Gintī 17
hārūn kī lāṭhī se koṁpleṅ nikaltī haiṅ
1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ se bāt karke un se 12 lāṭhiyāṅ maṅgvā le, har qabīle ke sardār se ek lāṭhī. har lāṭhī par us ke mālik kā nām likhnā. 3lāvī kī lāṭhī par hārūn kā nām likhnā, kyūṅki har qabīle ke sardār ke liye ek lāṭhī hogī. 4phir un ko mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne rakh jahāṅ merī tum se mulāqāt hotī hai. 5jis ādmī ko maiṅ ne chun liyā hai us kī lāṭhī se koṁpleṅ phūṭ nikaleṅgī. is tarah maiṅ tumhāre ḵẖilāf isrāīliyoṅ kī buṛabuṛāhaṭ ḵẖatm kar dūṅgā.”
6chunāṅche mūsā ne isrāīliyoṅ se bāt kī, aur qabīloṅ ke har sardār ne use apnī lāṭhī dī. in 12 lāṭhiyoṅ meṅ hārūn kī lāṭhī bhī shāmil thī. 7mūsā ne unheṅ mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne rakhā. 8agle din jab vah mulāqāt ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil huā to us ne dekhā ki lāvī ke qabīle ke sardār hārūn kī lāṭhī se na sirf koṁpleṅ phūṭ niklī haiṅ balki phūl aur pake hue bādām bhī lage haiṅ.
9mūsā tamām lāṭhiyāṅ rabb ke sāmne se bāhar lā kar isrāīliyoṅ ke pās le āyā, aur unhoṅ ne un kā muāinā kiyā. phir har ek ne apnī apnī lāṭhī vāpas le lī. 10rabb ne mūsā se kahā, “hārūn kī lāṭhī ahd ke sandūq ke sāmne rakh de. yah bāġī isrāīliyoṅ ko yād dilāegī ki vah apnā buṛbuṛānā band kareṅ, varnā halāk ho jāeṅge.”
11mūsā ne aisā hī kiyā. 12lekin isrāīliyoṅ ne mūsā se kahā, “hāy, ham mar jāeṅge. hāy, ham halāk ho jāeṅge, ham sab halāk ho jāeṅge. 13jo bhī rabb ke maqdis ke qarīb āe vah mar jāegā. kyā ham sab hī halāk ho jāeṅge?”