Zabūr 113

allāh kī azmat aur meharbānī

1rabb kī hamd ho! ai rabb ke ḵẖādimo, rabb ke nām kī sitāish karo, rabb ke nām kī tārīf karo.

2rabb ke nām kī ab se abad tak tamjīd ho.

3tulū-e-subah se ġurūb-e-āftāb tak rabb ke nām kī hamd ho.

4rabb tamām aqvām se sarbuland hai, us kā jalāl āsmān se azīm hai.

5kaun rabb hamāre ḵẖudā kī mānind hai jo bulandiyoṅ par taḵẖtnashīn hai

6aur āsmān-o-zamīn ko dekhne ke liye nīche jhuktā hai?

7pastahāl ko vah ḵẖāk meṅ se uṭhā kar pāoṅ par khaṛā kartā, muhtāj ko rākh se nikāl kar sarfarāz kartā hai.

8vah use shurfā ke sāth, apnī qaum ke shurfā ke sāth biṭhā detā hai.

9bāṅjh ko vah aulād atā kartā hai tāki vah ghar meṅ ḵẖushī se zindagī guzār sake. rabb kī hamd ho