Nāhūm 2
1ai nīnvā, sab kuchh muntashir karne vālā tujh par hamlā karne ā rahā hai, chunāṅche qilae kī paharādārī kar! rāste par dhyān de, kamarbastā ho jā, jahāṅ tak mumkin hai difā kī tayyāriyāṅ kar!
2go yāqūb tabāh aur us ke aṅgūroṅ ke bāġ nābūd ho gae haiṅ, lekin ab rabb isrāīl kī shān-o-shaukat bahāl karegā.
3vah dekho, nīnvā par hamlā karne vāle sūrmāoṅ kī ḍhāleṅ surḵẖ haiṅ, faujī qirmizī raṅg kī vardiyāṅ pahane hue haiṅ. dushman ne apne rathoṅ ko tayyār kar rakhā hai, aur vah bhaṛaktī mash’aloṅ kī tarah chamak rahe haiṅ. sāth sāth sipāhī apne neze laharā rahe haiṅ. 4ab rath galiyoṅ meṅ se aṅdhā-dhund guzar rahe haiṅ. chaukoṅ meṅ vah idhar udhar bhāg rahe haiṅ. yūṅ lag rahā hai ki bhaṛaktī mash’aleṅ yā bādal kī bijliyāṅ idhar udhar chamak rahī haiṅ.
5hukmarān apne chīdā afsaroṅ ko bulā letā hai, aur vah ṭhokar khā khā kar āge baṛhte haiṅ. vah dauṛ kar fasīl ke pās pahuṅch jāte, jaldī se hifāztī ḍhāl khaṛī karte haiṅ. 6phir daryā ke darvāze khul jāte aur shāhī mahal laṛkhaṛāne lagtā hai. 7tab dushman malikā ke kapṛe utār kar use le jāte haiṅ. us kī lauṅḍiyāṅ chhātī pīṭ pīṭ kar kabūtaroṅ kī tarah ġūṅ ġūṅ kartī haiṅ. 8nīnvā baṛī der se acchhe-ḵẖāse tālāb kī mānind thā, lekin ab log us se bhāg rahe haiṅ. logoṅ ko kahā jātā hai, “ruk jāo, ruko to sahī!” lekin koī nahīṅ ruktā. sab sar par pāoṅ rakh kar shahar se bhāg rahe haiṅ, aur koī nahīṅ muṛtā.
9āo, nīnvā kī chāṅdī lūṭ lo, us kā sonā chhīn lo! kyūṅki zaḵẖīre kī intihā nahīṅ, us ke ḵẖazānoṅ kī daulat lā-mahdūd hai. 10lūṭne vāle kuchh nahīṅ chhoṛte. jald hī shahar ḵẖālī aur vīrān-o-sunsān ho jātā hai. har dil hauslā hār jātā, har ghuṭnā kāṁp uṭhtā, har kamar thartharāne lagtī aur har chihare kā raṅg māṅd paṛ jātā hai.
11ab nīnvā beṭī kī kyā haisiyat rahī? pahale vah sherbabar kī mānd thī, aisī jagah jahāṅ javān sheroṅ ko gosht khilāyā jātā, jahāṅ sher aur shernī apne bacchoṅ samet ṭahalte the. koī unheṅ ḍarā kar bhagā nahīṅ saktā thā. 12us vaqt sher apne bacchoṅ ke liye bahut kuchh phāṛ letā aur apnī sherniyoṅ ke liye bhī galā ghūṅṭ kar mār ḍāltā thā. us kī māndeṅ aur chhupne kī jagaheṅ phāṛe hue shikār se bharī rahatī thīṅ.
13rabb-ul-afwāj farmātā hai, “ai nīnvā, ab maiṅ tujh se nipaṭ letā hūṅ. maiṅ tere rathoṅ ko nazar-e-ātish kar dūṅgā, aur tere javān sher talvār kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. maiṅ hone dūṅgā ki āindā tujhe zamīn par kuchh na mile jise phāṛ kar khā sake. āindā tere qāsidoṅ kī āvāz kabhī sunāī nahīṅ degī.”