Mīkāh 6

allāh isrāīl par ilzām lagātā hai

1ai isrāīl, rabb kā farmān sun, “adālat meṅ khaṛe ho kar apnā muāmalā bayān kar! pahāṛ aur pahāṛiyāṅ tere gavāh hoṅ, unheṅ apnī bāt sunā de.”

2ai pahāṛo, ab rabb kā apnī qaum par ilzām suno! ai duniyā kī qadīm bunyādo, tavajjuh do! kyūṅki rabb adālat meṅ apnī qaum par ilzām lagā rahā hai, vah isrāīl se muqaddmā uṭhā rahā hai.

3vah savāl kartā hai, “ai merī qaum, maiṅ ne tere sāth kyā ġalat sulūk kiyā? maiṅ ne kyā kiyā ki tū itnī thak gaī hai? batā to sahī! 4haqīqat to yah hai ki maiṅ tujhe mulk-e-misr se nikāl lāyā, maiṅ ne fidyā de kar tujhe ġulāmī se rihā kar diyā. sāth sāth maiṅ ne mūsā, hārūn aur mariyam ko bhejā tāki tere āge chal kar terī rāhanumāī kareṅ. 5ai merī qaum, vah vaqt yād kar jab moāb ke bādshāh balaq ne bal’ām bin baor ko bulāyā tāki tujh par lānat bheje. lānat kī bajāy us ne tujhe barkat dī! vah safar bhī yād kar jab tū shittīm se ravānā ho kar jiljāl pahuṅchī. agar tū in tamām bātoṅ par ġaur kare to jān legī ki rabb ne kitnī vafādārī aur insāf se tere sāth sulūk kiyā hai.”

6jab ham rabb ke huzūr āte haiṅ tāki allāh t’ālā ko sijdā kareṅ to hameṅ apne sāth kyā lānā chāhie? kyā hameṅ yaksālā bachhṛe us ke huzūr lā kar bhasm karne chāhieṅ? 7kyā rabb hazāroṅ meṅḍhoṅ yā tel kī beshumār nadiyoṅ se ḵẖush ho jāegā? kyā mujhe apne pahalauṭhe ko apne jarāim ke ivz chaṛhānā chāhie, apne jism ke phal ko apne gunāhoṅ ko miṭāne ke liye pesh karnā chāhie? hargiz nahīṅ!

8ai insān, us ne tujhe sāf batāyā hai ki kyā kuchh acchhā hai. rabb tujh se chāhatā hai ki tū insāf qāim rakhe, meharbānī karne meṅ lagā rahe aur farotnī se apne ḵẖudā ke huzūr chaltā rahe.

yarūshalam ko bhī sāmriyā kī sī sazā milegī

9suno! rabb yarūshalam ko āvāz de rahā hai. tavajjuh do, kyūṅki dānishmand us ke nām kā ḵẖauf māntā hai. ai qabīle, dhyān do ki kis ne yah muqarrar kiyā hai,

10“ab tak nājāiz nafā kī daulat bedīn ādmī ke ghar meṅ jamā ho rahī hai, ab tak log gandum bechate vaqt pūrā tol nahīṅ tolte, un kī ġalat paimāish par lānat! 11kyā maiṅ us ādmī ko barī qarār dūṅ jo ġalat tarāzū istemāl kartā hai aur jis kī thailī meṅ halke bāṭ paṛe rahate haiṅ? hargiz nahīṅ! 12yarūshalam ke amīr baṛe zālim haiṅ, lekin bāqī bāshinde bhī jhūṭ bolte haiṅ, un kī har bāt dhokā hī dhokā hai!

13is liye maiṅ tujhe mār mār kar zaḵẖmī karūṅgā. maiṅ tujhe tere gunāhoṅ ke badle meṅ tabāh karūṅgā. 14tū khānā khāegā lekin ser nahīṅ hogā balki peṭ ḵẖālī rahegā. tū māl mahfūz rakhne kī koshish karegā, lekin kuchh nahīṅ bachegā. kyūṅki jo kuchh tū bachāne kī koshish karegā use maiṅ talvār ke havāle karūṅgā. 15tū bīj boegā lekin fasal nahīṅ kāṭegā, zaitūn kā tel nikālegā lekin use istemāl nahīṅ karegā, aṅgūr kā ras nikālegā lekin use nahīṅ piegā. 16tū isrāīl ke bādshāhoṅ umrī aur aḵẖiyab ke namūne par chal paṛā hai, āj tak un hī ke mansūboṅ kī pairvī kartā āyā hai. is liye maiṅ tujhe tabāhī ke havāle kar dūṅgā, tere logoṅ ko mazāq kā nishānā banāūṅgā. tujhe dīgar aqvām kī lān-tān bardāsht karnī paṛegī.”