Mattī 9
maflūj ādmī kī shifā
1kashtī meṅ baiṭh kar īsā ne jhīl ko pār kiyā aur apne shahar pahuṅch gayā. 2vahāṅ ek maflūj ādmī ko chārpāī par ḍāl kar us ke pās lāyā gayā. un kā īmān dekh kar īsā ne kahā, “beṭā, hauslā rakh. tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.”
3yah sun kar sharīat ke kuchh ulmā dil meṅ kahane lage, “yah kufr bak rahā hai!”
4īsā ne jān liyā ki yah kyā soch rahe haiṅ, is liye us ne un se pūchhā, 5“tum dil meṅ barī bāteṅ kyūṅ soch rahe ho? kyā maflūj se yah kahanā ziyādā āsān hai ki ‘tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yah ki ‘uṭh aur chal phir?’ 6lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki ibn-e-ādam ko vāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḵẖtiyār hai.” yah kah kar vah maflūj se muḵẖātib huā, “uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.”
7vah ādmī khaṛā huā aur apne ghar chalā gayā. 8yah dekh kar hujūm par allāh kā ḵẖauf tārī ho gayā aur vah allāh kī tamjīd karne lage ki us ne insān ko is qism kā iḵẖtiyār diyā hai.
mattī kī bulāhaṭ
9āge jā kar īsā ne ek ādmī ko dekhā jo ṭaiks lene vāloṅ kī chaukī par baiṭhā thā. us kā nām mattī thā. īsā ne us se kahā, “mere pīchhe ho le.” aur mattī uṭh kar us ke pīchhe ho liyā.
10bād meṅ īsā mattī ke ghar meṅ khānā khā rahā thā. bahut se ṭaiks lene vāle aur gunāhgār bhī ā kar īsā aur us ke shāgirdoṅ ke sāth khāne meṅ sharīk hue. 11yah dekh kar farīsiyoṅ ne us ke shāgirdoṅ se pūchhā, “āp kā ustād ṭaiks lene vāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyūṅ khātā hai?”
12yah sun kar īsā ne kahā, “sehatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. 13pahale jāo aur kalām-e-muqaddas kī is bāt kā matlab jān lo ki ‘maiṅ qurbānī nahīṅ balki raham pasand kartā hūṅ.’ kyūṅki maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.”
shāgird rozā kyūṅ nahīṅ rakhte?
14phir yahayā ke shāgird us ke pās āe aur pūchhā, “āp ke shāgird rozā kyūṅ nahīṅ rakhte jabki ham aur farīsī rozā rakhte haiṅ?”
15īsā ne javāb diyā, “shādī ke mehamān kis tarah mātam kar sakte haiṅ jab tak dūlhā un ke darmiyān hai? lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. us vaqt vah zarūr rozā rakheṅge.
16koī bhī nae kapṛe kā ṭukṛā kisī purāne libās meṅ nahīṅ lagātā. agar vah aisā kare to nayā ṭukṛā bād meṅ sukaṛ kar purāne libās se alag ho jāegā. yūṅ purāne libās kī phaṭī huī jagah pahale kī nisbat ziyādā ḵẖarāb ho jāegī. 17isī tarah aṅgūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍālā jātā. agar aisā kiyā jāe to purānī mashkeṅ paidā hone vālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. is liye aṅgūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ. yūṅ ras aur mashkeṅ donoṅ hī mahfūz rahate haiṅ.”
yāīr kī beṭī aur bīmār aurat
18īsā abhī yah bayān kar rahā thā ki ek yahūdī rāhanumā ne gir kar use sijdā kiyā aur kahā, “merī beṭī abhī abhī marī hai. lekin ā kar apnā hāth us par rakheṅ to vah dubārā zindā ho jāegī.”
19īsā uṭh kar apne shāgirdoṅ samet us ke sāth ho liyā.
20chalte chalte ek aurat ne pīchhe se ā kar īsā ke libās kā kinārā chhuā. yah aurat bārah sāl se ḵẖūn bahane kī marīzā thī 21aur vah soch rahī thī, “agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to shifā pā lūṅgī.”
22īsā ne muṛ kar use dekhā aur kahā, “beṭī, hauslā rakh! tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.” aur aurat ko usī vaqt shifā mil gaī.
23phir īsā rāhanumā ke ghar meṅ dāḵẖil huā. bāṅsrī bajāne vāle aur bahut se log pahuṅch chuke the aur bahut shor-sharābā thā. yah dekh kar 24īsā ne kahā, “nikal jāo! laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.” log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage. 25lekin jab sab ko nikāl diyā gayā to vah andar gayā. us ne laṛkī kā hāth pakṛā to vah uṭh khaṛī huī. 26is mojize kī ḵẖabar us pūre ilāqe meṅ phail gaī.
do aṅdhoṅ kī shifā
27jab īsā vahāṅ se ravānā huā to do aṅdhe us ke pīchhe chal kar chillāne lage, “ibn-e-dāūd, ham par raham kareṅ.”
28jab īsā kisī ke ghar meṅ dāḵẖil huā to vah us ke pās āe. īsā ne un se pūchhā, “kyā tumhārā īmān hai ki maiṅ yah kar saktā hūṅ?”
unhoṅ ne javāb diyā, “jī, ḵẖudāvand.”
29phir us ne un kī āṅkheṅ chhū kar kahā, “tumhāre sāth tumhāre īmān ke mutābiq ho jāe.” 30un kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur īsā ne saḵẖtī se unheṅ kahā, “ḵẖabardār, kisī ko bhī is kā patā na chale!”
31lekin vah nikal kar pūre ilāqe meṅ us kī ḵẖabar phailāne lage.
gūṅge ādmī kī shifā
32jab vah nikal rahe the to ek gūṅgā ādmī īsā ke pās lāyā gayā jo kisī badruh ke qabze meṅ thā. 33jab badruh ko nikālā gayā to gūṅgā bolne lagā. hujūm hairān rah gayā. unhoṅ ne kahā, “aisā kām isrāīl meṅ kabhī nahīṅ dekhā gayā.”
34lekin farīsiyoṅ ne kahā, “vah badrūhoṅ ke sardār hī kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.”
īsā ko logoṅ par taras ātā hai
35aur īsā safar karte karte tamām shaharoṅ aur gāoṅ meṅ se guzrā. jahāṅ bhī vah pahuṅchā vahāṅ us ne un ke ibādatḵẖānoṅ meṅ tālīm dī, bādshāhī kī ḵẖushḵẖabarī sunāī aur har qism ke marz aur alālat se shifā dī. 36hujūm ko dekh kar use un par baṛā taras āyā, kyūṅki vah pise hue aur bebas the, aisī bheṛoṅ kī tarah jin kā charvāhā na ho. 37us ne apne shāgirdoṅ se kahā, “fasal bahut hai, lekin mazdūr kam. 38is liye fasal ke mālik se guzārish karo ki vah apnī fasal kāṭne ke liye mazīd mazdūr bhej de.”