Nahamiyāh 7
1fasīl kī takmīl par maiṅ ne darvāzoṅ ke kivāṛ lagvāe. phir rabb ke ghar ke darbān, gulūkār aur ḵẖidmatguzār lāvī muqarrar kie gae. 2maiṅ ne do ādmiyoṅ ko yarūshalam ke hukmarān banāyā. ek merā bhāī hanānī aur dūsrā qilae kā kamāṅḍar hananiyāh thā. hananiyāh ko maiṅ ne is liye chun liyā ki vah vafādār thā aur aksar logoṅ kī nisbat allāh kā ziyādā ḵẖauf māntā thā. 3maiṅ ne donoṅ se kahā, “yarūshalam ke darvāze dopahar ke vaqt jab dhūp kī shiddat hai khule na raheṅ, aur paharā dete vaqt bhī unheṅ band karke kuṅḍe lagāeṅ. yarūshalam ke ādmiyoṅ ko paharādārī ke liye muqarrar kareṅ jin meṅ se kuchh fasīl par aur kuchh apne gharoṅ ke sāmne hī paharā deṅ.”
jilāvatanī se vāpas āe huoṅ kī faharist
4go yarūshalam shahar baṛā aur vasī thā, lekin us meṅ ābādī thoṛī thī. ḍhāe gae makān ab tak dubārā tāmīr nahīṅ hue the. 5chunāṅche mere ḵẖudā ne mere dil ko shurfā, afsaroṅ aur avām ko ikaṭṭhā karne kī taharīk dī tāki ḵẖāndānoṅ kī rajisṭrī tayyār karūṅ. is silsile meṅ mujhe ek kitāb mil gaī jis meṅ un logoṅ kī faharist darj thī jo ham se pahale jilāvatanī se vāpas āe the. us meṅ likhā thā,
6“zail meṅ yahūdāh ke un logoṅ kī faharist hai jo jilāvatanī se vāpas āe. bābal kā bādshāh nabūkadnazzar unheṅ qaid karke bābal le gayā thā, lekin ab vah yarūshalam aur yahūdāh ke un shaharoṅ meṅ phir jā base jahāṅ pahale rahate the.
7un ke rāhanumā zarubbābal, yashūa, nahamiyāh, azariyāh, rāmiyāh, nahamānī, mardkī, bilshān, misfarat, bigvaī, nahūm aur bānā the.
zail kī faharist meṅ vāpas āe hue ḵẖāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ.
8paraūs kā ḵẖāndān : 2,172,
9safatiyāh kā ḵẖāndān : 372,
10araḵẖ kā ḵẖāndān : 652,
11paḵẖat-moāb kā ḵẖāndān yānī yashūa aur yoāb kī aulād : 2,818,
12ailām kā ḵẖāndān : 1,254,
13zattū kā ḵẖāndān : 845,
14zakkī kā ḵẖāndān : 760,
15binnūī kā ḵẖāndān : 648,
16babī kā ḵẖāndān : 628,
17azjād kā ḵẖāndān : 2,322,
18adūniqām kā ḵẖāndān : 667,
19bigvaī kā ḵẖāndān : 2,067,
20adīn kā ḵẖāndān : 655,
21atīr kā ḵẖāndān yānī hizaqiyāh kī aulād : 98,
22hāshūm kā ḵẖāndān : 328,
23bazī kā ḵẖāndān : 324,
24ḵẖārif kā ḵẖāndān : 112,
25jibaūn kā ḵẖāndān : 95,
26bait-laham aur natūfā ke bāshinde : 188,
27antot ke bāshinde : 128,
28bait-azmāvat ke bāshinde : 42,
29qiryat-yārīm, kafīrā aur bairot ke bāshinde : 743,
30rāmā aur jibā ke bāshinde : 621,
31mikmās ke bāshinde : 122,
32bait-el aur aī ke bāshinde : 123,
33dūsre nabū ke bāshinde : 52,
34dūsre ailām ke bāshinde : 1,254,
35hārim ke bāshinde : 320,
36yarīhū ke bāshinde : 345,
37lūd, hādīd aur onū ke bāshinde : 721,
38sanāāh ke bāshinde : 3,930,
39zail ke imām jilāvatanī se vāpas āe.
yadāyāh kā ḵẖāndān jo yashūa kī nasal kā thā : 973,
40immer kā ḵẖāndān : 1,052,
41fashhūr kā ḵẖāndān : 1,247,
42hārim kā ḵẖāndān : 1,017,
43zail ke lāvī jilāvatanī se vāpas āe.
yashūa aur qadamīel kā ḵẖāndān yānī hūdāviyāh kī aulād : 74,
44gulūkār : āsaf ke ḵẖāndān ke 148 ādmī,
45rabb ke ghar ke darbān : sallūm, atīr, talmūn, aqqūb, ḵẖatītā aur sobī ke ḵẖāndānoṅ ke 138 ādmī.
46rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḵẖāndān jilāvatanī se vāpas āe.
zīhā, hasūfā, tabbāot, 47qarūs, sīā, fadūn, 48libānā, hajābā, shalmī, 49hanān, jiddel, jahar, 50riyāyāh, razīn, naqūdā, 51jazzām, uzzā, fāsih, 52basī, maūnīm, nafūsīm, 53baqbūq, haqūfā, harhūr, 54bazlūt, mahīdā, harshā, 55barqūs, sīsrā, tāmah, 56naziyāh aur ḵẖatīfā.
57sulemān ke ḵẖādimoṅ ke darj-e-zail ḵẖāndān jilāvatanī se vāpas āe.
sūtī, sūfirat, farūdā, 58yālā, darqūn, jiddel, 59safatiyāh, ḵẖattīl, fūkirat-zabāim aur amūn.
60rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ aur sulemān ke ḵẖādimoṅ ke ḵẖāndānoṅ meṅ se vāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī.
61-62 vāpas āe hue ḵẖāndānoṅ meṅ se dilāyāh, tūbiyāh aur naqūdā ke 642 mard sābit na kar sake ki isrāīl kī aulād haiṅ, go vah tal-milah, tal-harshā, karūb, addūn aur immer ke rahane vāle the.
63-64 habāyāh, haqqūz aur barzillī ke ḵẖāndānoṅ ke kuchh imām bhī vāpas āe, lekin unheṅ rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat karne kī ijāzat na milī. kyūṅki go unhoṅ ne nasbanāme meṅ apne nām talāsh kie lekin un kā kahīṅ zikr na milā, is liye unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (barzillī ke ḵẖāndān ke bānī ne barzillī jiliādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) 65yahūdāh ke gavarnar ne hukm diyā ki in tīn ḵẖāndānoṅ ke imām filahāl qurbāniyoṅ kā vah hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke liye muqarrar hai. jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to vahī ūrīm aur tummīm nāmī qur’ā ḍāl kar muāmalā hal kare.
66kul 42,360 isrāīlī apne vatan lauṭ āe, 67nīz un ke 7,337 ġulām aur lauṅḍiyāṅ aur 245 gulūkār jin meṅ mard-o-ḵẖavātīn shāmil the.
68isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe, 245 ḵẖacchar, 69435 ūṅṭ aur 6,720 gadhe the.
70kuchh ḵẖāndānī sarparastoṅ ne rabb ke ghar kī tāmīr-e-nau ke liye apnī ḵẖushī se hadie die. gavarnar ne sone ke 1,000 sikke, 50 kaṭore aur imāmoṅ ke 530 libās die. 71kuchh ḵẖāndānī sarparastoṅ ne ḵẖazāne meṅ sone ke 20,000 sikke aur chāṅdī ke 1,200 kilogrām ḍāl die. 72bāqī logoṅ ne sone ke 20,000 sikke, chāṅdī ke 1,100 kilogrām aur imāmoṅ ke 67 libās atā kie.
73imām, lāvī, rabb ke ghar ke darbān aur ḵẖidmatgār, gulūkār aur avām ke kuchh log apnī apnī ābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base. yūṅ tamām isrāīlī dubārā apne apne shaharoṅ meṅ rahane lage.”
azrā sharīat kī tilāvat kartā hai
sātveṅ mahīne yānī aktūbar meṅ jab isrāīlī apne apne shaharoṅ meṅ dubārā ābād ho gae the