Zabūr 1

pahalī kitāb : 1-41

do rāheṅ

1mubārak hai vah jo na bedīnoṅ ke mashvre par chaltā, na gunāhgāroṅ kī rāh par qadam rakhtā, aur na tānāzanoṅ ke sāth baiṭhtā hai

2balki rabb kī sharīat se lutf’andoz hotā aur din rāt usī par ġaur-o-ḵẖauz kartā rahatā hai.

3vah naharoṅ ke kināre par lage daraḵẖt kī mānind hai. vaqt par vah phal lātā, aur us ke patte nahīṅ murjhāte. jo kuchh bhī kare us meṅ vah kāmyāb hai.

4bedīnoṅ kā yah hāl nahīṅ hotā. vah bhūse kī mānind haiṅ jise havā uṛā le jātī hai.

5is liye bedīn adālat meṅ qāim nahīṅ raheṅge, aur gunāhgār kā rāstbāzoṅ kī majlis meṅ maqām nahīṅ hogā.

6kyūṅki rabb rāstbāzoṅ kī rāh kī paharādārī kartā hai jabki bedīnoṅ kī rāh tabāh ho jāegī.