Mattī 8
koṛh se shifā
1īsā pahāṛ se utrā to baṛī bhīṛ us ke pīchhe chalne lagī. 2phir ek ādmī us ke pās āyā jo koṛh kā marīz thā. muṅh ke bal gir kar us ne kahā, “ḵẖudāvand, agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.”
3īsā ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “maiṅ chāhatā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” is par vah fauran us bīmārī se pāk-sāf ho gayā. 4īsā ne us se kahā, “ḵẖabardār! yah bāt kisī ko na batānā balki bait-ul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki vah terā muāinā kare. apne sāth vah qurbānī le jā jis kā taqāzā mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā milī hai. yūṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū vāqaī pāk-sāf ho gayā hai.”
romī afsar ke ġulām kī shifā
5jab īsā kafarnahūm meṅ dāḵẖil huā to sau faujiyoṅ par muqarrar ek afsar us ke pās ā kar us kī minnat karne lagā, 6“ḵẖudāvand, merā ġulām maflūj hālat meṅ ghar meṅ paṛā hai, aur use shadīd dard ho rahā hai.”
7īsā ne us se kahā, “maiṅ ā kar use shifā dūṅgā.”
8afsar ne javāb diyā, “nahīṅ ḵẖudāvand, maiṅ is lāiq nahīṅ ki āp mere ghar jāeṅ. bas yahīṅ se hukm kareṅ to merā ġulām shifā pā jāegā. 9kyūṅki mujhe ḵẖud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mā-tahat bhī faujī haiṅ. ek ko kahatā hūṅ, ‘jā!’ to vah jātā hai aur dūsre ko ‘ā!’ to vah ātā hai. isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘yah kar’ to vah kartā hai.”
10yah sun kar īsā nihāyat hairān huā. us ne muṛ kar apne pīchhe āne vāloṅ se kahā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, maiṅ ne isrāīl meṅ bhī is qism kā īmān nahīṅ pāyā. 11maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, bahut se log mashriq aur maġrib se ā kar ibrāhīm, ishāq aur yāqūb ke sāth āsmān kī bādshāhī kī ziyāfat meṅ sharīk hoṅge. 12lekin bādshāhī ke asal vārisoṅ ko nikāl kar aṅdhere meṅ ḍāl diyā jāegā, us jagah jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.” 13phir īsā afsar se muḵẖātib huā, “jā, tere sāth vaisā hī ho jaisā terā īmān hai.”
aur afsar ke ġulām ko usī ghaṛī shifā mil gaī.
bahut se marīzoṅ kī shifā
14īsā patras ke ghar meṅ āyā. vahāṅ us ne patras kī sās ko bistar par paṛe dekhā. use buḵẖār thā. 15us ne us kā hāth chhū liyā to buḵẖār utar gayā aur vah uṭh kar us kī ḵẖidmat karne lagī.
16shām huī to badrūhoṅ kī girift meṅ paṛe bahut se logoṅ ko īsā ke pās lāyā gayā. us ne badrūhoṅ ko hukm de kar nikāl diyā aur tamām marīzoṅ ko shifā dī. 17yūṅ yasāyāh nabī kī yah peshgoī pūrī huī ki “us ne hamārī kamzoriyāṅ le līṅ aur hamārī bīmāriyāṅ uṭhā līṅ.”
pairvī kī sanjīdgī
18jab īsā ne apne gird baṛā hujūm dekhā to us ne shāgirdoṅ ko jhīl pār karne kā hukm diyā. 19ravānā hone se pahale sharīat kā ek ālim us ke pās ā kar kahane lagā, “ustād, jahāṅ bhī āp jāeṅge maiṅ āp ke pīchhe chaltā rahūṅgā.”
20īsā ne javāb diyā, “lomṛiyāṅ apne bhaṭoṅ meṅ aur parinde apne ghoṅsloṅ meṅ ārām kar sakte haiṅ, lekin ibn-e-ādam ke pās sar rakh kar ārām karne kī koī jagah nahīṅ.”
21kisī aur shāgird ne us se kahā, “ḵẖudāvand, mujhe pahale jā kar apne bāp ko dafan karne kī ijāzat deṅ.”
22lekin īsā ne use batāyā, “mere pīchhe ho le aur murdoṅ ko apne murde dafan karne de.”
īsā āṅdhī ko thamā detā hai
23phir vah kashtī par savār huā aur us ke pīchhe us ke shāgird bhī. 24achānak jhīl par saḵẖt āṅdhī chalne lagī aur kashtī laharoṅ meṅ ḍūbne lagī. lekin īsā so rahā thā. 25shāgird us ke pās gae aur use jagā kar kahane lage, “ḵẖudāvand, hameṅ bachā, ham tabāh ho rahe haiṅ!”
26us ne javāb diyā, “ai kamaetiqādo! ghabrāte kyūṅ ho?” khaṛe ho kar us ne āṅdhī aur maujoṅ ko ḍāṅṭā to lahareṅ bilkul sākit ho gaīṅ. 27shāgird hairān ho kar kahane lage, “yah kis qism kā shaḵẖs hai? havā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”
do badruh-giriftā ādmiyoṅ kī shifā
28vah jhīl ke pār gadrīniyoṅ ke ilāqe meṅ pahuṅche to badruh-giriftā do ādmī qabroṅ meṅ se nikal kar īsā ko mile. vah itne ḵẖatarnāk the ki vahāṅ se koī guzar nahīṅ saktā thā. 29chīḵẖeṅ mār mār kar unhoṅ ne kahā, “allāh ke farzand, hamārā āp ke sāth kyā vāstā? kyā āp hameṅ muqarrarā vaqt se pahale azāb meṅ ḍālne āe haiṅ?”
30kuchh fāsile par sūaroṅ kā baṛā ġol char rahā thā. 31badrūhoṅ ne īsā se iltijā kī, “agar āp hameṅ nikālte haiṅ to sūaroṅ ke us ġol meṅ bhej deṅ.”
32īsā ne unheṅ hukm diyā, “jāo.” badruheṅ nikal kar sūaroṅ meṅ jā ghusīṅ. is par pūre kā pūrā ġol bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utrā aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb marā. 33yah dekh kar sūaroṅ ke gallābān bhāg gae. shahar meṅ jā kar unhoṅ ne logoṅ ko sab kuchh sunāyā aur vah bhī jo badruh-giriftā ādmiyoṅ ke sāth huā thā. 34phir pūrā shahar nikal kar īsā ko milne āyā. use dekh kar unhoṅ ne us kī minnat kī ki hamāre ilāqe se chale jāeṅ.