Marqus 1
yahayā baptismā dene vāle kī ḵẖidmat
1yah allāh ke farzand īsā masīh ke bāre meṅ ḵẖushḵẖabarī hai, 2jo yasāyāh nabī kī peshgoī ke mutābiq yūṅ shurū huī :
‘dekh, maiṅ apne paiġambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ
jo tere liye rāstā tayyār karegā.
3registān meṅ ek āvāz pukār rahī hai,
rabb kī rāh tayyār karo!
us ke rāste sīdhe banāo.’
4yah paiġambar yahayā baptismā dene vālā thā. registān meṅ rah kar us ne elān kiyā ki log taubā karke baptismā leṅ tāki unheṅ apne gunāhoṅ kī muāfī mil jāe. 5yahūdiyā ke pūre ilāqe ke log yarūshalam ke tamām bāshindoṅ samet nikal kar us ke pās āe. aur apne gunāhoṅ ko taslīm karke unhoṅ ne daryā-e-yardan meṅ yahayā se baptismā liyā.
6yahayā ūṅṭoṅ ke bāloṅ kā libās pahane aur kamar par chamṛe kā paṭkā bāṅdhe rahatā thā. ḵẖurāk ke taur par vah ṭiḍḍiyāṅ aur jaṅglī shahad khātā thā. 7us ne elān kiyā, “mere bād ek āne vālā hai jo mujh se baṛā hai. maiṅ jhuk kar us ke jūtoṅ ke tasme kholne ke bhī lāiq nahīṅ. 8maiṅ tum ko pānī se baptismā detā hūṅ, lekin vah tumheṅ rūh-ul-quds se baptismā degā.”
īsā kā baptismā aur āzmāish
9un dinoṅ meṅ īsā nāsrat se āyā aur yahayā ne use daryā-e-yardan meṅ baptismā diyā. 10pānī se nikalte hī īsā ne dekhā ki āsmān phaṭ rahā hai aur rūh-ul-quds kabūtar kī tarah mujh par utar rahā hai. 11sāth sāth āsmān se ek āvāz sunāī dī, “tū merā piyārā farzand hai, tujh se maiṅ ḵẖush hūṅ.”
12is ke fauran bād rūh-ul-quds ne use registān meṅ bhej diyā. 13vahāṅ vah chālīs din rahā jis ke daurān iblīs us kī āzmāish kartā rahā. vah jaṅglī jānvaroṅ ke darmiyān rahatā aur farishte us kī ḵẖidmat karte the.
īsā chār machheroṅ ko bulātā hai
14jab yahayā ko jel meṅ ḍāl diyā gayā to īsā galīl ke ilāqe meṅ āyā aur allāh kī ḵẖushḵẖabarī kā elān karne lagā. 15vah bolā, “muqarrarā vaqt ā gayā hai, allāh kī bādshāhī qarīb ā gaī hai. taubā karo aur allāh kī ḵẖushḵẖabarī par īmān lāo.”
16ek din jab īsā galīl kī jhīl ke kināre kināre chal rahā thā to us ne shamāūn aur us ke bhāī andriyās ko dekhā. vah jhīl meṅ jāl ḍāl rahe the kyūṅki vah māhīgīr the. 17us ne kahā, “āo, mere pīchhe ho lo, maiṅ tum ko ādamgīr banāūṅgā.” 18yah sunte hī vah apne jāloṅ ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho liye.
19thoṛā sā āge jā kar īsā ne zabdī ke beṭoṅ yāqūb aur yūhannā ko dekhā. vah kashtī meṅ baiṭhe apne jāloṅ kī marammat kar rahe the. 20us ne unheṅ fauran bulāyā to vah apne bāp ko mazdūroṅ samet kashtī meṅ chhoṛ kar us ke pīchhe ho liye.
ādmī kī badruh ke qabze se rihāī
21vah kafarnahūm shahar meṅ dāḵẖil hue. aur sabat ke din īsā ibādatḵẖāne meṅ jā kar logoṅ ko sikhāne lagā. 22vah us kī tālīm sun kar hakkā-bakkā rah gae kyūṅki vah unheṅ sharīat ke ālimoṅ kī tarah nahīṅ balki iḵẖtiyār ke sāth sikhātā thā.
23un ke ibādatḵẖāne meṅ ek ādmī thā jo kisī nāpāk rūh ke qabze meṅ thā. īsā ko dekhte hī vah chīḵẖ chīḵẖ kar bolne lagā, 24“ai nāsrat ke īsā, hamārā āp ke sāth kyā vāstā hai? kyā āp hameṅ halāk karne āe haiṅ? maiṅ to jāntā hūṅ ki āp kaun haiṅ, āp allāh ke quddūs haiṅ.”
25īsā ne use ḍāṅṭ kar kahā, “ḵẖāmosh! ādmī se nikal jā!” 26is par badruh ādmī ko jhaṅjhoṛ kar aur chīḵẖeṅ mār mār kar us meṅ se nikal gaī.
27tamām log ghabrā gae aur ek dūsre se kahane lage, “yah kyā hai? ek naī tālīm jo iḵẖtiyār ke sāth dī jā rahī hai. aur vah badrūhoṅ ko hukm detā hai to vah us kī māntī haiṅ.”
28aur īsā ke bāre meṅ charchā jaldī se galīl ke pūre ilāqe meṅ phail gayā.
bahut se marīzoṅ kī shifā
29ibādatḵẖāne se nikalne ke ain bād vah yāqūb aur yūhannā ke sāth shamāūn aur andriyās ke ghar gae. 30vahāṅ shamāūn kī sās bistar par paṛī thī, kyūṅki use buḵẖār thā. unhoṅ ne īsā ko batā diyā 31to vah us ke nazdīk gayā. us kā hāth pakaṛ kar us ne uṭhne meṅ us kī madad kī. is par buḵẖār utar gayā aur vah un kī ḵẖidmat karne lagī.
32jab shām huī aur sūraj ġurūb huā to log tamām marīzoṅ aur badruh-giriftā ashḵẖās ko īsā ke pās lāe. 33pūrā shahar darvāze par jamā ho gayā 34aur īsā ne bahut se marīzoṅ ko muḵẖtalif qism kī bīmāriyoṅ se shifā dī. us ne bahut sī badruheṅ bhī nikāl dīṅ, lekin us ne unheṅ bolne na diyā, kyūṅki vah jāntī thīṅ ki vah kaun hai.
galīl meṅ munādī
35agle din subah-savere jab abhī aṅdherā hī thā to īsā uṭh kar duā karne ke liye kisī vīrān jagah chalā gayā. 36bād meṅ shamāūn aur us ke sāthī use ḍhūṅḍne nikle. 37jab mālūm huā ki vah kahāṅ hai to unhoṅ ne us se kahā, “tamām log āp ko talāsh kar rahe haiṅ!”
38lekin īsā ne javāb diyā, “āo, ham sāth vālī ābādiyoṅ meṅ jāeṅ tāki maiṅ vahāṅ bhī munādī karūṅ. kyūṅki maiṅ isī maqsad se nikal āyā hūṅ.”
39chunāṅche vah pūre galīl meṅ se guzartā huā ibādatḵẖānoṅ meṅ munādī kartā aur badrūhoṅ ko nikāltā rahā.
koṛh se shifā
40ek ādmī īsā ke pās āyā jo koṛh kā marīz thā. ghuṭnoṅ ke bal jhuk kar us ne minnat kī, “agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.”
41īsā ko taras āyā. us ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “maiṅ chāhatā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” 42is par bīmārī fauran dūr ho gaī aur vah pāk-sāf ho gayā. 43īsā ne use fauran ruḵẖsat karke saḵẖtī se samjhāyā, 44“ḵẖabardār! yah bāt kisī ko na batānā balki bait-ul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki vah terā muāinā kare. apne sāth vah qurbānī le jā jis kā taqāzā mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā milī ho. yūṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū vāqaī pāk-sāf ho gayā hai.”
45ādmī chalā gayā, lekin vah har jagah apnī kahānī sunāne lagā. us ne yah ḵẖabar itnī phailāī ki īsā khule taur par kisī bhī shahar meṅ dāḵẖil na ho sakā balki use vīrān jagahoṅ meṅ rahanā paṛā. lekin vahāṅ bhī log har jagah se us ke pās pahuṅch gae.