Nahamiyāh 11

yarūshalam aur yahūdāh ke bāshinde

1qaum ke buzurg yarūshalam meṅ ābād hue the. faislā kiyā gayā ki bāqī logoṅ ke har dasveṅ ḵẖāndān ko muqaddas shahar yarūshalam meṅ basnā hai. yah ḵẖāndān qur’ā ḍāl kar muqarrar kie gae. bāqī ḵẖāndānoṅ ko un kī maqāmī jagahoṅ meṅ rahane kī ijāzat thī. 2lekin jitne log apnī ḵẖushī se yarūshalam jā base unheṅ dūsroṅ ne mubārakabād dī.

3zail meṅ sūbe ke un buzurgoṅ kī faharist hai jo yarūshalam meṅ ābād hue. (aksar log yahūdāh ke bāqī shaharoṅ aur dīhāt meṅ apnī maurūsī zamīn par baste the. in meṅ ām isrāīlī, imām, lāvī, rabb ke ghar ke ḵẖidmatgār aur sulemān ke ḵẖādimoṅ kī aulād shāmil the. 4lekin yahūdāh aur binyamīn ke chand ek log yarūshalam meṅ jā base.)

yahūdāh kā qabīlā :

fāras ke ḵẖāndān kā atāyāh bin uzziyāh bin zakariyāh bin amariyāh bin safatiyāh bin mahalal-el,

5silonī ke ḵẖāndān kā māsiyāh bin bārūk bin kulhozā bin hazāyāh bin adāyāh bin yūyārīb bin zakariyāh.

6fāras ke ḵẖāndān ke 468 asar-o-rasūḵẖ rakhne vāle ādmī apne ḵẖāndānoṅ samet yarūshalam meṅ rihāishpazīr the.

7binyamīn kā qabīlā :

sallū bin masullām bin yoed bin fidāyāh bin qaulāyāh bin māsiyāh bin ītīel bin yasāyāh.

8sallū ke sāth jabbī aur sallī the. kul 928 ādmī the. 9in par yoel bin zikrī muqarrar thā jabki yahūdāh bin sanūāh shahar kī intizāmiyā meṅ dūsre nambar par ātā thā.

10yarūshalam meṅ zail ke imām rahate the.

yadāyāh, yūyārīb, yakīn 11aur sirāyāh bin ḵẖilaqiyāh bin masullām bin sadoq bin mirāyot bin aḵẖītūb. sirāyāh allāh ke ghar kā muntazim thā.

12in imāmoṅ ke 822 bhāī rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat karte the.

nīz, adāyāh bin yarohām bin filaliyāh bin amsī bin zakariyāh bin fashhūr bin malkiyāh. 13us ke sāth 242 bhāī the jo apne apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the.

in ke ilāvā amashsī bin azrel bin aḵẖzī bin masillamot bin immer. 14us ke sāth 128 asar-o-rasūḵẖ rakhne vāle bhāī the. zabdīel bin hajjadūlīm un kā iṅchārj thā.

15zail ke lāvī yarūshalam meṅ rihāishpazīr the. samāyāh bin hassūb bin azrīqām bin hasabiyāh bin bunnī,

16nīz sabbtī aur yūzbad jo allāh ke ghar se bāhar ke kām par muqarrar the,

17nīz shukrguzārī kā rāhanumā mattaniyāh bin mīkā bin zabdī bin āsaf thā jo duā karte vaqt hamd-o-sanā kī rāhanumāī kartā thā,

nīz us kā madadgār mattaniyāh kā bhāī baqbūqiyāh,

aur āḵẖir meṅ abdā bin sammūa bin jalāl bin yadūtūn.

18lāviyoṅ ke kul 284 mard muqaddas shahar meṅ rahate the.

19rabb ke ghar ke darbānoṅ ke darj-e-zail mard yarūshalam meṅ rahate the.

aqqūb aur talmūn apne bhāiyoṅ samet darvāzoṅ ke paharedār the. kul 172 mard the.

20qaum ke bāqī log, imām aur lāvī yarūshalam se bāhar yahūdāh ke dūsre shaharoṅ meṅ ābād the. har ek apnī ābāī zamīn par rahatā thā.

21rabb ke ghar ke ḵẖidmatgār ofal pahāṛī par baste the. zīhā aur jisfā un par muqarrar the.

22yarūshalam meṅ rahane vāle lāviyoṅ kā nigrān uzzī bin bānī bin hasabiyāh bin mattaniyāh bin mīkā thā. vah āsaf ke ḵẖāndān kā thā, us ḵẖāndān kā jis ke gulūkār allāh ke ghar meṅ ḵẖidmat karte the. 23bādshāh ne muqarrar kiyā thā ki āsaf ke ḵẖāndān ke kin kin ādmiyoṅ ko kis kis din rabb ke ghar meṅ gīt gāne kī ḵẖidmat karnī hai.

24fatahiyāh bin mashezab-el isrāīlī muāmloṅ meṅ fārs ke bādshāh kī numāindagī kartā thā. vah zārah bin yahūdāh ke ḵẖāndān kā thā.

25yahūdāh ke qabīle ke afrād zail ke shaharoṅ meṅ ābād the.

qiryat-arbā, dībon aur qabziel gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, 26yashūa, molādā, bait-falat, 27hasār-sūāl, bair-sabā gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, 28siqlāj, makūnāh gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, 29ain-rimmon, sur’ā, yarmūt, 30zanūh, adullām gird-o-navāh kī haveliyoṅ samet, lakīs gird-o-navāh ke khetoṅ samet aur azīqā gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet. ġaraz, vah junūb meṅ bair-sabā se le kar shimāl meṅ vādī-e-hinnūm tak ābād the.

31binyamīn ke qabīle kī rihāish zail ke maqāmoṅ meṅ thī.

jibā, mikmās, ayyāh, bait-el gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, 32antot, nob, ananiyāh, 33hasūr, rāmā, jittaim, 34hādīd, zaboīm, naballāt, 35lūd, onū aur kārīgaroṅ kī vādī.

36lāvī qabīle ke kuchh ḵẖāndān jo pahale yahūdāh meṅ rahate the ab binyamīn ke qabāilī ilāqe meṅ ābād hue.