Malāqī 1
1zail meṅ isrāīl ke liye rabb kā vah kalām hai jo us ne malāqī par nāzil kiyā.
2rabb farmātā hai, “tum mujhe piyāre ho.” lekin tum kahate ho, “kis tarah? terī ham se muhabbat kahāṅ zāhir huī hai?”
suno rabb kā javāb! “kyā esau aur yāqūb sage bhāī nahīṅ the? to bhī sirf yāqūb mujhe piyārā thā 3jabki esau se maiṅ mutanaffir rahā. us ke pahāṛī ilāqe adom ko maiṅ ne vīrān-o-sunsān kar diyā, us kī maurūsī zamīn ko registān ke gīdṛoṅ ke havāle kar diyā hai.” 4adomī kahate haiṅ, “go ham chiknā-chūr ho gae haiṅ to bhī khaṅḍarāt kī jagah nae ghar banā leṅge.” lekin rabb-ul-afwāj farmātā hai, “beshak tāmīr kā kām karte jāo, lekin maiṅ sab kuchh dubārā ḍhā dūṅgā. un kā mulk ‘bedīnī kā mulk’ aur un kī qaum ‘vah qaum jis par rabb kī abdī lānat hai’ kahalāegī. 5tum isrāīlī apnī āṅkhoṅ se yah dekhoge. tab tum kahoge, ‘rabb apnī azmat isrāīl kī sarhaddoṅ se bāhar bhī zāhir kartā hai’.”
imāmoṅ par ilzām
6rabb-ul-afwāj farmātā hai, “ai imāmo, beṭā apne bāp kā aur naukar apne mālik kā ehatirām kartā hai. lekin merā ehatirām kaun kartā hai, go maiṅ tumhārā bāp hūṅ? merā ḵẖauf kaun māntā hai, go maiṅ tumhārā mālik hūṅ? haqīqat yah hai ki tum mere nām ko haqīr jānte ho. lekin tum etirāz karte ho, ‘ham kis tarah tere nām ko haqīr jānte haiṅ?’ 7is meṅ ki tum merī qurbāngāh par nāpāk ḵẖurāk rakh dete ho. tum pūchhte ho, ‘ham ne tujhe kis bāt meṅ nāpāk kiyā hai?’ is meṅ ki tum rabb kī mez ko qābil-e-tahqīr qarār dete ho. 8kyūṅki go aṅdhe jānvaroṅ ko qurbān karnā saḵẖt manā hai, to bhī tum yah bāt nazar’andāz karke aise jānvaroṅ ko qurbān karte ho. laṅgṛe yā bīmār jānvar chaṛhānā bhī mamnū hai, to bhī tum kahate ho, ‘koī bāt nahīṅ’ aur aise hī jānvaroṅ ko pesh karte ho.” rabb-ul-afwāj farmātā hai, “agar vāqaī is kī koī bāt nahīṅ to apne mulk ke gavarnar ko aise jānvaroṅ ko pesh karo. kyā vah tum se ḵẖush hogā? kyā vah tumheṅ qabūl karegā? hargiz nahīṅ! 9chunāṅche ab allāh se iltimās karo ki ham par meharbānī kar.” rabb-ul-afwāj farmātā hai, “ḵẖud soch lo, kyā hamāre hāthoṅ se aisī qurbāniyāṅ milne par allāh hameṅ qabūl karegā? 10kāsh tum meṅ se koī mere ghar ke darvāzoṅ ko band kare tāki merī qurbāngāh par befāidā āg na lagā sako! maiṅ tum se ḵẖush nahīṅ, aur tumhāre hāthoṅ se qurbāniyāṅ mujhe bilkul pasand nahīṅ.” yah rabb-ul-afwāj kā farmān hai.
11rabb-ul-afwāj farmātā hai, “pūrī duniyā meṅ mashriq se maġrib tak merā nām azīm hai. har jagah mere nām ko baḵẖūr aur pāk qurbāniyāṅ pesh kī jātī haiṅ. kyūṅki dīgar aqvām meṅ merā nām azīm hai. 12lekin tum apnī harkatoṅ se mere nām kī behuramtī karte ho. tum kahate ho, ‘rabb kī mez ko nāpāk kiyā jā saktā hai, us kī qurbāniyoṅ ko haqīr jānā jā saktā hai.’ 13tum shikāyat karte ho, ‘hāy, yah ḵẖidmat kitnī taklīfdih hai!’ aur qurbānī kī āg ko hiqārat kī nazroṅ se dekhte hue tez karte ho. har qism kā jānvar pesh kiyā jātā hai, ḵẖwāh vah zaḵẖmī, laṅgṛā yā bīmār kyūṅ na ho.” rabb-ul-afwāj farmātā hai, “kyā maiṅ tumhāre hāthoṅ se aisī qurbāniyāṅ qabūl kar saktā hūṅ? hargiz nahīṅ! 14us dhokebāz par lānat jo mannat mān kar kahe, ‘maiṅ rabb ko apne revaṛ kā acchhā meṅḍhā qurbān karūṅgā’ lekin is ke bajāy nāqis jānvar pesh kare.” kyūṅki rabb-ul-afwāj farmātā hai, “maiṅ azīm bādshāh hūṅ, aur aqvām meṅ mere nām kā ḵẖauf mānā jātā hai.