Zabūr 114

misr meṅ allāh ke mojizāt

1jab isrāīl misr se ravānā huā aur yāqūb kā gharānā ajnabī zabān bolne vālī qaum se nikal āyā

2to yahūdāh allāh kā maqdis ban gayā aur isrāīl us kī bādshāhī.

3yah dekh kar samundar bhāg gayā aur daryā-e-yardan pīchhe haṭ gayā.

4pahāṛ meṅḍhoṅ kī tarah kūdne aur pahāṛiyāṅ javān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagīṅ.

5ai samundar, kyā huā ki tū bhāg gayā hai? ai yardan, kyā huā ki tū pīchhe haṭ gayā hai?

6ai pahāṛo, kyā huā ki tum meṅḍhoṅ kī tarah kūdne lage ho? ai pahāṛiyo, kyā huā ki tum javān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagī ho?

7ai zamīn, rabb ke huzūr, yāqūb ke ḵẖudā ke huzūr laraz uṭh,

8us ke sāmne tharathrā jis ne chaṭān ko johaṛ meṅ aur saḵẖt patthar ko chashme meṅ badal diyā.