Zabūr 115
allāh hī kī hamd ho
1ai rabb, hamārī hī izzat kī ḵẖātir kām na kar balki is liye ki tere nām ko jalāl mile, is liye ki tū meharbān aur vafādār ḵẖudā hai.
2dīgar aqvām kyūṅ kaheṅ, “un kā ḵẖudā kahāṅ hai?”
3hamārā ḵẖudā to āsmān par hai, aur jo jī chāhe kartā hai.
4un ke but sone-chāṅdī ke haiṅ, insān ke hāth ne unheṅ banāyā hai.
5un ke muṅh haiṅ lekin vah bol nahīṅ sakte. un kī āṅkheṅ haiṅ lekin vah dekh nahīṅ sakte.
6un ke kān haiṅ lekin vah sun nahīṅ sakte, un kī nāk hai lekin vah sūṅgh nahīṅ sakte.
7un ke hāth haiṅ, lekin vah chhū nahīṅ sakte. un ke pāoṅ haiṅ, lekin vah chal nahīṅ sakte. un ke gale se āvāz nahīṅ nikaltī.
8jo but banāte haiṅ vah un kī mānind ho jāeṅ, jo un par bharosā rakhte haiṅ vah un jaise behiss-o-harkat ho jāeṅ.
9ai isrāīl, rabb par bharosā rakh! vahī terā sahārā aur terī ḍhāl hai.
10ai hārūn ke gharāne, rabb par bharosā rakh! vahī terā sahārā aur terī ḍhāl hai.
11ai rabb kā ḵẖauf mānne vālo, rabb par bharosā rakho! vahī tumhārā sahārā aur tumhārī ḍhāl hai.
12rabb ne hamārā ḵẖayāl kiyā hai, aur vah hameṅ barkat degā. vah isrāīl ke gharāne ko barkat degā, vah hārūn ke gharāne ko barkat degā.
13vah rabb kā ḵẖauf mānne vāloṅ ko barkat degā, ḵẖwāh chhoṭe hoṅ yā baṛe.
14rabb tumhārī tādād meṅ izāfā kare, tumhārī bhī aur tumhārī aulād kī bhī.
15rabb jo āsmān-o-zamīn kā ḵẖāliq hai tumheṅ barkat se mālāmāl kare.
16āsmān to rabb kā hai, lekin zamīn ko us ne ādmazādoṅ ko baḵẖsh diyā hai.
17ai rabb, murde terī sitāish nahīṅ karte, ḵẖāmoshī ke mulk meṅ utarne vāloṅ meṅ se koī bhī terī tamjīd nahīṅ kartā.
18lekin ham rabb kī sitāish ab se abad tak kareṅge. rabb kī hamd ho