Mattī 11
yahayā kā īsā se savāl
1apne shāgirdoṅ ko yah hidāyāt dene ke bād īsā un ke shaharoṅ meṅ tālīm dene aur munādī karne ke liye ravānā huā.
2yahayā ne jo us vaqt jel meṅ thā sunā ki īsā kyā kyā kar rahā hai. is par us ne apne shāgirdoṅ ko us ke pās bhej diyā 3tāki vah us se pūchheṅ, “kyā āp vahī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur ke intizār meṅ raheṅ?”
4īsā ne javāb diyā, “yahayā ke pās vāpas jā kar use sab kuchh batā denā jo tum ne dekhā aur sunā hai. 5‘aṅdhe dekhte, laṅgṛe chalte phirte haiṅ, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf kiyā jātā hai, bahare sunte haiṅ, murdoṅ ko zindā kiyā jātā hai aur ġarīboṅ ko allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāī jātī hai.’ 6mubārak hai vah jo mere sabab se ṭhokar khā kar bargashtā nahīṅ hotā.”
7yahayā ke yah shāgird chale gae to īsā hujūm se yahayā ke bāre meṅ bāt karne lagā, “tum registān meṅ kyā dekhne gae the? ek sarkaṅḍā jo havā ke har jhoṅke se hiltā hai? beshak nahīṅ. 8yā kyā vahāṅ jā kar aise ādmī kī tavaqqo kar rahe the jo nafīs aur mulāim libās pahane hue hai? nahīṅ, jo shāndār kapṛe pahante haiṅ vah shāhī mahaloṅ meṅ pāe jāte haiṅ. 9to phir tum kyā dekhne gae the? ek nabī ko? bilkul sahīh, balki meṅ tum ko batātā hūṅ ki vah nabī se bhī baṛā hai. 10usī ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘dekh, maiṅ apne paiġambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ jo tere sāmne rāstā tayyār karegā.’ 11maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki is duniyā meṅ paidā hone vālā koī bhī shaḵẖs yahayā se baṛā nahīṅ hai. to bhī āsmān kī bādshāhī meṅ dāḵẖil hone vālā sab se chhoṭā shaḵẖs us se baṛā hai. 12yahayā baptismā dene vāle kī ḵẖidmat se le kar āj tak āsmān kī bādshāhī par zabardastī kī jā rahī hai, aur zabardast use chhīn rahe haiṅ. 13kyūṅki tamām nabī aur tauret ne yahayā ke daur tak is ke bāre meṅ peshgoī kī hai. 14aur agar tum yah mānne ke liye tayyār ho to māno ki vah ilyās nabī hai jise ānā thā. 15jo sun saktā hai vah sun le!
16maiṅ is nasal ko kis se tashbīh dūṅ? vah un bacchoṅ kī mānind haiṅ jo bāzār meṅ baiṭhe khel rahe haiṅ. un meṅ se kuchh ūṅchī āvāz se dūsre bacchoṅ se shikāyat kar rahe haiṅ, 17‘ham ne bāṅsrī bajāī to tum na nāche. phir ham ne nohā ke gīt gāe, lekin tum ne chhātī pīṭ kar mātam na kiyā.’ 18dekho, yahayā āyā aur na khāyā, na piyā. yah dekh kar log kahate haiṅ ki us meṅ badruh hai. 19phir ibn-e-ādam khātā aur pītā huā āyā. ab kahate haiṅ, ‘dekho yah kaisā peṭū aur sharābī hai. aur vah ṭaiks lene vāloṅ aur gunāhgāroṅ kā dost bhī hai.’ lekin hikmat apne āmāl se hī sahīh sābit huī hai.”
taubā na karne vāle shaharoṅ par afsos
20phir īsā un shaharoṅ ko ḍāṅṭne lagā jin meṅ us ne ziyādā mojize kie the, kyūṅki unhoṅ ne taubā nahīṅ kī thī. 21“ai ḵẖurāzīn, tujh par afsos! bait-saidā, tujh par afsos! agar sūr aur saidā meṅ vah mojize kie gae hote jo tum meṅ hue to vahāṅ ke log kab ke ṭāṭ oṛh kar aur sar par rākh ḍāl kar taubā kar chuke hote. 22jī hāṅ, adālat ke din tumhārī nisbat sūr aur saidā kā hāl ziyādā qābil-e-bardāsht hogā. 23aur ai kafarnahūm, kyā tujhe āsmān tak sarfarāz kiyā jāegā? hargiz nahīṅ, balki tū utartā utartā pātāl tak pahuṅchegā. agar sadūm meṅ vah mojize kie gae hote jo tujh meṅ hue haiṅ to vah āj tak qāim rahatā. 24hāṅ, adālat ke din terī nisbat sadūm kā hāl ziyādā qābil-e-bardāsht hogā.”
bāp kī tamjīd
25us vaqt īsā ne kahā, “ai bāp, āsmān-o-zamīn ke mālik! maiṅ terī tamjīd kartā hūṅ ki tū ne yah bāteṅ dānāoṅ aur aqalmandoṅ se chhupā kar chhoṭe bacchoṅ par zāhir kar dī haiṅ. 26hāṅ mere bāp, yahī tujhe pasand āyā.
27mere bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai. koī bhī farzand ko nahīṅ jāntā sivā-e-bāp ke. aur koī bāp ko nahīṅ jāntā sivā-e-farzand ke aur un logoṅ ke jin par farzand bāp ko zāhir karnā chāhatā hai.
28ai thakemānde aur bojh tale dabe hue logo, sab mere pās āo! maiṅ tum ko ārām dūṅgā. 29merā jūā apne ūpar uṭhā kar mujh se sīkho, kyūṅki maiṅ halīm aur narmdil hūṅ. yūṅ karne se tumhārī jāneṅ ārām pāeṅgī, 30kyūṅki merā jūā mulāim aur merā bojh halkā hai.”