Zabūr 10
insāf ke liye duā
1ai rabb, tū itnā dūr kyūṅ khaṛā hai? musībat ke vaqt tū apne āp ko poshīdā kyūṅ rakhtā hai?
2bedīn takabbur se musībatazadoṅ ke pīchhe lag gae haiṅ, aur ab bechāre un ke jāloṅ meṅ ulajhne lage haiṅ.
3kyūṅki bedīn apnī dilī ārzūoṅ par sheḵẖī mārtā hai, aur nājāiz nafā kamāne vālā lānat karke rabb ko haqīr jāntā hai.
4bedīn ġarūr se phūl kar kahatā hai, “allāh mujh se javābatalabī nahīṅ karegā.” us ke tamām ḵẖayālāt is bāt par mabnī haiṅ ki koī ḵẖudā nahīṅ hai.
5jo kuchh bhī kare us meṅ vah kāmyāb hai. terī adālateṅ use bulandiyoṅ meṅ kahīṅ dūr lagtī haiṅ jabki vah apne tamām muḵẖālifoṅ ke ḵẖilāf phuṅkāratā hai.
6dil meṅ vah sochtā hai, “maiṅ kabhī nahīṅ ḍagmagāūṅgā, nasal-dar-nasal musībat ke paṅjoṅ se bachā rahūṅgā.”
7us kā muṅh lāntoṅ, fareb aur zulm se bharā rahatā, us kī zabān nuqsān aur āfat pahuṅchāne ke liye tayyār rahatī hai.
8vah ābādiyoṅ ke qarīb tāk meṅ baiṭh kar chupke se begunāhoṅ ko mār ḍāltā hai, us kī āṅkheṅ badaqismatoṅ kī ghāt meṅ rahatī haiṅ.
9jaṅgal meṅ baiṭhe sherbabar kī tarah tāk meṅ rah kar vah musībatzadā par hamlā karne kā mauqā ḍhūṅḍtā hai. jab use pakaṛ le to use apne jāl meṅ ghasīṭ kar le jātā hai.
10us ke shikār pāsh pāsh ho kar jhuk jāte haiṅ, bechāre us kī zabardast tāqat kī zad meṅ ā kar gir jāte haiṅ.
11tab vah dil meṅ kahatā hai, “allāh bhūl gayā hai, us ne apnā chiharā chhupā liyā hai, use yah kabhī nazar nahīṅ āegā.”
12ai rabb, uṭh! ai allāh, apnā hāth uṭhā kar nāchāroṅ kī madad kar aur unheṅ na bhūl.
13bedīn allāh kī tahqīr kyūṅ kare, vah dil meṅ kyūṅ kahe, “allāh mujh se javāb talab nahīṅ karegā”?
14ai allāh, haqīqat meṅ tū yah sab kuchh dekhtā hai. tū hamārī taklīf aur pareshānī par dhyān de kar munāsib javāb degā. nāchār apnā muāmalā tujh par chhoṛ detā hai, kyūṅki tū yatīmoṅ kā madadgār hai.
15sharīr aur bedīn ādmī kā bāzū toṛ de! us se us kī sharāratoṅ kī javābatalabī kar tāki us kā pūrā asar miṭ jāe.
16rabb abad tak bādshāh hai. us ke mulk se dīgar aqvām ġāib ho gaī haiṅ.
17ai rabb, tū ne nāchāroṅ kī ārzū sun lī hai. tū un ke diloṅ ko mazbūt karegā aur un par dhyān de kar
18yatīmoṅ aur mazlūmoṅ kā insāf karegā tāki āindā koī bhī insān mulk meṅ dahshat na phailāe.