Nahamiyāh 5
ġarīboṅ kā qarzā mansūḵẖ
1kuchh der bād kuchh mard-o-ḵẖavātīn mere pās ā kar apne yahūdī bhāiyoṅ kī shikāyat karne lage. 2bāz ne kahā, “hamāre bahut ziyādā beṭe-beṭiyāṅ haiṅ, is liye hameṅ mazīd anāj milnā chāhie, varnā ham zindā nahīṅ raheṅge.” 3dūsroṅ ne shikāyat kī, “kāl ke daurān hameṅ apne khetoṅ, aṅgūr ke bāġoṅ aur gharoṅ ko girvī rakhnā paṛā tāki anāj mil jāe.” 4kuchh aur bole, “hameṅ apne khetoṅ aur aṅgūr ke bāġoṅ par bādshāh kā ṭaiks adā karne ke liye udhār lenā paṛā. 5ham bhī dūsroṅ kī tarah yahūdī qaum ke haiṅ, aur hamāre bacche un se kam haisiyat nahīṅ rakhte. to bhī hameṅ apne bacchoṅ ko ġulāmī meṅ bechanā paṛtā hai tāki guzārā ho sake. hamārī kuchh beṭiyāṅ lauṅḍiyāṅ ban chukī haiṅ. lekin ham ḵẖud bebas haiṅ, kyūṅki hamāre khet aur aṅgūr ke bāġ dūsroṅ ke qabze meṅ haiṅ.”
6un kā vāvailā aur shikāyateṅ sun kar mujhe baṛā ġussā āyā. 7bahut soch-bichār ke bād maiṅ ne shurfā aur afsaroṅ par ilzām lagāyā, “āp apne hamvatan bhāiyoṅ se ġairmunāsib sūd le rahe haiṅ!” maiṅ ne un se nipaṭne ke liye ek baṛī jamāat ikaṭṭhī karke 8kahā, “hamāre kaī hamvatan bhāiyoṅ ko ġairyahūdiyoṅ ko bechā gayā thā. jahāṅ tak mumkin thā ham ne unheṅ vāpas ḵẖarīd kar āzād karne kī koshish kī. aur ab āp ḵẖud apne hamvatan bhāiyoṅ ko bech rahe haiṅ. kyā ham ab unheṅ dubārā vāpas ḵẖarīdeṅ?” vah ḵẖāmosh rahe aur koī javāb na de sake.
9maiṅ ne bāt jārī rakhī, “āp kā yah sulūk ṭhīk nahīṅ. āp ko hamāre ḵẖudā kā ḵẖauf mān kar zindagī guzārnā chāhie tāki ham apne ġairyahūdī dushmanoṅ kī lān-tān kā nishānā na baneṅ. 10maiṅ, mere bhāiyoṅ aur mulāzimoṅ ne bhī dūsroṅ ko udhār ke taur par paise aur anāj diyā hai. lekin āeṅ, ham un se sūd na leṅ! 11āj hī apne qarzdāroṅ ko un ke khet, ghar aur aṅgūr aur zaitūn ke bāġ vāpas kar deṅ. jitnā sūd āp ne lagāyā thā use bhī vāpas kar deṅ, ḵẖwāh use paisoṅ, anāj, tāzā mai yā zaitūn ke tel kī sūrat meṅ adā karnā thā.” 12unhoṅ ne javāb diyā, “ham use vāpas kar deṅge aur āindā un se kuchh nahīṅ māṅgeṅge. jo kuchh āp ne kahā vah ham kareṅge.”
tab maiṅ ne imāmoṅ ko apne pās bulāyā tāki shurfā aur buzurg un kī maujūdgī meṅ kasm khāeṅ ki ham aisā hī kareṅge. 13phir maiṅ ne apne libās kī taheṅ jhāṛ jhāṛkar kahā, “jo bhī apnī qasam toṛe use allāh isī tarah jhāṛ kar us ke ghar aur milkiyat se maharūm kar de!”
tamām jamāshudā log bole, “āmīn, aisā hī ho!” aur rabb kī tārīf karne lage. sab ne apne vāde pūre kie. 14
nahamiyāh kā acchhā namūnā
maiṅ kul bārah sāl sūbā yahūdāh kā gavarnar rahā yānī artaḵẖshastā bādshāh kī hukūmat ke 20veṅ sāl se us ke 32veṅ sāl tak. is pūre arse meṅ na maiṅ ne aur na mere bhāiyoṅ ne vah āmdanī lī jo hamāre liye muqarrar kī gaī thī. 15asal meṅ māzī ke gavarnaroṅ ne qaum par baṛā bojh ḍāl diyā thā. unhoṅ ne r’āyā se na sirf roṭī aur mai balki fī din chāṅdī ke 40 sikke bhī liye the. un ke afsaroṅ ne bhī ām logoṅ se ġalat fāidā uṭhāyā thā. lekin chūṅki maiṅ allāh kā ḵẖauf māntā thā, is liye maiṅ ne un se aisā sulūk na kiyā. 16merī pūrī tāqat fasīl kī takmīl meṅ sarf huī, aur mere tamām mulāzim bhī is kām meṅ sharīk rahe. ham meṅ se kisī ne bhī zamīn na ḵẖarīdī. 17maiṅ ne kuchh na māṅgā hālāṅki mujhe rozānā yahūdāh ke 150 afsaroṅ kī mehamān-navāzī karnī paṛtī thī. un meṅ vah tamām mehamān shāmil nahīṅ haiṅ jo gāhe-ba-gāhe paṛosī mamālik se āte rahe. 18rozānā ek bail, chhah behtarīn bheṛ-bakriyāṅ aur bahut se parinde mere liye zabah karke tayyār kie jāte, aur das das din ke bād hameṅ kaī qism kī bahut sī mai ḵẖarīdnī paṛtī thī. in aḵẖrājāt ke bāvujūd maiṅ ne gavarnar ke liye muqarrarā vazīfā na māṅgā, kyūṅki qaum par bojh vaise bhī bahut ziyādā thā.
19ai mere ḵẖudā, jo kuchh maiṅ ne is qaum ke liye kiyā hai us ke bāis mujh par meharbānī kar.