Gintī 4
qihātiyoṅ kī zimmādāriyāṅ
1rabb ne mūsā aur hārūn se kahā, 2“lāvī ke qabīle meṅ se qihātiyoṅ kī mardumashumārī un ke kuṁboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. 3un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat karne ke liye ā sakte haiṅ. 4qihātiyoṅ kī ḵẖidmat muqaddastarīn kamre kī dekh-bhāl hai.
5jab ḵẖaime ko safar ke liye sameṭnā hai to hārūn aur us ke beṭe dāḵẖil ho kar muqaddastarīn kamre kā pardā utāreṅ aur use sharīat ke sandūq par ḍāl deṅ. 6is par vah taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf aur āḵẖir meṅ pūrī tarah nīle raṅg kā kapṛā bichhāeṅ. is ke bād vah sandūq ko uṭhāne kī lakṛiyāṅ lagāeṅ.
7vah us mez par bhī nīle raṅg kā kapṛā bichhāeṅ jis par rabb ko roṭī pesh kī jātī hai. us par thāl, piyāle, mai kī nazreṅ pesh karne ke bartan aur martabān rakhe jāeṅ. jo roṭī hameshā mez par hotī hai vah bhī us par rahe. 8hārūn aur us ke beṭe in tamām chīzoṅ par qirmizī raṅg kā kapṛā bichhā kar āḵẖir meṅ un ke ūpar taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf ḍāleṅ. is ke bād vah mez ko uṭhāne kī lakṛiyāṅ lagāeṅ.
9vah shamādān aur us ke sāmān par yānī us ke charāġ, battī katarne kī qaiṅchiyoṅ, jalte koile ke chhoṭe bartanoṅ aur tel ke bartanoṅ par nīle raṅg kā kapṛā rakheṅ. 10yah sab kuchh vah taḵẖas kī khāloṅ ke ġilāf meṅ lapeṭeṅ aur use uṭhā kar le jāne ke liye ek chaukhṭe par rakheṅ.
11vah baḵẖūr jalāne kī sone kī qurbāngāh par bhī nīle raṅg kā kapṛā bichhā kar us par taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf ḍāleṅ aur phir use uṭhāne kī lakṛiyāṅ lagāeṅ. 12vah sārā sāmān jo muqaddas kamre meṅ istemāl hotā hai le kar nīle raṅg ke kapṛe meṅ lapeṭeṅ, us par taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf ḍāleṅ aur use uṭhā kar le jāne ke liye ek chaukhṭe par rakheṅ.
13phir vah jānvaroṅ ko jalāne kī qurbāngāh ko rākh se sāf karke us par arġvānī raṅg kā kapṛā bichhāeṅ. 14us par vah qurbāngāh kī ḵẖidmat ke liye sārā zarūrī sāmān rakheṅ yānī chhiṛkāo ke kaṭore, jalte hue koile ke bartan, belache aur kāṅṭe. is sāmān par vah taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf ḍāl kar qurbāngāh ko uṭhāne kī lakṛiyāṅ lagāeṅ.
15safar ke liye ravānā hote vaqt yah sab kuchh uṭhā kar le jānā qihātiyoṅ kī zimmādārī hai. lekin lāzim hai ki pahale hārūn aur us ke beṭe yah tamām muqaddas chīzeṅ ḍhāṁpeṅ. qihātī in meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ varnā mar jāeṅge.
16hārūn imām kā beṭā ilīazar pūre muqaddas ḵẖaime aur us ke sāmān kā iṅchārj ho. is meṅ charāġoṅ kā tel, baḵẖūr, ġallā kī rozānā nazar aur masah kā tel bhī shāmil hai.”
17rabb ne mūsā aur hārūn se kahā, 18“ḵẖabardār raho ki qihāt ke kuṁbe lāvī ke qabīle meṅ se miṭne na pāeṅ. 19chunāṅche jab vah muqaddastarīn chīzoṅ ke pās āeṅ to hārūn aur us ke beṭe har ek ko us sāmān ke pās le jāeṅ jo use uṭhā kar le jānā hai tāki vah na mareṅ balki jīte raheṅ. 20qihātī ek lamhe ke liye bhī muqaddas chīzeṅ dekhne ke liye andar na jāeṅ, varnā vah mar jāeṅge.”
jairsoniyoṅ kī zimmādāriyāṅ
21phir rabb ne mūsā se kahā, 22“jairson kī aulād kī mardumashumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kuṁboṅ ke mutābiq karnā. 23un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat ke liye ā sakte haiṅ. 24vah yah chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmādār haiṅ : 25mulāqāt kā ḵẖaimā, us kī chhat, chhat par rakhī huī taḵẖas kī khāl kī poshish, ḵẖaime ke darvāze kā pardā, 26ḵẖaime aur qurbāngāh kī chārdīvārī ke parde, chārdīvārī ke darvāze kā pardā, us ke rasse aur use lagāne kā bāqī sāmān. vah un tamām kāmoṅ ke zimmādār haiṅ jo in chīzoṅ se munsalik haiṅ. 27jairsoniyoṅ kī pūrī ḵẖidmat hārūn aur us ke beṭoṅ kī hidāyāt ke mutābiq ho. ḵẖabardār raho ki vah sab kuchh ain hidāyāt ke mutābiq uṭhā kar le jāeṅ. 28yah sab mulāqāt ke ḵẖaime meṅ jairsoniyoṅ kī zimmādāriyāṅ haiṅ. is kām meṅ hārūn imām kā beṭā itmar un par muqarrar hai.”
mirāriyoṅ kī zimmādāriyāṅ
29rabb ne kahā, “mirārī kī aulād kī mardumashumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kuṁboṅ ke mutābiq karnā. 30un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat ke liye ā sakte haiṅ. 31vah mulāqāt ke ḵẖaime kī yah chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmādār haiṅ : dīvār ke taḵẖte, shahatīr, khambe aur pāe, 32phir ḵẖaime kī chārdīvārī ke khambe, pāe, meḵẖeṅ, rasse aur yah chīzeṅ lagāne kā sāmān. har ek ko tafsīl se batānā ki vah kyā kyā uṭhā kar le jāe. 33yah sab kuchh mirāriyoṅ kī mulāqāt ke ḵẖaime meṅ zimmādāriyoṅ meṅ shāmil hai. is kām meṅ hārūn imām kā beṭā itmar un par muqarrar ho.”
lāviyoṅ kī mardumashumārī
34mūsā, hārūn aur jamāat ke rāhanumāoṅ ne qihātiyoṅ kī mardumashumārī un ke kuṁboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq kī. 35-37 unhoṅ ne un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 se le kar 50 sāl ke the aur jo mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat kar sakte the. un kī kul tādād 2,750 thī. mūsā aur hārūn ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā kī mārifat farmāyā thā. 38-41 phir jairsoniyoṅ kī mardumashumārī un ke kuṁboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. ḵẖidmat ke lāiq mardoṅ kī kul tādād 2,630 thī. mūsā aur hārūn ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā ke zarīe farmāyā thā. 42-45 phir mirāriyoṅ kī mardumashumārī un ke kuṁboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. ḵẖidmat ke lāiq mardoṅ kī kul tādād 3,200 thī. mūsā aur hārūn ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā ke zarīe farmāyā thā. 46-48 lāviyoṅ ke un mardoṅ kī kul tādād 8,580 thī jinheṅ mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat karnā aur safar karte vaqt use uṭhā kar le jānā thā.
49mūsā ne rabb ke hukm ke mutābiq har ek ko us kī apnī apnī zimmādārī sauṁpī aur use batāyā ki use kyā kyā uṭhā kar le jānā hai. yūṅ un kī mardumashumārī rabb ke us hukm ke ain mutābiq kī gaī jo us ne mūsā kī mārifat diyā thā.