Zabūr 12

madad ke liye duā

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye. tarz : shamīnīt.

ai rabb, madad farmā! kyūṅki īmāndār ḵẖatm ho gae haiṅ. diyānatdār insānoṅ meṅ se miṭ gae haiṅ.

2āpas meṅ sab jhūṭ bolte haiṅ. un kī zabān par chiknī-chupṛī bāteṅ hotī haiṅ jabki dil meṅ kuchh aur hī hotā hai.

3rabb tamām chiknī-chupṛī aur sheḵẖībāz zabānoṅ ko kāṭ ḍāle!

4vah un sab ko miṭā de jo kahate haiṅ, “ham apnī lāiq zabān ke bāis tāqatvar haiṅ. hamāre hoṅṭ hameṅ sahārā dete haiṅ to kaun hamārā mālik hogā? koī nahīṅ!”

5lekin rabb farmātā hai, “nāchāroṅ par tumhāre zulm kī ḵẖabar aur zarūratmandoṅ kī karāhatī āvāzeṅ mere sāmne āī haiṅ. ab maiṅ uṭh kar unheṅ un se chhuṭkārā dūṅgā jo un ke ḵẖilāf phuṅkārate haiṅ.”

6rabb ke farmān pāk haiṅ, vah bhaṭṭī meṅ sāt bār sāf kī gaī chāṅdī kī mānind ḵẖālis haiṅ.

7ai rabb, tū hī unheṅ mahfūz rakhegā, tū hī unheṅ abad tak is nasal se bachāe rakhegā,

8go bedīn āzādī se idhar udhar phirte haiṅ, aur insānoṅ ke darmiyān kamīnāpan kā rāj hai.