Mark 12
Marqus 12
aṅgūr ke bāġ ke muzāreoṅ kī baġāvat
1phir vah tamsīloṅ meṅ un se bāt karne lagā. “kisī ādmī ne aṅgūr kā ek bāġ lagāyā. us ne us kī chārdīvārī banāī, aṅgūroṅ kā ras nikālne ke liye ek gaṛhe kī khudāī kī aur paharedāroṅ ke liye burj tāmīr kiyā. phir vah use muzāreoṅ ke sapurd karke bairūn-e-mulk chalā gayā.
2jab aṅgūr pak gae to us ne apne naukar ko muzāreoṅ ke pās bhej diyā tāki vah un se mālik kā hissā vasūl kare.
3lekin muzāreoṅ ne use pakaṛ kar us kī piṭāī kī aur use ḵẖālī hāth lauṭā diyā.
4phir mālik ne ek aur naukar ko bhej diyā. lekin unhoṅ ne us kī bhī beizzatī karke us kā sar phoṛ diyā.
5jab mālik ne tīsre naukar ko bhejā to unhoṅ ne use mār ḍālā. yūṅ us ne kaī ek ko bhejā. bāz ko unhoṅ ne mārā pīṭā, bāz ko qatl kiyā.
6āḵẖirkār sirf ek bāqī rah gayā thā. vah thā us kā piyārā beṭā. ab us ne use bhej kar kahā, ‘āḵẖir mere beṭe kā to lihāz kareṅge.’
7lekin muzāre ek dūsre se kahane lage, ‘yah zamīn kā vāris hai. āo ham ise mār ḍāleṅ to phir is kī mīrās hamārī hī hogī.’
8unhoṅ ne use pakaṛ kar qatl kiyā aur bāġ se bāhar phaiṅk diyā.
9ab batāo, bāġ kā mālik kyā karegā? vah jā kar muzāreoṅ ko halāk karegā aur bāġ ko dūsroṅ ke sapurd kar degā.
10kyā tum ne kalām-e-muqaddas kā yah havālā nahīṅ paṛhā,
‘jis patthar ko makān banāne vāloṅ ne radd kiyā
vah kone kā bunyādī patthar ban gayā.
11yah rabb ne kiyā
aur dekhne meṅ kitnā hairat’aṅgez hai’.”
12is par dīnī rāhanumāoṅ ne īsā ko giriftār karne kī koshish kī, kyūṅki vah samajh gae the ki tamsīl meṅ bayānshudā muzāre ham hī haiṅ. lekin vah hujūm se ḍarte the, is liye vah use chhoṛ kar chale gae.
kyā ṭaiks denā jāiz hai?
13bād meṅ unhoṅ ne kuchh farīsiyoṅ aur herodes ke pairokāroṅ ko us ke pās bhej diyā tāki vah use koī aisī bāt karne par ubhāreṅ jis se use pakṛā jā sake.
14vah us ke pās ā kar kahane lage, “ustād, ham jānte haiṅ ki āp sacche haiṅ aur kisī kī parvā nahīṅ karte. āp jānibdār nahīṅ hote balki diyānatdārī se allāh kī rāh kī tālīm dete haiṅ. ab hameṅ batāeṅ ki kyā romī shahanshāh ko ṭaiks denā jāiz hai yā nājāiz? kyā ham adā kareṅ yā na kareṅ?”
15lekin īsā ne un kī riyākārī jān kar un se kahā, “mujhe kyūṅ phaṅsānā chāhate ho? chāṅdī kā ek romī sikkā mere pās le āo.”
16vah ek sikkā us ke pās le āe to us ne pūchhā, “kis kī sūrat aur nām is par kandā hai?” unhoṅ ne javāb diyā, “shahanshāh kā.”
17us ne kahā, “to jo shahanshāh kā hai shahanshāh ko do aur jo allāh kā hai allāh ko.” us kā yah javāb sun kar unhoṅ ne baṛā tājjub kiyā.
kyā ham jī uṭheṅge?
18phir kuchh sadūqī īsā ke pās āe. sadūqī nahīṅ mānte ki roz-e-qiyāmat murde jī uṭheṅge. unhoṅ ne īsā se ek savāl kiyā,
19“ustād, mūsā ne hameṅ hukm diyā ki agar koī shādīshudā ādmī beaulād mar jāe aur us kā bhāī ho to bhāī kā farz hai ki vah bevā se shādī karke apne bhāī ke liye aulād paidā kare.
20ab farz kareṅ ki sāt bhāī the. pahale ne shādī kī, lekin beaulād faut huā.
21is par dūsre ne us se shādī kī, lekin vah bhī beaulād mar gayā. phir tīsre bhāī ne us se shādī kī.
22yah silsilā sātveṅ bhāī tak jārī rahā. yake bād dīgre har bhāī bevā se shādī karne ke bād mar gayā. āḵẖir meṅ bevā bhī faut ho gaī.
23ab batāeṅ ki qiyāmat ke din vah kis kī bīvī hogī? kyūṅki sāt ke sāt bhāiyoṅ ne us se shādī kī thī.”
24īsā ne javāb diyā, “tum is liye ġaltī par ho ki na tum kalām-e-muqaddas se vāqif ho, na allāh kī qudrat se.
25kyūṅki jab murde jī uṭheṅge to na vah shādī kareṅge na un kī shādī karāī jāegī balki vah āsmān par farishtoṅ kī mānind hoṅge.
26rahī yah bāt ki murde jī uṭheṅge. kyā tum ne mūsā kī kitāb meṅ nahīṅ paṛhā ki allāh jaltī huī jhāṛī meṅ se kis tarah mūsā se hamkalām huā? us ne farmāyā, ‘maiṅ ibrāhīm kā ḵẖudā, ishāq kā ḵẖudā aur yāqūb kā ḵẖudā hūṅ,’ hālāṅki us vaqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the.
27is kā matlab hai ki yah haqīqat meṅ zindā haiṅ, kyūṅki allāh murdoṅ kā nahīṅ, balki zindoṅ kā ḵẖudā hai. tum se baṛī ġaltī huī hai.”
avval hukm
28itne meṅ sharīat kā ek ālim un ke pās āyā. us ne unheṅ bahs karte hue sunā thā aur jān liyā ki īsā ne acchhā javāb diyā, is liye us ne pūchhā, “tamām ahkām meṅ se kaun sā hukm sab se aham hai?”
29īsā ne javāb diyā, “avval hukm yah hai : ‘sun ai isrāīl! rabb hamārā ḵẖudā ek hī rabb hai.
30rabb apne ḵẖudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān, apne pūre zahan aur apnī pūrī tāqat se piyār karnā.’
31dūsrā hukm yah hai : ‘apne paṛosī se vaisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.’ dīgar koī bhī hukm in do ahkām se aham nahīṅ hai.”
32us ālim ne kahā, “shābāsh, ustād! āp ne sacch kahā hai ki allāh sirf ek hī hai aur us ke sivā koī aur nahīṅ hai.
33hameṅ use apne pūre dil, apne pūre zahan aur apnī pūrī tāqat se piyār karnā chāhie aur sāth sāth apne paṛosī se vaisī muhabbat rakhnī chāhie jaisī apne āp se rakhte haiṅ. yah do ahkām bhasm hone vālī tamām qurbāniyoṅ aur dīgar nazroṅ se ziyādā ahamiyat rakhte haiṅ.”
34jab īsā ne us kā yah javāb sunā to us se kahā, “tū allāh kī bādshāhī se dūr nahīṅ hai.” is ke bād kisī ne bhī us se savāl pūchhne kī jur’at na kī.
masīh ke bāre meṅ savāl
35jab īsā bait-ul-muqaddas meṅ tālīm de rahā thā to us ne pūchhā, “sharīat ke ulmā kyūṅ dāvā karte haiṅ ki masīh dāūd kā farzand hai?
36kyūṅki dāūd ne to ḵẖud rūh-ul-quds kī mārifat yah farmāyā,
‘rabb ne mere rabb se kahā,
mere dahane hāth baiṭh,
jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāoṅ ke nīche na kar dūṅ.’
37dāūd to ḵẖud masīh ko rabb kahatā hai. to phir vah kis tarah dāūd kā farzand ho saktā hai?”
sharīat ke ulmā se ḵẖabardār rahanā
ek baṛā hujūm maze se īsā kī bāteṅ sun rahā thā.
38unheṅ tālīm dete vaqt us ne kahā, “ulmā se ḵẖabardār raho! kyūṅki vah shāndār choġe pahan kar idhar udhar phirnā pasand karte haiṅ. jab log bāzāroṅ meṅ salām karke un kī izzat karte haiṅ to phir vah ḵẖush ho jāte haiṅ.
39un kī bas ek hī ḵẖwāhish hotī hai ki ibādatḵẖānoṅ aur ziyāfatoṅ meṅ izzat kī kursiyoṅ par baiṭh jāeṅ.
40yah log bevāoṅ ke ghar haṛap kar jāte aur sāth sāth dikhāve ke liye lambī lambī duāeṅ māṅgte haiṅ. aise logoṅ ko nihāyat saḵẖt sazā milegī.”
bevā kā chandā
41īsā bait-ul-muqaddas ke chande ke baks ke muqābil baiṭh gayā aur hujūm ko hadie ḍālte hue dekhne lagā. kaī amīr baṛī baṛī rakmeṅ ḍāl rahe the.
42phir ek ġarīb bevā bhī vahāṅ se guzrī jis ne us meṅ tāṁbe ke do māmūlī se sikke ḍāl die.
43īsā ne shāgirdoṅ ko apne pās bulā kar kahā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki is ġarīb bevā ne tamām logoṅ kī nisbat ziyādā ḍālā hai.
44kyūṅki in sab ne apnī daulat kī kasrat se de diyā jabki us ne zarūratmand hone ke bāvujūd bhī apne guzāre ke sāre paise de die haiṅ.”