Zabūr 110

abdī bādshāh aur imām

1dāūd kā zabūr.

rabb ne mere rabb se kahā, “mere dahane hāth baiṭh, jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāoṅ kī chaukī na banā dūṅ.”

2rabb siyyūn se terī saltanat kī sarhaddeṅ baṛhā kar kahegā, “ās-pās ke dushmanoṅ par hukūmat kar!”

3jis din tū apnī fauj ko khaṛā karegā terī qaum ḵẖushī se tere pīchhe ho legī. tū muqaddas shān-o-shaukat se ārāstā ho kar tulū-e-subah ke bātin se apnī javānī kī os pāegā.

4rabb ne qasam khāī hai aur is se pachhatāegā nahīṅ, “tū abad tak imām hai, aisā imām jaisā malik-e-sidq thā.”

5rabb tere dahane hāth par rahegā aur apne ġazab ke din dīgar bādshāhoṅ ko chūr chūr karegā.

6vah qaumoṅ meṅ adālat karke maidān ko lāshoṅ se bhar degā aur dūr tak saroṅ ko pāsh pāsh karegā.

7rāste meṅ vah nadī se pānī pī legā, is liye apnā sar uṭhāe phiregā.