Mīkāh 3
rāhanumāoṅ aur jhūṭe nabiyoṅ par ilāhī faislā
1maiṅ bolā, “ai yāqūb ke rāhanumāo, ai isrāīl ke buzurgo, suno! tumheṅ insāf ko jānnā chāhie. 2lekin jo acchhā hai us se tum nafrat karte aur jo ġalat hai use piyār karte ho. tum merī qaum kī khāl utār kar us kā gosht haḍḍiyoṅ se judā kar lete ho. 3kyūṅki tum merī qaum kā gosht khā lete ho. un kī khāl utār kar tum un kī haḍḍiyoṅ aur gosht ko ṭukṛe ṭukṛe karke deg meṅ phaiṅk dete ho.” 4tab vah chillā kar rabb se iltijā kareṅge, lekin vah un kī nahīṅ sunegā. un ke ġalat kāmoṅ ke sabab se vah apnā chiharā un se chhupā legā.
5rabb farmātā hai, “ai nabiyo, tum merī qaum ko bhaṭkā rahe ho. agar tumheṅ kuchh khilāyā jāe to tum elān karte ho ki amn-o-amān hogā. lekin jo tumheṅ kuchh na khilāe us par tum jihād kā fatwā dete ho. 6chunāṅche tum par aisī rāt chhā jāegī jis meṅ tum royā nahīṅ dekhoge, aisī tārīkī jis meṅ tumheṅ mustaqbil ke bāre meṅ koī bhī bāt nahīṅ milegī. nabiyoṅ par sūraj ḍūb jāegā, un ke chāroṅ taraf aṅdherā hī aṅdherā chhā jāegā. 7tab royā dekhne vāle sharmasār aur qismat kā hāl batāne vāle sharmindā ho jāeṅge. sharm ke māre vah apne muṅh ko chhupā leṅge [a] muṅh kā lafzī tarjumā mūṅchheṅ hai. , kyūṅki allāh se koī bhī javāb nahīṅ milegā.”
8lekin maiṅ ḵẖud quvvat se, rabb ke rūh se aur insāf aur tāqat se bharā huā hūṅ tāki yāqūb kī aulād ko us ke jarāim aur isrāīl ko us ke gunāh sunā sakūṅ.
9ai yāqūb ke rāhanumāo, ai isrāīl ke buzurgo, suno! tum insāf se ghin khā kar har sīdhī bāt ko ṭeṛhī banā lete ho. 10tum siyyūn ko ḵẖūṅrezī se aur yarūshalam ko nāinsāfī se tāmīr kar rahe ho. 11yarūshalam ke buzurg adālat karte vaqt rishvat lete haiṅ. us ke imām tālīm dete haiṅ lekin sirf kuchh milne ke liye. us ke nabī peshgoī sunā dete haiṅ lekin sirf paisoṅ ke muāvaze meṅ. tāham yah log rabb par inhisār karke kahate haiṅ, “ham par āfat ā hī nahīṅ saktī, kyūṅki rabb hamāre darmiyān hai.”
12tumhārī vajah se siyyūn par hal chalāyā jāegā aur yarūshalam malbe kā ḍher ban jāegā. jis pahāṛ par rabb kā ghar hai us par jaṅgal chhā jāegā.