Marqus 16
īsā jī uṭhtā hai
1hafte kī shām ko jab sabat kā din guzar gayā to mariyam magdalīnī, yāqūb kī māṅ mariyam aur salomī ne ḵẖushbūdār masāle ḵẖarīd liye, kyūṅki vah qabr ke pās jā kar unheṅ īsā kī lāsh par lagānā chāhatī thīṅ. 2chunāṅche vah itwār ko subah-savere hī qabr par gaīṅ. sūraj tulū ho rahā thā. 3rāste meṅ vah ek dūsre se pūchhne lagīṅ, “kaun hamāre liye qabr ke muṅh se patthar ko luṛhakāegā?” 4lekin jab vahāṅ pahuṅchīṅ aur nazar uṭhā kar qabr par ġaur kiyā to dekhā ki patthar ko ek taraf luṛhkāyā jā chukā hai. yah patthar bahut baṛā thā. 5vah qabr meṅ dāḵẖil huīṅ. vahāṅ ek javān ādmī nazar āyā jo safed libās pahane hue dāīṅ taraf baiṭhā thā. vah ghabrā gaīṅ.
6us ne kahā, “mat ghabrāo. tum īsā nāsrī ko ḍhūṅḍ rahī ho jo maslūb huā thā. vah jī uṭhā hai, vah yahāṅ nahīṅ hai. us jagah ko ḵẖud dekh lo jahāṅ use rakhā gayā thā. 7ab jāo, us ke shāgirdoṅ aur patras ko batā do ki vah tumhāre āge āge galīl pahuṅch jāegā. vahīṅ tum use dekhoge, jis tarah us ne tum ko batāyā thā.”
8ḵẖavātīn laraztī aur uljhī huī hālat meṅ qabr se nikal kar bhāg gaīṅ. unhoṅ ne kisī ko bhī kuchh na batāyā, kyūṅki vah nihāyat sahamī huī thīṅ.
īsā mariyam magdalīnī par zāhir hotā hai
9jab īsā itwār ko subah-savere jī uṭhā to pahalā shaḵẖs jis par vah zāhir huā mariyam magdalīnī thī jis se us ne sāt badruheṅ nikālī thīṅ. 10mariyam īsā ke sāthiyoṅ ke pās gaī jo mātam kar rahe aur ro rahe the. us ne unheṅ jo kuchh huā thā batāyā. 11lekin go unhoṅ ne sunā ki īsā zindā hai aur ki mariyam ne use dekhā hai to bhī unheṅ yaqīn na āyā.
īsā mazīd do shāgirdoṅ par zāhir hotā hai
12is ke bād īsā dūsrī sūrat meṅ un meṅ se do par zāhir huā jab vah yarūshalam se dīhāt kī taraf paidal chal rahe the. 13donoṅ ne vāpas jā kar yah bāt bāqī logoṅ ko batāī. lekin unheṅ in kā bhī yaqīn na āyā.
īsā gyārah rasūloṅ par zāhir hotā hai
14āḵẖir meṅ īsā gyārah shāgirdoṅ par bhī zāhir huā. us vaqt vah mez par baiṭhe khānā khā rahe the. us ne unheṅ un kī be-etiqādī aur saḵẖtdilī ke sabab se ḍāṅṭā, ki unhoṅ ne un kā yaqīn na kiyā jinhoṅ ne use zindā dekhā thā. 15phir us ne un se kahā, “pūrī duniyā meṅ jā kar tamām maḵẖlūqāt ko allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāo. 16jo bhī īmān lā kar baptismā le use najāt milegī. lekin jo īmān na lāe use mujrim qarār diyā jāegā. 17aur jahāṅ jahāṅ log īmān rakheṅge vahāṅ yah ilāhī nishān zāhir hoṅge : vah mere nām se badruheṅ nikāl deṅge, naī naī zabāneṅ boleṅge 18aur sāṁpoṅ ko uṭhā kar mahfūz raheṅge. muhalak zahar pīne se unheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchegā aur jab vah apne hāth marīzoṅ par rakheṅge to shifā pāeṅge.”
īsā ko āsmān par uṭhāyā jātā hai
19un se bāt karne ke bād ḵẖudāvand īsā ko āsmān par uṭhā liyā gayā aur vah allāh ke dahane hāth baiṭh gayā. 20is par shāgirdoṅ ne nikal kar har jagah munādī kī. aur ḵẖudāvand ne un kī himāyat karke ilāhī nishānoṅ se kalām kī tasdīq kī.