Mattī 15
bāpdādā kī tālīm
1phir kuchh farīsī aur sharīat ke ālim yarūshalam se ā kar īsā se pūchhne lage, 2“āp ke shāgird bāpdādā kī rivāyat kyūṅ toṛte haiṅ? kyūṅki vah hāth dhoe baġair roṭī khāte haiṅ.”
3īsā ne javāb diyā, “aur tum apnī rivāyāt kī ḵẖātir allāh kā hukm kyūṅ toṛte ho? 4kyūṅki allāh ne farmāyā, ‘apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā’ aur ‘jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.’ 5lekin jab koī apne vālidain se kahe, ‘maiṅ āp kī madad nahīṅ kar saktā, kyūṅki maiṅ ne mannat mānī hai ki jo kuchh mujhe āp ko denā thā vah allāh ke liye vaqf hai’ to tum ise jāiz qarār dete ho. 6yūṅ tum kahate ho ki use apne māṅ-bāp kī izzat karne kī zarūrat nahīṅ hai. aur isī tarah tum allāh ke kalām ko apnī rivāyat kī ḵẖātir mansūḵẖ kar lete ho. 7riyākāro! yasāyāh nabī ne tumhāre bāre meṅ kyā ḵẖūb nubuvvat kī hai,
8‘yah qaum apne hoṅṭoṅ se to merā ehatirām kartī hai
lekin us kā dil mujh se dūr hai.
9vah merī parastish karte to haiṅ, lekin befāidā.
kyūṅki vah sirf insān hī ke ahkām sikhāte haiṅ’.”
insān ko kyā kuchh nāpāk kar detā hai?
10phir īsā ne hujūm ko apne pās bulā kar kahā, “sab merī bāt suno aur ise samajhne kī koshish karo. 11koī aisī chīz hai nahīṅ jo insān ke muṅh meṅ dāḵẖil ho kar use nāpāk kar sake, balki jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai vahī use nāpāk kar detā hai.”
12is par shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “kyā āp ko mālūm hai ki farīsī yah bāt sun kar nārāz hue haiṅ?”
13us ne javāb diyā, “jo bhī paudā mere āsmānī bāp ne nahīṅ lagāyā use jaṛ se ukhāṛā jāegā. 14unheṅ chhoṛ do, vah aṅdhe rāh dikhāne vāle haiṅ. agar ek aṅdhā dūsre aṅdhe kī rāhanumāī kare to donoṅ gaṛhe meṅ gir jāeṅge.”
15patras bol uṭhā, “is tamsīl kā matlab hameṅ batāeṅ.”
16īsā ne kahā, “kyā tum abhī tak itne nāsamajh ho? 17kyā tum nahīṅ samajh sakte ki jo kuchh insān ke muṅh meṅ dāḵẖil ho jātā hai vah us ke mede meṅ jātā hai aur vahāṅ se nikal kar jā-e-zarūrat meṅ? 18lekin jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai vah dil se ātā hai. vahī insān ko nāpāk kartā hai. 19dil hī se bure ḵẖayālāt, qatl-o-ġārat, zinākārī, harāmkārī, chorī, jhūṭī gavāhī aur buhtān nikalte haiṅ. 20yahī kuchh insān ko nāpāk kar detā hai, lekin hāth dhoe baġair khānā khāne se vah nāpāk nahīṅ hotā.”
ġairyahūdī aurat kā īmān
21phir īsā galīl se ravānā ho kar shimāl meṅ sūr aur saidā ke ilāqe meṅ āyā. 22is ilāqe kī ek kan’ānī ḵẖātūn us ke pās ā kar chillāne lagī, “ḵẖudāvand, ibn-e-dāūd, mujh par raham kareṅ. ek badruh merī beṭī ko bahut satātī hai.”
23lekin īsā ne javāb meṅ ek lafz bhī na kahā. is par us ke shāgird us ke pās ā kar us se guzārish karne lage, “use fāriġ kar deṅ, kyūṅki vah hamāre pīchhe pīchhe chīḵẖtī chillātī hai.”
24īsā ne javāb diyā, “mujhe sirf isrāīl kī khoī huī bheṛoṅ ke pās bhejā gayā hai.”
25aurat us ke pās ā kar muṅh ke bal jhuk gaī aur kahā, “ḵẖudāvand, merī madad kareṅ!”
26us ne use batāyā, “yah munāsib nahīṅ ki bacchoṅ se khānā le kar kuttoṅ ke sāmne phaiṅk diyā jāe.”
27us ne javāb diyā, “jī ḵẖudāvand, lekin kutte bhī vah ṭukṛe khāte haiṅ jo un ke mālik kī mez par se farsh par gir jāte haiṅ.”
28īsā ne kahā, “ai aurat, terā īmān baṛā hai. terī daraḵẖwāst pūrī ho jāe.” usī lamhe aurat kī beṭī ko shifā mil gaī.
īsā bahut se marīzoṅ ko shifā detā hai
29phir īsā vahāṅ se ravānā ho kar galīl kī jhīl ke kināre pahuṅch gayā. vahāṅ vah pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā. 30logoṅ kī baṛī tādād us ke pās āī. vah apne laṅgṛe, aṅdhe, maflūj, gūṅge aur kaī aur qism ke marīz bhī sāth le āe. unhoṅ ne unheṅ īsā ke sāmne rakhā to us ne unheṅ shifā dī. 31hujūm hairatzadā ho gayā. kyūṅki gūṅge bol rahe the, apāhajoṅ ke āzā bahāl ho gae, laṅgṛe chalne aur aṅdhe dekhne lage the. yah dekh kar bhīṛ ne isrāīl ke ḵẖudā kī tamjīd kī.
īsā 4000 mardoṅ ko khānā khilātā hai
32phir īsā ne apne shāgirdoṅ ko bulā kar un se kahā, “mujhe in logoṅ par taras ātā hai. inheṅ mere sāth ṭhahare tīn din ho chuke haiṅ aur in ke pās khāne kī koī chīz nahīṅ hai. lekin maiṅ inheṅ is bhūkī hālat meṅ ruḵẖsat nahīṅ karnā chāhatā. aisā na ho ki vah rāste meṅ thak kar chūr ho jāeṅ.”
33us ke shāgirdoṅ ne javāb diyā, “is vīrān ilāqe meṅ kahāṅ se itnā khānā mil sakegā ki yah log khā kar ser ho jāeṅ?”
34īsā ne pūchhā, “tumhāre pās kitnī roṭiyāṅ haiṅ?” unhoṅ ne javāb diyā, “sāt, aur chand ek chhoṭī machhliyāṅ.”
35īsā ne hujūm ko zamīn par baiṭhne ko kahā. 36phir sāt roṭiyoṅ aur machhliyoṅ ko le kar us ne shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ toṛ toṛ kar apne shāgirdoṅ ko taqsīm karne ke liye de diyā. 37sab ne jī bhar kar khāyā. bād meṅ jab khāne ke bache hue ṭukṛe jamā kie gae to sāt baṛe ṭokre bhar gae. 38ḵẖavātīn aur bacchoṅ ke ilāvā khāne vāle 4,000 mard the.
39phir īsā logoṅ ko ruḵẖsat karke kashtī par savār huā aur magdan ke ilāqe meṅ chalā gayā.