Mattī 25
das kuṅvāriyoṅ kī tamsīl
1us vaqt āsmān kī bādshāhī das kuṅvāriyoṅ se mutābiqat rakhegī jo apne charāġ le kar dūlhe ko milne ke liye nikleṅ. 2un meṅ se pāṅch nāsamajh thīṅ aur pāṅch samajhdār. 3nāsamajh kuṅvāriyoṅ ne apne pās charāġoṅ ke liye fāltū tel na rakhā. 4lekin samajhdār kuṅvāriyoṅ ne kuppī meṅ tel ḍāl kar apne sāth le liyā. 5dūlhe ko āne meṅ baṛī der lagī, is liye vah sab ūṅgh ūṅgh kar so gaīṅ.
6ādhī rāt ko shor mach gayā, ‘dekho, dūlhā pahuṅch rahā hai, use milne ke liye niklo!’ 7is par tamām kuṅvāriyāṅ jāg uṭhīṅ aur apne charāġoṅ ko durust karne lagīṅ. 8nāsamajh kuṅvāriyoṅ ne samajhdār kuṅvāriyoṅ se kahā, ‘apne tel meṅ se hameṅ bhī kuchh de do. hamāre charāġ bujhne vāle haiṅ.’ 9dūsrī kuṅvāriyoṅ ne javāb diyā, ‘nahīṅ, aisā na ho ki na sirf tumhāre liye balki hamāre liye bhī tel kāfī na ho. dukān par jā kar apne liye ḵẖarīd lo.’ 10chunāṅche nāsamajh kuṅvāriyāṅ chalī gaīṅ. lekin is daurān dūlhā pahuṅch gayā. jo kuṅvāriyāṅ tayyār thīṅ vah us ke sāth shādī hāl meṅ dāḵẖil huīṅ. phir darvāze ko band kar diyā gayā.
11kuchh der ke bād bāqī kuṅvāriyāṅ āīṅ aur chillāne lagīṅ, ‘janāb! hamāre liye darvāzā khol deṅ.’ 12lekin us ne javāb diyā, ‘yaqīn jāno, maiṅ tum ko nahīṅ jāntā.’
13is liye chaukas raho, kyūṅki tum ibn-e-ādam ke āne kā din yā vaqt nahīṅ jānte.
tīn naukroṅ kī tamsīl
14us vaqt āsmān kī bādshāhī yūṅ hogī : ek ādmī ko bairūn-e-mulk jānā thā. us ne apne naukroṅ ko bulā kar apnī milkiyat un ke sapurd kar dī. 15pahale ko us ne sone ke 5,000 sikke die, dūsre ko 2,000 aur tīsre ko 1,000. har ek ko us ne us kī qābiliyat ke mutābiq paise die. phir vah ravānā huā. 16jis naukar ko 5,000 sikke mile the us ne sīdhā jā kar unheṅ kisī kārobār meṅ lagāyā. is se use mazīd 5,000 sikke hāsil hue. 17isī tarah dūsre ko bhī jise 2,000 sikke mile the mazīd 2,000 sikke hāsil hue. 18lekin jis ādmī ko 1,000 sikke mile the vah chalā gayā aur kahīṅ zamīn meṅ gaṛhā khod kar apne mālik ke paise us meṅ chhupā die.
19baṛī der ke bād un kā mālik lauṭ āyā. jab us ne un ke sāth hisāb-kitāb kiyā 20to pahalā naukar jise 5,000 sikke mile the mazīd 5,000 sikke le kar āyā. us ne kahā, ‘janāb, āp ne 5,000 sikke mere sapurd kie the. yah dekheṅ, maiṅ ne mazīd 5,000 sikke hāsil kie haiṅ.’ 21us ke mālik ne javāb diyā, ‘shābāsh, mere acchhe aur vafādār naukar. tum thoṛe meṅ vafādār rahe, is liye maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅgā. andar āo aur apne mālik kī ḵẖushī meṅ sharīk ho jāo.’
22phir dūsrā naukar āyā jise 2,000 sikke mile the. us ne kahā, ‘janāb, āp ne 2,000 sikke mere sapurd kie the. yah dekheṅ, maiṅ ne mazīd 2,000 sikke hāsil kie haiṅ.’ 23us ke mālik ne javāb diyā, ‘shābāsh, mere acchhe aur vafādār naukar. tum thoṛe meṅ vafādār rahe, is liye maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅgā. andar āo aur apne mālik kī ḵẖushī meṅ sharīk ho jāo.’
24phir tīsrā naukar āyā jise 1,000 sikke mile the. us ne kahā, ‘janāb, maiṅ jāntā thā ki āp saḵẖt ādmī haiṅ. jo bīj āp ne nahīṅ boyā us kī fasal āp kāṭte haiṅ aur jo kuchh āp ne nahīṅ lagāyā us kī paidāvār jamā karte haiṅ. 25is liye maiṅ ḍar gayā aur jā kar āp ke paise zamīn meṅ chhupā die. ab āp apne paise vāpas le sakte haiṅ.’
26us ke mālik ne javāb diyā, ‘sharīr aur sust naukar! kyā tū jāntā thā ki jo bīj maiṅ ne nahīṅ boyā us kī fasal kāṭtā hūṅ aur jo kuchh maiṅ ne nahīṅ lagāyā us kī paidāvār jamā kartā hūṅ? 27to phir tū ne mere paise baiṅk meṅ kyūṅ na jamā karā die? agar aisā kartā to vāpsī par mujhe kam az kam vah paise sūd samet mil jāte.’ 28yah kah kar mālik dūsroṅ se muḵẖātib huā, ‘yah paise is se le kar us naukar ko de do jis ke pās 10,000 sikke haiṅ. 29kyūṅki jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se vah bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai. 30ab is bekār naukar ko nikāl kar bāhar kī tārīkī meṅ phaiṅk do, vahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.’
āḵẖirī adālat
31jab ibn-e-ādam apne jalāl ke sāth āegā aur tamām farishte us ke sāth hoṅge to vah apne jalālī taḵẖt par baiṭh jāegā. 32tab tamām qaumeṅ us ke sāmne jamā kī jāeṅgī. aur jis tarah charvāhā bheṛoṅ ko bakriyoṅ se alag kartā hai usī tarah vah logoṅ ko ek dūsre se alag karegā. 33vah bheṛoṅ ko apne dahane hāth khaṛā karegā aur bakriyoṅ ko apne bāeṅ hāth. 34phir bādshāh dahane hāth vāloṅ se kahegā, ‘āo, mere bāp ke mubārak logo! jo bādshāhī duniyā kī taḵẖlīq se tumhāre liye tayyār hai use mīrās meṅ le lo. 35kyūṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe khānā khilāyā, maiṅ piyāsā thā aur tum ne mujhe pānī pilāyā, maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehamān-navāzī kī, 36maiṅ naṅgā thā aur tum ne mujhe kapṛe pahanāe, maiṅ bīmār thā aur tum ne merī dekh-bhāl kī, maiṅ jel meṅ thā aur tum mujh se milne āe.’
37phir yah rāstbāz log javāb meṅ kaheṅge, ‘ḵẖudāvand, ham ne āp ko kab bhūkā dekh kar khānā khilāyā, āp ko kab piyāsā dekh kar pānī pilāyā? 38ham ne āp ko kab ajnabī kī haisiyat se dekh kar āp kī mehamān-navāzī kī, āp ko kab naṅgā dekh kar kapṛe pahanāe? 39ham āp ko kab bīmār hālat meṅ yā jel meṅ paṛā dekh kar āp se milne gae?’ 40bādshāh javāb degā, ‘maiṅ tumheṅ sacch batātā hūṅ ki jo kuchh tum ne mere in sab se chhoṭe bhāiyoṅ meṅ se ek ke liye kiyā vah tum ne mere hī liye kiyā.’
41phir vah bāeṅ hāth vāloṅ se kahegā, ‘lāntī logo, mujh se dūr ho jāo aur us abdī āg meṅ chale jāo jo iblīs aur us ke farishtoṅ ke liye tayyār hai. 42kyūṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe kuchh na khilāyā, maiṅ piyāsā thā aur tum ne mujhe pānī na pilāyā, 43maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehamān-navāzī na kī, maiṅ naṅgā thā aur tum ne mujhe kapṛe na pahanāe, maiṅ bīmār aur jel meṅ thā aur tum mujh se milne na āe.’
44phir vah javāb meṅ pūchheṅge, ‘ḵẖudāvand, ham ne āp ko kab bhūkā, piyāsā, ajnabī, naṅgā, bīmār yā jel meṅ paṛā dekhā aur āp kī ḵẖidmat na kī?’ 45vah javāb degā, ‘maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki jab kabhī tum ne in sab se chhoṭoṅ meṅ se ek kī madad karne se inkār kiyā to tum ne merī ḵẖidmat karne se inkār kiyā.’ 46phir yah abdī sazā bhugatne ke liye jāeṅge jabki rāstbāz abdī zindagī meṅ dāḵẖil hoṅge.”