Nahamiyāh 3

fasīl kī tāmīr-e-nau

1imām-e-āzam iliyāsib bāqī imāmoṅ ke sāth mil kar tāmīrī kām meṅ lag gayā. unhoṅ ne bheṛ ke darvāze ko nae sire se banā diyā aur use maḵẖsūs karke us ke kivāṛ lagā die. unhoṅ ne fasīl ke sāth vāle hisse ko bhī miyā burj aur hanan-el ke burj tak banā kar maḵẖsūs kiyā.

2yarīhū ke ādmiyoṅ ne fasīl ke agle hisse ko khaṛā kiyā jabki zakkūr bin imrī ne un ke hisse se mulhiq hisse ko tāmīr kiyā.

3machhlī kā darvāzā sanāāh ke ḵẖāndān kī zimmādārī thī. use shahatīroṅ se banā kar unhoṅ ne kivāṛ, chaṭaḵẖniyāṅ aur kuṅḍe lagā die.

4agle hisse kī marammat marīmot bin ūriyāh bin haqqūz ne kī. aglā hissā masullām bin barakiyāh bin mashezab-el kī zimmādārī thī.

sadoq bin bānā ne agle hisse ko tāmīr kiyā.

5aglā hissā taqūa ke bāshindoṅ ne banāyā. lekin shahar ke baṛe log apne buzurgoṅ ke tahat kām karne ke liye tayyār na the.

6yasānā kā darvāzā yoydā bin fāsih aur masullām bin basūdiyāh kī zimmādārī thī. use shahatīroṅ se banā kar unhoṅ ne kivāṛ, chaṭaḵẖniyāṅ aur kuṅḍe lagā die.

7aglā hissā malatiyāh jibaūnī aur yadūn marūnotī ne khaṛā kiyā. yah log jibaūn aur misfāh ke the, vahī misfāh jahāṅ daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnar kā dār-ul-hakūmat thā.

8agle hisse kī marammat ek sunār banām uzzīel bin harhiyāh ke hāth meṅ thī.

agle hisse par ek itrasāz banām hananiyāh muqarrar thā. in logoṅ ne fasīl kī marammat ‘moṭī dīvār’ tak kī.

9agle hisse ko rifāyāh bin hūr ne khaṛā kiyā. yah ādmī zilā yarūshalam ke ādhe hisse kā afsar thā.

10yadāyāh bin harūmaf ne agle hisse kī marammat kī jo us ke ghar ke muqābil thā.

agle hisse ko hattūsh bin hasabniyāh ne tāmīr kiyā.

11agle hisse ko tanūroṅ ke burj tak malkiyāh bin hārim aur hassūb bin paḵẖat-moāb ne khaṛā kiyā.

12aglā hissā sallūm bin hallūhesh kī zimmādārī thī. yah ādmī zilā yarūshalam ke dūsre ādhe hisse kā afsar thā. us kī beṭiyoṅ ne us kī madad kī.

13hanūn ne zanūh ke bāshindoṅ samet vādī ke darvāze ko tāmīr kiyā. shahatīroṅ se use banā kar unhoṅ ne kivāṛ, chaṭaḵẖniyāṅ aur kuṅḍe lagāe. is ke ilāvā unhoṅ ne fasīl ko vahāṅ se kachre ke darvāze tak khaṛā kiyā. is hisse kā fāsilā taqrīban 1,500 fuṭ yānī ādhā kilomīṭar thā.

14kachre kā darvāzā malkiyāh bin raikāb kī zimmādārī thī. yah ādmī zilā bait-karam kā afsar thā. us ne use banā kar kivāṛ, chaṭaḵẖniyāṅ aur kuṅḍe lagāe.

15chashme ke darvāze kī tāmīr sallūn bin kulhozā ke hāth meṅ thī jo zilā misfāh kā afsar thā. us ne darvāze par chhat banā kar us ke kivāṛ, chaṭaḵẖniyāṅ aur kuṅḍe lagā die. sāth sāth us ne fasīl ke us hisse kī marammat kī jo shāhī bāġ ke pās vāle tālāb se guzartā hai. yah vahī tālāb hai jis meṅ pānī nāle ke zarīe pahuṅchtā hai. sallūn ne fasīl ko us sīṛhī tak tāmīr kiyā jo yarūshalam ke us hisse se utartī hai jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai.

16aglā hissā nahamiyāh bin azbuk kī zimmādārī thī jo zilā bait-sūr ke ādhe hisse kā afsar thā. fasīl kā yah hissā dāūd bādshāh ke qabristān ke muqābil thā aur masnūī tālāb aur sūrmāoṅ ke kamroṅ par ḵẖatm huā.

17zail ke lāviyoṅ ne agle hissoṅ ko khaṛā kiyā : pahale rahūm bin bānī kā hissā thā.

zilā qaīlā ke ādhe hisse ke afsar hasabiyāh ne agle hisse kī marammat kī. 18agle hisse ko lāviyoṅ ne binnūī bin handād ke zer-e-nigrānī khaṛā kiyā jo zilā qaīlā ke dūsre ādhe hisse par muqarrar thā.

19aglā hissā misfāh ke sardār azar bin yashūa kī zimmādārī thī. yah hissā fasīl ke us moṛ par thā jahāṅ rāstā asalihāḵẖāne kī taraf chaṛhtā hai.

20agle hisse ko bārūk bin zabbī ne baṛī mehanat se tāmīr kiyā. yah hissā fasīl ke moṛ se shurū ho kar imām-e-āzam iliyāsib ke ghar ke darvāze par ḵẖatm huā.

21aglā hissā marīmot bin ūriyāh bin haqqūz kī zimmādārī thī aur iliyāsib ke ghar ke darvāze se shurū ho kar us ke kone par ḵẖatm huā.

22zail ke hisse un imāmoṅ ne tāmīr kie jo shahar ke gird-o-navāh meṅ rahate the.

23agle hisse kī tāmīr binyamīn aur hassūb ke zer-e-nigrānī thī. yah hissā un ke gharoṅ ke sāmne thā.

azariyāh bin māsiyāh bin ananiyāh ne agle hisse kī marammat kī. yah hissā us ke ghar ke pās hī thā.

24aglā hissā binnūī bin handād kī zimmādārī thī. yah azariyāh ke ghar se shurū huā aur muṛte muṛte kone par ḵẖatm huā.

25aglā hissā fālāl bin ūzī kī zimmādārī thī. yah hissā moṛ se shurū huā, aur ūpar kā jo burj shāhī mahal se us jagah nikaltā hai jahāṅ muhāfizoṅ kā sahan hai vah bhī is meṅ shāmil thā.

aglā hissā fidāyāh bin paraūs 26aur ofal pahāṛī par rahane vāle rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ ke zimme thā. yah hissā pānī ke darvāze aur vahāṅ se nikle hue burj par ḵẖatm huā.

27aglā hissā is burj se le kar ofal pahāṛī kī dīvār tak thā. taqūa ke bāshindoṅ ne use tāmīr kiyā.

28ghoṛe ke darvāze se āge imāmoṅ ne fasīl kī marammat kī. har ek ne apne ghar ke sāmne kā hissā khaṛā kiyā.

29un ke bād sadoq bin immer kā hissā āyā. yah bhī us ke ghar ke muqābil thā.

aglā hissā samāyāh bin sakaniyāh ne khaṛā kiyā. yah ādmī mashriqī darvāze kā paharedār thā.

30aglā hissā hananiyāh bin salamiyāh aur salaf ke chhaṭe beṭe hanūn ke zimme thā.

aglā hissā masullām bin barakiyāh ne tāmīr kiyā jo us ke ghar ke muqābil thā.

31ek sunār banām malkiyāh ne agle hisse kī marammat kī. yah hissā rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ aur tājiroṅ ke us makān par ḵẖatm huā jo pahare ke darvāze ke sāmne thā. fasīl ke kone par vāqe bālākhānā bhī is meṅ shāmil thā.

32āḵẖirī hissā bheṛ ke darvāze par ḵẖatm huā. sunāroṅ aur tājiroṅ ne use khaṛā kiyā.