Gintī 35
lāviyoṅ ke liye shahar
1isrāīlī ab tak moāb ke maidānī ilāqe meṅ daryā-e-yardan ke mashriqī kināre par yarīhū ke sāmne the. vahāṅ rabb ne mūsā se kahā,
2“isrāīliyoṅ ko batā de ki vah lāviyoṅ ko apnī milī huī zamīnoṅ meṅ se rahane ke liye shahar deṅ. unheṅ shaharoṅ ke ird-gird maveshī charāne kī zamīn bhī mile. 3phir lāviyoṅ ke pās rahane ke liye shahar aur apne jānvar charāne ke liye zamīn hogī. 4charāne ke liye zamīn shahar ke ird-gird hogī, aur chāroṅ taraf kā fāsilā fasīloṅ se 1,500 fuṭ ho. 5charāne kī yah zamīn murabbā shakl kī hogī jis ke har pahalū kā fāsilā 3,000 fuṭ ho. shahar is murabbā shakl ke bīch meṅ ho. yah raqbā shahar ke bāshindoṅ ke liye ho tāki vah apne maveshī charā sakeṅ.
ġairirādī ḵẖūṅrezī ke liye panāh ke shahar
6-7 “lāviyoṅ ko kul 48 shahar denā. in meṅ se chhah panāh ke shahar muqarrar karnā. un meṅ aise log panāh le sakeṅge jin ke hāthoṅ ġairirādī taur par koī halāk huā ho. 8har qabīlā lāviyoṅ ko apne ilāqe ke raqbe ke mutābiq shahar de. jis qabīle kā ilāqā baṛā hai use lāviyoṅ ko ziyādā shahar dene haiṅ jabki jis qabīle kā ilāqā chhoṭā hai vah lāviyoṅ ko kam shahar de.”
9phir rabb ne mūsā se kahā, 10“isrāīliyoṅ ko batānā ki daryā-e-yardan ko pār karne ke bād 11kuchh panāh ke shahar muqarrar karnā. un meṅ vah shaḵẖs panāh le sakegā jis ke hāthoṅ ġairirādī taur par koī halāk huā ho. 12vahāṅ vah intiqām lene vāle se panāh le sakegā aur jamāat kī adālat ke sāmne khaṛe hone se pahale mārā nahīṅ jā sakegā. 13is ke liye chhah shahar chun lo. 14tīn daryā-e-yardan ke mashriq meṅ aur tīn mulk-e-kan’ān meṅ hoṅ. 15yah chhah shahar har kisī ko panāh deṅge, chāhe vah isrāīlī, pardesī yā un ke darmiyān rahane vālā ġairshaharī ho. jis se bhī ġairirādī taur par koī halāk huā ho vah vahāṅ panāh le saktā hai.
16-18 agar kisī ne kisī ko jān-būjh kar lohe, patthar yā lakṛī kī kisī chīz se mār ḍālā ho vah qātil hai aur use sazā-e-maut denī hai. 19maqtūl kā sab se qarībī rishtedār use talāsh karke mār de. 20-21 kyūṅki jo nafrat yā dushmanī ke bāis jān-būjh kar kisī ko yūṅ dhakkā de, us par koī chīz phaiṅk de yā use mukkā māre ki vah mar jāe vah qātil hai aur use sazā-e-maut denī hai.
22lekin vah qātil nahīṅ hai jis se dushmanī ke bāis nahīṅ balki ittifāq se aur ġairirādī taur par koī halāk huā ho, chāhe us ne use dhakkā diyā, koī chīz us par phaiṅk dī 23yā koī patthar us par girne diyā. 24agar aisā huā to lāzim hai ki jamāat in hidāyāt ke mutābiq us ke aur intiqām lene vāle ke darmiyān faislā kare. 25agar mulzim bequsūr hai to jamāat us kī hifāzat karke use panāh ke us shahar meṅ vāpas le jāe jis meṅ us ne panāh lī hai. vahāṅ vah muqaddas tel se masah kie gae imām-e-āzam kī maut tak rahe. 26lekin agar yah shaḵẖs is se pahale panāh ke shahar se nikle to vah mahfūz nahīṅ hogā. 27agar us kā intiqām lene vāle se sāmnā ho jāe to intiqām lene vāle ko use mār ḍālne kī ijāzat hogī. agar vah aisā kare to bequsūr rahegā. 28panāh lene vālā imām-e-āzam kī vafāt tak panāh ke shahar meṅ rahe. is ke bād hī vah apne ghar vāpas jā saktā hai. 29yah usūl dāimī haiṅ. jahāṅ bhī tum rahate ho tumheṅ hameshā in par amal karnā hai.
30jis par qatl kā ilzām lagāyā gayā ho use sirf is sūrat meṅ sazā-e-maut dī jā saktī hai ki kam az kam do gavāh hoṅ. ek gavāh kāfī nahīṅ hai.
31qātil ko zarūr sazā-e-maut denā. ḵẖwāh vah is se bachne ke liye koī bhī muāvazā de use āzād na chhoṛnā balki sazā-e-maut denā. 32us shaḵẖs se bhī paise qabūl na karnā jis se ġairirādī taur par koī halāk huā ho aur jo is sabab se panāh ke shahar meṅ rah rahā hai. use ijāzat nahīṅ ki vah paise de kar panāh kā shahar chhoṛe aur apne ghar vāpas chalā jāe. lāzim hai ki vah is ke liye imām-e-āzam kī vafāt kā intizār kare.
33jis mulk meṅ tum rahate ho us kī muqaddas hālat ko nāpāk na karnā. jab kisī ko us meṅ qatl kiyā jāe to vah nāpāk ho jātā hai. jab is tarah ḵẖūn bahatā hai to mulk kī muqaddas hālat sirf us shaḵẖs ke ḵẖūn bahane se bahāl ho jātī hai jis ne yah ḵẖūn bahāyā hai. yānī mulk kā sirf qātil kī maut se hī kaffārā diyā jā saktā hai. 34us mulk ko nāpāk na karnā jis meṅ tum ābād ho aur maiṅ sukūnat kartā hūṅ. kyūṅki maiṅ rabb hūṅ jo isrāīliyoṅ ke darmiyān sukūnat kartā hūṅ.”