Mattī 21
yarūshalam meṅ purjosh istiqbāl
1vah yarūshalam ke qarīb bait-fage pahuṅche. yah gāoṅ zaitūn ke pahāṛ par vāqe thā. īsā ne do shāgirdoṅ ko bhejā 2aur kahā, “sāmne vāle gāoṅ meṅ jāo. vahāṅ tum ko fauran ek gadhī nazar āegī jo apne bacche ke sāth baṅdhī huī hogī. unheṅ khol kar yahāṅ le āo. 3agar koī yah dekh kar tum se kuchh kahe to use batā denā, ‘ḵẖudāvand ko in kī zarūrat hai.’ yah sun kar vah fauran inheṅ bhej degā.”
4yūṅ nabī kī yah peshgoī pūrī huī,
5‘siyyūn beṭī ko batā denā,
dekh, terā bādshāh tere pās ā rahā hai.
vah halīm hai aur gadhe par,
hāṅ gadhī ke bacche par savār hai.’
6donoṅ shāgird chale gae. unhoṅ ne vaisā hī kiyā jaisā īsā ne unheṅ batāyā thā. 7vah gadhī ko bacche samet le āe aur apne kapṛe un par rakh die. phir īsā un par baiṭh gayā. 8jab vah chal paṛā to bahut ziyādā logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die. bāz ne shāḵẖeṅ bhī us ke āge āge rāste meṅ bichhā dīṅ jo unhoṅ ne daraḵẖtoṅ se kāṭ lī thīṅ. 9log īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā kar yah nāre lagā rahe the,
“ibn-e-dāūd ko hoshānā [a] hoshānā (ibrānī : meharbānī karke hameṅ bachā). yahāṅ is meṅ hamd-o-sanā kā unsur bhī pāyā jātā hai. !
mubārak hai vah jo rabb ke nām se ātā hai.
āsmān kī bulandiyoṅ par hoshānā [b] hoshānā (ibrānī : meharbānī karke hameṅ bachā). yahāṅ is meṅ hamd-o-sanā kā unsur bhī pāyā jātā hai. .”
10jab īsā yarūshalam meṅ dāḵẖil huā to pūrā shahar hil gayā. sab ne pūchhā, “yah kaun hai?”
11hujūm ne javāb diyā, “yah īsā hai, vah nabī jo galīl ke nāsrat se hai.”
īsā bait-ul-muqaddas meṅ jātā hai
12aur īsā bait-ul-muqaddas meṅ jā kar un sab ko nikālne lagā jo vahāṅ qurbāniyoṅ ke liye darkār chīzoṅ kī ḵẖarīd-o-faroḵẖt kar rahe the. us ne sikkoṅ kā tabādlā karne vāloṅ kī mezeṅ aur kabūtar bechane vāloṅ kī kursiyāṅ ulaṭ dīṅ 13aur un se kahā, “kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘merā ghar duā kā ghar kahalāegā.’ lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.”
14aṅdhe aur laṅgṛe bait-ul-muqaddas meṅ us ke pās āe aur us ne unheṅ shifā dī. 15lekin rāhanumā imām aur sharīat ke ulmā nārāz hue jab unhoṅ ne us ke hairat’aṅgez kām dekhe aur yah ki bacche bait-ul-muqaddas meṅ “ibn-e-dāūd ko hoshānā” chillā rahe haiṅ. 16unhoṅ ne us se pūchhā, “kyā āp sun rahe haiṅ ki yah bacche kyā kah rahe haiṅ?”
“jī,” īsā ne javāb diyā, “kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ kabhī nahīṅ paṛhā ki ‘tū ne chhoṭe bacchoṅ aur shīraḵẖwāroṅ kī zabān ko tayyār kiyā hai tāki vah terī tamjīd kareṅ’?”
17phir vah unheṅ chhoṛ kar shahar se niklā aur bait-aniyāh pahuṅchā jahāṅ us ne rāt guzārī.
anjīr ke daraḵẖt par lānat
18agle din subah-savere jab vah yarūshalam lauṭ rahā thā to īsā ko bhūk lagī. 19rāste ke qarīb anjīr kā ek daraḵẖt dekh kar vah us ke pās gayā. lekin jab vah vahāṅ pahuṅchā to dekhā ki phal nahīṅ lagā balki sirf patte hī patte haiṅ. is par us ne daraḵẖt se kahā, “ab se kabhī bhī tujh meṅ phal na lage!” daraḵẖt fauran sūkh gayā.
20yah dekh kar shāgird hairān hue aur kahā, “anjīr kā daraḵẖt itnī jaldī se kis tarah sūkh gayā?”
21īsā ne javāb diyā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, agar tum shak na karo balki īmān rakho to phir tum na sirf aisā kām kar sakoge balki is se bhī baṛā. tum is pahāṛ se kahoge, ‘uṭh, apne āp ko samundar meṅ girā de’ to yah ho jāegā. 22agar tum īmān rakho to jo kuchh bhī tum duā meṅ māṅgoge vah tum ko mil jāegā.”
kis ne īsā ko iḵẖtiyār diyā?
23īsā bait-ul-muqaddas meṅ dāḵẖil ho kar tālīm dene lagā. itne meṅ rāhanumā imām aur qaum ke buzurg us ke pās āe aur pūchhā, “āp yah sab kuchh kis iḵẖtiyār se kar rahe haiṅ? kis ne āp ko yah iḵẖtiyār diyā hai?”
24īsā ne javāb diyā, “merā bhī tum se ek savāl hai. is kā javāb do to phir tum ko batā dūṅgā ki maiṅ yah kis iḵẖtiyār se kar rahā hūṅ. 25mujhe batāo ki yahayā kā baptismā kahāṅ se thā - kyā vah āsmānī thā yā insānī?”
vah āpas meṅ bahs karne lage, “agar ham kaheṅ ‘āsmānī’ to vah pūchhegā, ‘to phir tum us par īmān kyūṅ na lāe?’ 26lekin ham kaise kah sakte haiṅ ki vah insānī thā? ham to ām logoṅ se ḍarte haiṅ, kyūṅki vah sab mānte haiṅ ki yahayā nabī thā.” 27chunāṅche unhoṅ ne javāb diyā, “ham nahīṅ jānte.”
īsā ne kahā, “phir maiṅ bhī tum ko nahīṅ batātā ki maiṅ yah sab kuchh kis iḵẖtiyār se kar rahā hūṅ.
do beṭoṅ kī tamsīl
28tumhārā kyā ḵẖayāl hai? ek ādmī ke do beṭe the. bāp baṛe beṭe ke pās gayā aur kahā, ‘beṭā, āj aṅgūr ke bāġ meṅ jā kar kām kar.’ 29beṭe ne javāb diyā, ‘maiṅ jānā nahīṅ chāhatā,’ lekin bād meṅ us ne apnā ḵẖayāl badal liyā aur bāġ meṅ chalā gayā. 30itne meṅ bāp chhoṭe beṭe ke pās bhī gayā aur use bāġ meṅ jāne ko kahā. ‘jī janāb, maiṅ jāūṅgā,’ chhoṭe beṭe ne kahā. lekin vah na gayā. 31ab mujhe batāo ki kis beṭe ne apne bāp kī marzī pūrī kī?”
“pahale beṭe ne,” unhoṅ ne javāb diyā.
īsā ne kahā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki ṭaiks lene vāle aur kasbiyāṅ tum se pahale allāh kī bādshāhī meṅ dāḵẖil ho rahe haiṅ. 32kyūṅki yahayā tum ko rāstbāzī kī rāh dikhāne āyā aur tum us par īmān na lāe. lekin ṭaiks lene vāle aur kasbiyāṅ us par īmān lāe. aur yah dekh kar bhī tum ne apnā ḵẖayāl na badlā aur us par īmān na lāe.
aṅgūr ke bāġ meṅ muzāreoṅ kī baġāvat
33ek aur tamsīl suno. ek zamīndār thā jis ne aṅgūr kā bāġ lagāyā. us ne us kī chārdīvārī banāī, aṅgūroṅ kā ras nikālne ke liye ek gaṛhe kī khudāī kī aur paharedāroṅ ke liye burj tāmīr kiyā. phir vah use muzāreoṅ ke sapurd karke bairūn-e-mulk chalā gayā. 34jab aṅgūr ko toṛne kā vaqt qarīb ā gayā to us ne apne naukroṅ ko muzāreoṅ ke pās bhej diyā tāki vah un se mālik kā hissā vasūl kareṅ. 35lekin muzāreoṅ ne us ke naukroṅ ko pakaṛ liyā. unhoṅ ne ek kī piṭāī kī, dūsre ko qatl kiyā aur tīsre ko saṅgasār kiyā. 36phir mālik ne mazīd naukroṅ ko un ke pās bhej diyā jo pahale kī nisbat ziyādā the. lekin muzāreoṅ ne un ke sāth bhī vahī sulūk kiyā. 37āḵẖirkār zamīndār ne apne beṭe ko un ke pās bhejā. us ne kahā, ‘āḵẖir mere beṭe kā to lihāz kareṅge.’ 38lekin beṭe ko dekh kar muzāre ek dūsre se kahane lage, ‘yah zamīn kā vāris hai. āo, ham ise qatl karke us kī mīrās par qabzā kar leṅ.’ 39unhoṅ ne use pakaṛ kar bāġ se bāhar phaiṅk diyā aur qatl kiyā.”
40īsā ne pūchhā, “ab batāo, bāġ kā mālik jab āegā to un muzāreoṅ ke sāth kyā karegā?”
41unhoṅ ne javāb diyā, “vah unheṅ burī tarah tabāh karegā aur bāġ ko dūsroṅ ke sapurd kar degā, aise muzāreoṅ ke sapurd jo vaqt par use fasal kā us kā hissā deṅge.”
42īsā ne un se kahā, “kyā tum ne kabhī kalām kā yah havālā nahīṅ paṛhā,
‘jis patthar ko makān banāne vāloṅ ne radd kiyā,
vah kone kā bunyādī patthar ban gayā.
yah rabb ne kiyā
aur dekhne meṅ kitnā hairat’aṅgez hai’?
43is liye maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki allāh kī bādshāhī tum se le lī jāegī aur ek aisī qaum ko dī jāegī jo is ke mutābiq phal lāegī. 44jo is patthar par giregā vah ṭukṛe ṭukṛe ho jāegā, jabki jis par vah ḵẖud giregā use vah pīs ḍālegā.”
45īsā kī tamsīleṅ sun kar rāhanumā imām aur farīsī samajh gae ki vah hamāre bāre meṅ bāt kar rahā hai. 46unhoṅ ne īsā ko giriftār karne kī koshish kī, lekin vah avām se ḍarte the kyūṅki vah samajhte the ki īsā nabī hai.