Zabūr 116
maut se najāt par shukrguzārī
1maiṅ rabb se muhabbat rakhtā hūṅ, kyūṅki us ne merī āvāz aur merī iltijā sunī hai.
2us ne apnā kān merī taraf jhukāyā hai, is liye maiṅ umr bhar use pukārūṅgā.
3maut ne mujhe apnī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā, aur pātāl kī pareshāniyāṅ mujh par ġālib āīṅ. maiṅ musībat aur dukh meṅ phaṅs gayā.
4tab maiṅ ne rabb kā nām pukārā, “ai rabb, meharbānī karke mujhe bachā!”
5rabb meharbān aur rāst hai, hamārā ḵẖudā rahīm hai.
6rabb sādā logoṅ kī hifāzat kartā hai. jab maiṅ pastahāl thā to us ne mujhe bachāyā.
7ai merī jān, apnī ārāmgāh ke pās vāpas ā, kyūṅki rabb ne tere sāth bhalāī kī hai.
8kyūṅki ai rabb, tū ne merī jān ko maut se, merī āṅkhoṅ ko āṅsū bahāne se aur mere pāoṅ ko phisalne se bachāyā hai.
9ab maiṅ zindoṅ kī zamīn meṅ rah kar rabb ke huzūr chalūṅgā.
10maiṅ īmān lāyā aur is liye bolā, “maiṅ shadīd musībat meṅ phaṅs gayā hūṅ.”
11maiṅ saḵẖt ghabrā gayā aur bolā, “tamām insān daroġgo haiṅ.”
12jo bhalāiyāṅ rabb ne mere sāth kī haiṅ un sab ke ivz maiṅ kyā dūṅ?
13maiṅ najāt kā piyālā uṭhā kar rabb kā nām pukārūṅgā.
14maiṅ rabb ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅgā.
15rabb kī nigāh meṅ us ke īmāndāroṅ kī maut girāṅqdar hai.
16ai rabb, yaqīnan maiṅ terā ḵẖādim, hāṅ terā ḵẖādim aur terī ḵẖādimā kā beṭā hūṅ. tū ne merī zanjīroṅ ko toṛ ḍālā hai.
17maiṅ tujhe shukrguzārī kī qurbānī pesh karke terā nām pukārūṅgā.
18maiṅ rabb ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅgā.
19maiṅ rabb ke ghar kī bārgāhoṅ meṅ, ai yarūshalam tere bīch meṅ hī unheṅ pūrā karūṅgā. rabb kī hamd ho.