Nahamiyāh 12

imāmoṅ aur lāviyoṅ kī faharist

1darj-e-zail un imāmoṅ aur lāviyoṅ kī faharist hai jo zarubbābal bin siyāltīel aur yashūa ke sāth jilāvatanī se vāpas āe.

imām :

sirāyāh, yaramiyāh, azrā,

2amariyāh, mallūk, hattūsh, 3sakaniyāh, rahūm, marīmot, 4iddū, jinnatūn, abiyāh, 5miyāmīn, muadiyāh, biljā, 6samāyāh, yūyārīb, yadāyāh, 7sallū, amūq, ḵẖilaqiyāh, aur yadāyāh. yah yashūa ke zamāne meṅ imāmoṅ aur un ke bhāiyoṅ ke rāhanumā the.

8lāvī :

yashūa, binnūī, qadamīel, saribiyāh, yahūdāh aur mattaniyāh. mattaniyāh apne bhāiyoṅ ke sāth rabb ke ghar meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāne meṅ rāhanumāī kartā thā. 9baqbūqiyāh aur unnī apne bhāiyoṅ ke sāth ibādat ke daurān un ke muqābil khaṛe hote the.

10imām-e-āzam yashūa kī aulād :

yashūa yūyqīm kā bāp thā, yūyqīm iliyāsib kā, iliyāsib yoydā kā, 11yoydā yūntan kā, yūntan yaddū kā.

12jab yūyqīm imām-e-āzam thā to zail ke imām apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the.

sirāyāh ke ḵẖāndān kā mirāyāh,

yaramiyāh ke ḵẖāndān kā hananiyāh,

13azrā ke ḵẖāndān kā masullām,

amariyāh ke ḵẖāndān kā yūhanān,

14mallūk ke ḵẖāndān kā yūntan,

sabaniyāh ke ḵẖāndān kā yūsuf,

15hārim ke ḵẖāndān kā adnā,

mirāyot ke ḵẖāndān kā ḵẖilqī,

16iddū ke ḵẖāndān kā zakariyāh,

jinnatūn ke ḵẖāndān kā masullām,

17abiyāh ke ḵẖāndān kā zikrī,

minyamīn ke ḵẖāndān kā ek ādmī,

muadiyāh ke ḵẖāndān kā filtī,

18biljā ke ḵẖāndān kā sammūa,

samāyāh ke ḵẖāndān kā yahūnatan,

19yūyārīb ke ḵẖāndān kā mattnī,

yadāyāh ke ḵẖāndān kā uzzī,

20sallī ke ḵẖāndān kā qallī,

amūq ke ḵẖāndān kā ibar,

21ḵẖilaqiyāh ke ḵẖāndān kā hasabiyāh,

yadāyāh ke ḵẖāndān kā natanīel.

22jab iliyāsib, yoydā, yūhanān aur yaddū imām-e-āzam the to lāvī ke sarparastoṅ kī faharist tayyār kī gaī aur isī tarah fārs ke bādshāh dārā ke zamāne meṅ imāmoṅ ke ḵẖāndānī sarparastoṅ kī faharist.

23lāvī ke ḵẖāndānī sarparastoṅ ke nām imām-e-āzam yūhanān bin iliyāsib ke zamāne tak tārīḵẖ kī kitāb meṅ darj kie gae.

24-25 lāvī ke ḵẖāndānī sarparast hasabiyāh, saribiyāh, yashūa, binnūī aur qadamīel ḵẖidmat ke un gurohoṅ kī rāhanumāī karte the jo rabb ke ghar meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāte the. un ke muqābil mattaniyāh, baqbūqiyāh aur abadiyāh apne gurohoṅ ke sāth khaṛe hote the. gīt gāte vaqt kabhī yah guroh aur kabhī us ke muqābil kā guroh gātā thā. sab kuchh us tartīb se huā jo mard-e-ḵẖudā dāūd ne muqarrar kī thī.

masullām, talmūn aur aqqūb darbān the jo rabb ke ghar ke darvāzoṅ ke sāth vāqe godāmoṅ kī paharādārī karte the.

26yah ādmī imām-e-āzam yūyqīm bin yashūa bin yūsdaq, nahamiyāh gavarnar aur sharīat ke ālim azrā imām ke zamāne meṅ apnī ḵẖidmat sar’anjām dete the.

fasīl kī maḵẖsūsiyat

27fasīl kī maḵẖsūsiyat ke liye pūre mulk ke lāviyoṅ ko yarūshalam bulāyā gayā tāki vah ḵẖushī manāne meṅ madad karke hamd-o-sanā ke gīt gāeṅ aur jhāṅjh, sitār aur sarod bajāeṅ. 28gulūkār yarūshalam ke gird-o-navāh se, natūfātiyoṅ ke dīhāt, 29bait-jiljāl aur jibā aur azmāvat ke ilāqe se āe. kyūṅki gulūkāroṅ ne apnī apnī ābādiyāṅ yarūshalam ke ird-gird banāī thīṅ. 30pahale imāmoṅ aur lāviyoṅ ne apne āp ko jashn ke liye pāk-sāf kiyā, phir unhoṅ ne ām logoṅ, darvāzoṅ aur fasīl ko bhī pāk-sāf kar diyā.

31is ke bād maiṅ ne yahūdāh ke qabīle ke buzurgoṅ ko fasīl par chaṛhne diyā aur gulūkāroṅ ko shukrguzārī ke do baṛe gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. pahalā guroh fasīl par chalte chalte junūb meṅ vāqe kachre ke darvāze kī taraf baṛh gayā. 32in gulūkāroṅ ke pīchhe hūsāyāh yahūdāh ke ādhe buzurgoṅ ke sāth chalā 33jabki in ke pīchhe azariyāh, azrā, masullām, 34yahūdāh, binyamīn, samāyāh aur yaramiyāh chale. 35āḵẖirī guroh imām the jo turam bajāte rahe. in ke pīchhe zail ke mūsīqār āe : zakariyāh bin yūntan bin samāyāh bin mattaniyāh bin mīkāyāh bin zakkūr bin āsaf 36aur us ke bhāī samāyāh, azrel, millī, jillī, māī, natanīel, yahūdāh aur hanānī. yah ādmī mard-e-ḵẖudā dāūd ke sāz bajāte rahe. sharīat ke ālim azrā ne julūs kī rāhanumāī kī. 37chashme ke darvāze ke pās ā kar vah sīdhe us sīṛhī par chaṛh gae jo yarūshalam ke us hisse tak pahuṅchātī hai jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai. phir dāūd ke mahal ke pīchhe se guzar kar vah shahar ke maġrib meṅ vāqe pānī ke darvāze tak pahuṅch gae.

38shukrguzārī kā dūsrā guroh fasīl par chalte chalte shimāl meṅ vāqe tanūroṅ ke burj aur ‘moṭī dīvār’ kī taraf baṛh gayā, aur maiṅ bāqī logoṅ ke sāth us ke pīchhe ho liyā. 39ham ifrāīm ke darvāze, yasānā ke darvāze, machhlī ke darvāze, hanan-el ke burj, miyā burj aur bheṛ ke darvāze se ho kar muhāfizoṅ ke darvāze tak pahuṅch gae jahāṅ ham ruk gae.

40phir shukrguzārī ke donoṅ guroh rabb ke ghar ke pās khaṛe ho gae. maiṅ bhī buzurgoṅ ke ādhe hisse 41aur zail ke turam bajāne vāle imāmoṅ ke sāth rabb ke ghar ke sahan meṅ khaṛā huā : iliyāqīm, māsiyāh, minyamīn, mīkāyāh, iliyūainī, zakariyāh aur hananiyāh. 42māsiyāh, samāyāh, ilīazar, uzzī, yūhanān, malkiyāh, ailām aur azar bhī hamāre sāth the. gulūkār izraḵẖiyāh kī rāhanumāī meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāte rahe.

43us din zabah kī baṛī baṛī qurbāniyāṅ pesh kī gaīṅ, kyūṅki allāh ne ham sab ko bāl-bacchoṅ samet baṛī ḵẖushī dilāī thī. ḵẖushiyoṅ kā itnā shor mach gayā ki us kī āvāz dūrdarāz ilāqoṅ tak pahuṅch gaī.

rabb ke ghar ke godāmoṅ kī zimmādārī

44us vaqt kuchh ādmiyoṅ ko un godāmoṅ ke nigrān banāyā gayā jin meṅ hadie, fasloṅ kā pahalā phal aur paidāvār kā dasvāṅ hissā mahfūz rakhā jātā thā. un meṅ shaharoṅ kī fasloṅ kā vah hissā jamā karnā thā jo sharīat ne imāmoṅ aur lāviyoṅ ke liye muqarrar kiyā thā. kyūṅki yahūdāh ke bāshinde ḵẖidmat karne vāle imāmoṅ aur lāviyoṅ se ḵẖush the 45jo apne ḵẖudā kī ḵẖidmat tahārat ke rasm-o-rivāj samet acchhī tarah anjām dete the. rabb ke ghar ke gulūkār aur darbān bhī dāūd aur us ke beṭe sulemān kī hidāyāt ke mutābiq hī ḵẖidmat karte the. 46kyūṅki dāūd aur āsaf ke zamāne se hī gulūkāroṅ ke līḍar allāh kī hamd-o-sanā ke gītoṅ meṅ rāhanumāī karte the.

47chunāṅche zarubbābal aur nahamiyāh ke dinoṅ meṅ tamām isrāīl rabb ke ghar ke gulūkāroṅ aur darbānoṅ kī rozānā zarūriyāt pūrī kartā thā. lāviyoṅ ko vah hissā diyā jātā jo un ke liye maḵẖsūs thā, aur lāvī us meṅ se imāmoṅ ko vah hissā diyā karte the jo un ke liye maḵẖsūs thā.