Mattī 6
ḵẖairāt
1ḵẖabardār! apne nek kām logoṅ ke sāmne dikhāve ke liye na karo, varnā tum ko apne āsmānī bāp se koī ajr nahīṅ milegā.
2chunāṅche ḵẖairāt dete vaqt riyākāroṅ kī tarah na kar jo ibādatḵẖānoṅ aur galiyoṅ meṅ bigal bajā kar is kā elān karte haiṅ tāki log un kī izzat kareṅ. maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai. 3is ke bajāy jab tū ḵẖairāt de to tere dāeṅ hāth ko patā na chale ki bāyāṅ hāth kyā kar rahā hai. 4terī ḵẖairāt yūṅ poshīdgī meṅ dī jāe to terā bāp jo poshīdā bāteṅ dekhtā hai tujhe is kā muāvazā degā.
duā
5duā karte vaqt riyākāroṅ kī tarah na karnā jo ibādatḵẖānoṅ aur chaukoṅ meṅ jā kar duā karnā pasand karte haiṅ, jahāṅ sab unheṅ dekh sakeṅ. maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai. 6is ke bajāy jab tū duā kartā hai to andar ke kamre meṅ jā kar darvāzā band kar aur phir apne bāp se duā kar jo poshīdgī meṅ hai. phir terā bāp jo poshīdā bāteṅ dekhtā hai tujhe is kā muāvazā degā.
7duā karte vaqt ġairyahūdiyoṅ kī tarah tavīl aur bemānī bāteṅ na duharāte raho. vah samajhte haiṅ ki hamārī bahut sī bātoṅ ke sabab se hamārī sunī jāegī. 8un kī mānind na bano, kyūṅki tumhārā bāp pahale se tumhārī zarūriyāt se vāqif hai, 9balki yūṅ duā kiyā karo,
ai hamāre āsmānī bāp,
terā nām muqaddas mānā jāe.
10terī bādshāhī āe.
terī marzī jis tarah āsmān meṅ pūrī hotī hai zamīn par bhī pūrī ho.
11hamārī roz kī roṭī āj hameṅ de.
12hamāre gunāhoṅ ko muāf kar
jis tarah ham ne unheṅ muāf kiyā [a] lafzī tarjumā : hamāre qarz hameṅ muāf kar jis tarah ham ne apne qarzdāroṅ ko muāf kiyā.
jinhoṅ ne hamārā gunāh kiyā hai.
13aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de
balki hameṅ iblīs se bachāe rakh.
[kyūṅki bādshāhī, qudrat aur jalāl abad tak tere hī haiṅ.]
14kyūṅki jab tum logoṅ ke gunāh muāf karoge to tumhārā āsmānī bāp bhī tum ko muāf karegā. 15lekin agar tum unheṅ muāf na karo to tumhārā bāp bhī tumhāre gunāh muāf nahīṅ karegā.
rozā
16rozā rakhte vaqt riyākāroṅ kī tarah muṅh laṭkāe na firo, kyūṅki vah aisā rūp bharte haiṅ tāki logoṅ ko mālūm ho jāe ki vah rozā se haiṅ. maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai. 17aisā mat karnā balki rozā ke vaqt apne bāloṅ meṅ tel ḍāl aur apnā muṅh dho. 18phir logoṅ ko mālūm nahīṅ hogā ki tū rozā se hai balki sirf tere bāp ko jo poshīdgī meṅ hai. aur terā bāp jo poshīdā bāteṅ dekhtā hai tujhe is kā muāvazā degā.
āsmān par ḵẖazānā
19is duniyā meṅ apne liye ḵẖazāne jamā na karo, jahāṅ kīṛā aur zaṅg unheṅ khā jāte aur chor naqab lagā kar churā lete haiṅ. 20is ke bajāy apne ḵẖazāne āsmān par jamā karo jahāṅ kīṛā aur zaṅg unheṅ tabāh nahīṅ kar sakte, na chor naqab lagā kar churā sakte haiṅ. 21kyūṅki jahāṅ terā ḵẖazānā hai vahīṅ terā dil bhī lagā rahegā.
jism kī raushnī
22badan kā charāġ āṅkh hai. agar terī āṅkh ṭhīk ho to phir terā pūrā badan raushan hogā. 23lekin agar terī āṅkh ḵẖarāb ho to terā pūrā badan aṅdherā hī aṅdherā hogā. aur agar tere andar kī raushnī tārīkī ho to yah tārīkī kitnī shadīd hogī!
befikr honā
24koī bhī do mālikoṅ kī ḵẖidmat nahīṅ kar saktā. yā to vah ek se nafrat karke dūsre se muhabbat rakhegā yā ek se lipaṭ kar dūsre ko haqīr jānegā. tum ek hī vaqt meṅ allāh aur daulat kī ḵẖidmat nahīṅ kar sakte.
25is liye maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke liye pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ aur kyā piyūṅ. aur jism ke liye fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahanūṅ. kyā zindagī khāne-pīne se aham nahīṅ hai? aur kyā jism poshāk se ziyādā ahamiyat nahīṅ rakhtā? 26parindoṅ par ġaur karo. na vah bīj bote, na fasleṅ kāṭ kar unheṅ godām meṅ jamā karte haiṅ. tumhārā āsmānī bāp ḵẖud unheṅ khānā khilātā hai. kyā tumhārī un kī nisbat ziyādā qadar-o-qīmat nahīṅ hai? 27kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai?
28aur tum apne kapṛoṅ ke liye kyūṅ fikrmand hote ho? ġaur karo ki sosan ke phūl kis tarah ugte haiṅ. na vah mehanat karte, na kātte haiṅ. 29lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki sulaimān bādshāh apnī pūrī shān-o-shaukat ke bāvujūd aise shāndār kapṛoṅ se mulabbas nahīṅ thā jaise un meṅ se ek. 30agar allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahanātā hai to ai kamaetiqādo, vah tum ko pahanāne ke liye kyā kuchh nahīṅ karegā?
31chunāṅche pareshānī ke ālam meṅ fikr karte karte yah na kahate raho, ‘ham kyā khāeṅ? ham kyā pieṅ? ham kyā pahaneṅ?’ 32kyūṅki jo īmān nahīṅ rakhte vahī in tamām chīzoṅ ke pīchhe bhāgte rahate haiṅ jabki tumhāre āsmānī bāp ko pahale se mālūm hai ki tum ko in tamām chīzoṅ kī zarūrat hai. 33pahale allāh kī bādshāhī aur us kī rāstbāzī kī talāsh meṅ raho. phir yah tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī. 34is liye kal ke bāre meṅ fikr karte karte pareshān na ho kyūṅki kal kā din apne liye āp fikr kar legā. har din kī apnī musībateṅ kāfī haiṅ.