Zabūr 121
insān kā vafādār muhāfiz
1ziyārat kā gīt.
maiṅ apnī āṅkhoṅ ko pahāṛoṅ kī taraf uṭhātā hūṅ. merī madad kahāṅ se ātī hai?
2merī madad rabb se ātī hai, jo āsmān-o-zamīn kā ḵẖāliq hai.
3vah terā pāoṅ phisalne nahīṅ degā. terā muhāfiz ūṅghne kā nahīṅ.
4yaqīnan isrāīl kā muhāfiz na ūṅghtā hai, na sotā hai.
5rabb terā muhāfiz hai, rabb tere dahane hāth par sāybān hai.
6na din ko sūraj, na rāt ko chāṅd tujhe zarar pahuṅchāegā.
7rabb tujhe har nuqsān se bachāegā, vah terī jān ko mahfūz rakhegā.
8rabb ab se abad tak tere āne jāne kī paharādārī karegā.