Mattī 14
yahahā kā qatl
1us vaqt galīl ke hukmarān herodes antipās ko īsā ke bāre meṅ ittilā milī. 2is par us ne apne darbāriyoṅ se kahā, “yah yahayā baptismā dene vālā hai jo murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai, is liye us kī mojizānā tāqteṅ is meṅ nazar ātī haiṅ.”
3vajah yah thī ki herodes ne yahayā ko giriftār karke jel meṅ ḍālā thā. yah herodiyās kī ḵẖātir huā thā jo pahale herodes ke bhāī filippus kī bīvī thī. 4yahayā ne herodes ko batāyā thā, “herodiyās se terī shādī nājāiz hai.” 5herodes yahayā ko qatl karnā chāhatā thā, lekin avām se ḍartā thā kyūṅki vah use nabī samajhte the.
6herodes kī sālagirah ke mauqe par herodiyās kī beṭī un ke sāmne nāchī. herodes ko us kā nāchnā itnā pasand āyā 7ki us ne qasam khā kar us se vādā kiyā, “jo bhī tū māṅgegī maiṅ tujhe dūṅgā.”
8apnī māṅ ke sikhāne par beṭī ne kahā, “mujhe yahayā baptismā dene vāle kā sar ṭre meṅ maṅgvā deṅ.”
9yah sun kar bādshāh ko dukh huā. lekin apnī qasmoṅ aur mehamānoṅ kī maujūdgī kī vajah se us ne use dene kā hukm de diyā. 10chunāṅche yahayā kā sar qalam kar diyā gayā. 11phir ṭre meṅ rakh kar andar lāyā gayā aur laṛkī ko de diyā gayā. laṛkī use apnī māṅ ke pās le gaī. 12bād meṅ yahayā ke shāgird āe aur us kī lāsh le kar use dafnāyā. phir vah īsā ke pās gae aur use ittilā dī.
īsā 5000 mardoṅ ko khānā khilātā hai
13yah ḵẖabar sun kar īsā logoṅ se alag ho kar kashtī par savār huā aur kisī vīrān jagah chalā gayā. lekin hujūm ko us kī ḵẖabar milī. log paidal chal kar shaharoṅ se nikal āe aur us ke pīchhe lag gae. 14jab īsā ne kashtī par se utar kar baṛe hujūm ko dekhā to use logoṅ par baṛā taras āyā. vahīṅ us ne un ke marīzoṅ ko shifā dī.
15jab din ḍhalne lagā to us ke shāgird us ke pās āe aur kahā, “yah jagah vīrān hai aur din ḍhalne lagā hai. in ko ruḵẖsat kar deṅ tāki yah ird-gird ke dīhātoṅ meṅ jā kar khāne ke liye kuchh ḵẖarīd leṅ.”
16īsā ne javāb diyā, “inheṅ jāne kī zarūrat nahīṅ, tum ḵẖud inheṅ khāne ko do.”
17unhoṅ ne javāb diyā, “hamāre pās sirf pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ.”
18us ne kahā, “unheṅ yahāṅ mere pās le āo,” 19aur logoṅ ko ghās par baiṭhne kā hukm diyā. īsā ne un pāṅch roṭiyoṅ aur do machhliyoṅ ko le kar āsmān kī taraf dekhā aur shukrguzārī kī duā kī. phir us ne roṭiyoṅ ko toṛ toṛ kar shāgirdoṅ ko diyā, aur shāgirdoṅ ne yah roṭiyāṅ logoṅ meṅ taqsīm kar dīṅ. 20sab ne jī bhar kar khāyā. jab shāgirdoṅ ne bache hue ṭukṛe jamā kie to bārah ṭokre bhar gae. 21ḵẖavātīn aur bacchoṅ ke ilāvā khāne vāle taqrīban 5,000 mard the.
īsā pānī par chaltā hai
22is ke ain bād īsā ne shāgirdoṅ ko majbūr kiyā ki vah kashtī par savār ho kar āge nikleṅ aur jhīl ke pār chale jāeṅ. itne meṅ vah hujūm ko ruḵẖsat karnā chāhatā thā. 23unheṅ ḵẖairbād kahane ke bād vah duā karne ke liye akelā pahāṛ par chaṛh gayā. shām ke vaqt vah vahāṅ akelā thā 24jabki kashtī kināre se kāfī dūr ho gaī thī. lahareṅ kashtī ko bahut taṅg kar rahī thīṅ kyūṅki havā us ke ḵẖilāf chal rahī thī.
25taqrīban tīn baje rāt ke vaqt īsā pānī par chalte hue un ke pās āyā. 26jab shāgirdoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to unhoṅ ne dahshat khāī. “yah koī bhūt hai,”unhoṅ ne kahā aur ḍar ke māre chīḵẖeṅ mārne lage.
27lekin īsā fauran un se muḵẖātib ho kar bolā, “hauslā rakho! maiṅ hī hūṅ. mat ghabrāo.”
28is par patras bol uṭhā, “ḵẖudāvand, agar āp hī haiṅ to mujhe pānī par apne pās āne kā hukm deṅ.”
29īsā ne javāb diyā, “ā.” patras kashtī par se utar kar pānī par chalte chalte īsā kī taraf baṛhne lagā. 30lekin jab us ne tez havā par ġaur kiyā to vah ghabrā gayā aur ḍūbne lagā. vah chillā uṭhā, “ḵẖudāvand, mujhe bachāeṅ!”
31īsā ne fauran apnā hāth baṛhā kar use pakaṛ liyā. us ne kahā, “ai kamaetiqād! tū shak meṅ kyūṅ paṛ gayā thā?”
32donoṅ kashtī par savār hue to havā tham gaī. 33phir kashtī meṅ maujūd shāgirdoṅ ne use sijdā karke kahā, “yaqīnan āp allāh ke farzand haiṅ!”
gannesarat meṅ marīzoṅ kī shifā
34jhīl ko pār karke vah gannesarat shahar ke pās pahuṅch gae. 35jab us jagah ke logoṅ ne īsā ko pahachān liyā to unhoṅ ne ird-gird ke pūre ilāqe meṅ is kī ḵẖabar phailāī. unhoṅ ne apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lā kar 36us se minnat kī ki vah unheṅ sirf apne libās ke dāman ko chhūne de. aur jis ne bhī use chhuā use shifā milī.