kī. 2vahāṅ use chālīs din tak iblīs se āzmāyā gayā. is pūre arse meṅ us ne kuchh na khāyā. āḵẖirkār use bhūk lagī.
3phir iblīs ne us se kahā, “agar tū allāh kā farzand hai to is patthar ko hukm de ki roṭī ban jāe.”
4lekin īsā ne inkār karke kahā, “hargiz nahīṅ, kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki insān kī zindagī sirf roṭī par munhasir nahīṅ hotī.”
5is par iblīs ne use kisī buland jagah par le jā kar ek lamhe meṅ duniyā ke tamām mamālik dikhāe. 6vah bolā, “maiṅ tujhe in mamālik kī shān-o-shaukat aur in par tamām iḵẖtiyār dūṅgā. kyūṅki yah mere sapurd kie gae haiṅ aur jise chāhūṅ de saktā hūṅ. 7lihāzā yah sab kuchh terā hī hogā. shart yah hai ki tū mujhe sijdā kare.”
8lekin īsā ne javāb diyā, “hargiz nahīṅ, kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ yūṅ likhā hai, ‘rabb apne allāh ko sijdā kar aur sirf usī kī ibādat kar’.”
9phir iblīs ne use yarūshalam le jā kar bait-ul-muqaddas kī sab se ūṅchī jagah par khaṛā kiyā aur kahā, “agar tū allāh kā farzand hai to yahāṅ se chhalāṅg lagā de. 10kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘vah apne farishtoṅ ko terī hifāzat karne kā hukm degā, 11aur vah tujhe apne hāthoṅ par uṭhā leṅge tāki tere pāoṅ ko patthar se ṭhes na lage’.”
12lekin īsā ne tīsrī bār inkār kiyā aur kahā, “kalām-e-muqaddas yah bhī farmātā hai, ‘rabb apne allāh ko na āzmānā’.”
13in āzmāishoṅ ke bād iblīs ne īsā ko kuchh der ke liye chhoṛ diyā.
ḵẖidmat kā āġāz
14phir īsā vāpas galīl meṅ āyā. us meṅ rūh-ul-quds kī quvvat thī, aur us kī shuharat us pūre ilāqe meṅ phail gaī. 15vahāṅ vah un ke ibādatḵẖānoṅ meṅ tālīm dene lagā, aur sab ne us kī tārīf kī.
īsā ko nāsrat meṅ radd kiyā jātā hai
16ek din vah nāsrat pahuṅchā jahāṅ vah parvān chaṛhā thā. vahāṅ bhī vah māmūl ke mutābiq sabat ke din maqāmī ibādatḵẖāne meṅ jā kar kalām-e-muqaddas meṅ se paṛhne ke liye khaṛā ho gayā. 17use yasāyāh nabī kī kitāb dī gaī to us ne tūmār ko khol kar yah havālā ḍhūṅḍ nikālā,
18“rabb kā rūh mujh par hai,
kyūṅki us ne mujhe tel se masah karke
ġarīboṅ ko ḵẖushḵẖabarī sunāne kā iḵẖtiyār diyā hai.
us ne mujhe yah elān karne ke liye bhejā hai ki
qaidiyoṅ ko rihāī milegī
aur aṅdhe dekheṅge.
us ne mujhe bhejā hai ki maiṅ kuchle huoṅ ko āzād karāūṅ
19aur rabb kī taraf se bahālī ke sāl kā elān karūṅ.”
20yah kah kar īsā ne tūmār ko lapeṭ kar ibādatḵẖāne ke mulāzim ko vāpas kar diyā aur baiṭh gayā. sārī jamāat kī āṅkheṅ us par lagī thīṅ. 21phir vah bol uṭhā, “āj allāh kā yah farmān tumhāre sunte hī pūrā ho gayā hai.”
22sab īsā ke haq meṅ bāteṅ karne lage. vah un purfazl bātoṅ par hairatzadā the jo us ke muṅh se niklīṅ, aur vah kahane lage, “kyā yah yūsuf kā beṭā nahīṅ hai?”
23us ne un se kahā, “beshak tum mujhe yah kahāvat batāoge, ‘ai ḍākṭar, pahale apne āp kā ilāj kar.’ yānī sunne meṅ āyā hai ki āp ne kafarnahūm meṅ mojize kie haiṅ. ab aise mojize yahāṅ apne vatnī shahar meṅ bhī dikhāeṅ. 24lekin maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki koī bhī nabī apne vatnī shahar meṅ maqbūl nahīṅ hotā.
25yah haqīqat hai ki ilyās nabī ke zamāne meṅ isrāīl meṅ bahut sī zarūratmand bevāeṅ thīṅ, us vaqt jab sāḍhe tīn sāl tak bārish na huī aur pūre mulk meṅ saḵẖt kāl paṛā. 26is ke bāvujūd ilyās ko un meṅ se kisī ke pās nahīṅ bhejā gayā balki ek ġairyahūdī bevā ke pās jo saidā ke shahar sārpat meṅ rahatī thī. 27isī tarah ilīshā nabī ke zamāne meṅ isrāīl meṅ koṛh ke bahut se marīz the. lekin un meṅ se kisī ko shifā na milī balki sirf nāmān ko jo mulk-e-shām kā shaharī thā.”
28jab ibādatḵẖāne meṅ jamā logoṅ ne yah bāteṅ sunīṅ to vah baṛe taish meṅ ā gae. 29vah uṭhe aur use shahar se nikāl kar us pahāṛī ke kināre le gae jis par shahar ko tāmīr kiyā gayā thā. vahāṅ se vah use nīche girānā chāhate the, 30lekin īsā un meṅ se guzar kar vahāṅ se chalā gayā.
ādmī kā badruh kī girift se rihāī pānā
31is ke bād vah galīl ke shahar kafarnahūm ko gayā aur sabat ke din ibādatḵẖāne meṅ logoṅ ko sikhāne lagā. 32vah us kī tālīm sun kar hakkā-bakkā rah gae, kyūṅki vah iḵẖtiyār ke sāth tālīm detā thā. 33ibādatḵẖāne meṅ ek ādmī thā jo kisī nāpāk rūh ke qabze meṅ thā. ab vah chīḵẖ chīḵẖ kar bolne lagā, 34“are nāsrat ke īsā, hamārā āp ke sāth kyā vāstā hai? kyā āp hameṅ halāk karne āe haiṅ? maiṅ to jāntā hūṅ ki āp kaun haiṅ, āp allāh ke quddūs haiṅ.”
35īsā ne use ḍāṅṭ kar kahā, “ḵẖāmosh! ādmī meṅ se nikal jā!” is par badruh ādmī ko jamāat ke bīch meṅ farsh par paṭak kar us meṅ se nikal gaī. lekin vah ādmī zaḵẖmī na huā.
36tamām log ghabrā gae aur ek dūsre se kahane lage, “us ādmī ke alfāz meṅ kyā iḵẖtiyār aur quvvat hai ki badruheṅ us kā hukm māntī aur us ke kahane par nikal jātī haiṅ?” 37aur īsā ke bāre meṅ charchā us pūre ilāqe meṅ phail gayā.
bahut se marīzoṅ kī shifāyābī
38phir īsā ibādatḵẖāne ko chhoṛ kar shamāūn ke ghar gayā. vahāṅ shamāūn kī sās shadīd buḵẖār meṅ mubtalā thī. unhoṅ ne īsā se guzārish kī ki vah us kī madad kare. 39us ne us ke sirahāne khaṛe ho kar buḵẖār ko ḍāṅṭā to vah utar gayā aur shamāūn kī sās usī vaqt uṭh kar un kī ḵẖidmat karne lagī.
40jab din ḍhal gayā to sab maqāmī log apne marīzoṅ ko īsā ke pās lāe. ḵẖwāh un kī bīmāriyāṅ kuchh bhī kyūṅ na thīṅ, us ne har ek par apne hāth rakh kar use shifā dī. 41bahutoṅ meṅ badruheṅ bhī thīṅ jinhoṅ ne nikalte vaqt chillā kar kahā, “tū allāh kā farzand hai.” lekin chūṅki vah jāntī thīṅ ki vah masīh hai is liye us ne unheṅ ḍāṅṭ kar bolne na diyā.
ḵẖushḵẖabarī har ek ke liye hai
42jab aglā din chaṛhā to īsā shahar se nikal kar kisī vīrān jagah chalā gayā. lekin hujūm use ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte āḵẖirkār us ke pās pahuṅchā. log use apne pās se jāne nahīṅ denā chāhate the. 43lekin us ne un se kahā, “lāzim hai ki maiṅ dūsre shaharoṅ meṅ bhī jā kar allāh kī bādshāhī kī ḵẖushḵẖabarī sunāūṅ, kyūṅki mujhe isī maqsad ke liye bhejā gayā hai.”
44chunāṅche vah yahūdiyā ke ibādatḵẖānoṅ meṅ munādī kartā rahā.