Marqus 3
sūkhe hue hāth kī shifā
1kisī aur vaqt jab īsā ibādatḵẖāne meṅ gayā to vahāṅ ek ādmī thā jis kā hāth sūkhā huā thā. 2sabat kā din thā aur log baṛe ġaur se dekh rahe the ki kyā īsā us ādmī ko āj bhī shifā degā. kyūṅki vah is par ilzām lagāne kā koī bahānā talāsh kar rahe the. 3īsā ne sūkhe hāth vāle ādmī se kahā, “uṭh, darmiyān meṅ khaṛā ho.” 4phir īsā ne un se pūchhā, “mujhe batāo, sharīat hameṅ sabat ke din kyā karne kī ijāzat detī hai, nek kām karne kī yā ġalat kām karne kī, kisī kī jān bachāne kī yā use tabāh karne kī?”
sab ḵẖāmosh rahe. 5vah ġusse se apne ird-gird ke logoṅ kī taraf dekhne lagā. un kī saḵẖtdilī us ke liye baṛe dukh kā bāis ban rahī thī. phir us ne ādmī se kahā, “apnā hāth āge baṛhā.” us ne aisā kiyā to us kā hāth bahāl ho gayā. 6is par farīsī bāhar nikal kar sīdhe herodes kī pārṭī ke afrād ke sāth mil kar īsā ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
jhīl ke kināre par hujūm
7lekin īsā vahāṅ se haṭ kar apne shāgirdoṅ ke sāth jhīl ke pās gayā. ek baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā. log na sirf galīl ke ilāqe se āe balki bahut sī aur jagahoṅ yānī yahūdiyā, 8yarūshalam, idūmyā, daryā-e-yardan ke pār aur sūr aur saidā ke ilāqe se bhī. vajah yah thī ki īsā ke kām kī ḵẖabar un ilāqoṅ tak bhī pahuṅch chukī thī aur natīje meṅ bahut se log vahāṅ se bhī āe. 9īsā ne shāgirdoṅ se kahā, “ehatiyātan ek kashtī us vaqt ke liye tayyār kar rakho jab hujūm mujhe hadd se ziyādā dabāne lagegā.” 10kyūṅki us din us ne bahutoṅ ko shifā dī thī, is liye jise bhī koī taklīf thī vah dhakke de de kar us ke pās āyā tāki use chhū sake. 11aur jab bhī nāpāk rūhoṅ ne īsā ko dekhā to vah us ke sāmne gir kar chīḵẖeṅ mārne lagīṅ, “āp allāh ke farzand haiṅ.”
12lekin īsā ne unheṅ saḵẖtī se ḍāṅṭ kar kahā ki vah use zāhir na kareṅ.
īsā bārah rasūloṅ ko muqarrar kartā hai
13is ke bād īsā ne pahāṛ par chaṛh kar jinheṅ vah chāhatā thā unheṅ apne pās bulā liyā. aur vah us ke pās āe. 14us ne un meṅ se bārah ko chun liyā. unheṅ us ne apne rasūl muqarrar kar liyā tāki vah us ke sāth chaleṅ aur vah unheṅ munādī karne ke liye bhej sake. 15us ne unheṅ badruheṅ nikālne kā iḵẖtiyār bhī diyā.
16jin bārah ko us ne muqarrar kiyā un ke nām yah haiṅ : shamāūn jis kā laqab us ne patras rakhā, 17zabdī ke beṭe yāqūb aur yūhannā jin kā laqab īsā ne ‘bādal kī garaj ke beṭe’ rakhā, 18andriyās, filippus, baratulmāī, mattī, tomā, yāqūb bin halfaī, taddī, shamāūn mujāhid 19aur yahūdāh iskariyotī jis ne bād meṅ use dushman ke havāle kar diyā.
īsā aur badrūhoṅ kā sardār
20phir īsā kisī ghar meṅ dāḵẖil huā. is bār bhī itnā hujūm jamā ho gayā ki īsā ko apne shāgirdoṅ samet khānā khāne kā mauqā bhī na milā. 21jab us ke ḵẖāndān ke afrād ne yah sunā to vah use pakaṛ kar le jāne ke liye āe, kyūṅki unhoṅ ne kahā, “vah hosh meṅ nahīṅ hai.”
22lekin sharīat ke jo ālim yarūshalam se āe the unhoṅ ne kahā, “yah badrūhoṅ ke sardār bāl-zabūl ke qabze meṅ hai. usī kī madad se badrūhoṅ ko nikāl rahā hai.”
23phir īsā ne unheṅ apne pās bulā kar tamsīloṅ meṅ javāb diyā. “iblīs kis tarah iblīs ko nikāl saktā hai? 24jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe vah qāim nahīṅ rah saktī. 25aur jis gharāne kī aisī hālat ho vah bhī qāim nahīṅ rah saktā. 26isī tarah agar iblīs apne āp kī muḵẖālafat kare aur yūṅ us meṅ phūṭ paṛ jāe to vah qāim nahīṅ rah saktā balki ḵẖatm ho chukā hai.
27kisī zorāvar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā us vaqt tak mumkin nahīṅ hai jab tak us ādmī ko bāṅdhā na jāe. phir hī use lūṭā jā saktā hai.
28maiṅ tum se sacch kahatā hūṅ ki logoṅ ke tamām gunāh aur kufr kī bāteṅ muāf kī jā sakeṅgī, ḵẖwāh vah kitnā hī kufr kyūṅ na bakeṅ. 29lekin jo rūh-ul-quds ke ḵẖilāf kufr bake use abad tak muāfī nahīṅ milegī. vah ek abdī gunāh kā qusūrvār ṭhaharegā.” 30īsā ne yah is liye kahā kyūṅki ālim kah rahe the ki vah kisī badruh kī girift meṅ hai.
īsā kī māṅ aur bhāī
31phir īsā kī māṅ aur bhāī pahuṅch gae. bāhar khaṛe ho kar unhoṅ ne kisī ko use bulāne ko bhej diyā. 32us ke ird-gird hujūm baiṭhā thā. unhoṅ ne kahā, “āp kī māṅ aur bhāī bāhar āp ko bulā rahe haiṅ.”
33īsā ne pūchhā, “kaun merī māṅ aur kaun mere bhāī haiṅ?” 34aur apne gird baiṭhe logoṅ par nazar ḍāl kar us ne kahā, “dekho, yah merī māṅ aur mere bhāī haiṅ. 35jo bhī allāh kī marzī pūrī kartā hai vah merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”