Zabūr 112
allāh ke ḵẖauf kī tārīf
1rabb kī hamd ho! mubārak hai vah jo allāh kā ḵẖauf māntā aur us ke ahkām se bahut lutf’andoz hotā hai.
2us ke farzand mulk meṅ tāqatvar hoṅge, aur diyānatdār kī nasal ko barkat milegī.
3daulat aur ḵẖushhālī us ke ghar meṅ rahegī, aur us kī rāstbāzī abad tak qāim rahegī.
4aṅdhere meṅ chalte vaqt diyānatdāroṅ par raushnī chamaktī hai. vah rāstbāz, meharbān aur rahīm hai.
5meharbānī karnā aur qarz denā bābarkat hai. jo apne muāmloṅ ko insāf se hal kare vah acchhā karegā,
6kyūṅki vah abad tak nahīṅ ḍagmagāegā. rāstbāz hameshā hī yād rahegā.
7vah burī ḵẖabar milne se nahīṅ ḍartā. us kā dil mazbūt hai, aur vah rabb par bharosā rakhtā hai.
8us kā dil mustahkam hai. vah sahamā huā nahīṅ rahatā, kyūṅki vah jāntā hai ki ek din maiṅ apne dushmanoṅ kī shikast dekh kar ḵẖush hūṅgā.
9vah fayyāzī se zarūratmandoṅ meṅ ḵẖairāt bikher detā hai. us kī rāstbāzī hameshā qāim rahegī, aur use izzat ke sāth sarfarāz kiyā jāegā.
10bedīn yah dekh kar nārāz ho jāegā, vah dāṅt pīs pīs kar nest ho jāegā. jo kuchh bedīn chāhate haiṅ vah jātā rahegā.