Zabūr 124

musībat meṅ allāh hamārā sahārā hai

1isrāīl kahe, “agar rabb hamāre sāth na hotā,

2agar rabb hamāre sāth na hotā jab log hamāre ḵẖilāf uṭhe

3aur āg-bagūlā ho kar apnā pūrā ġussā ham par utārā, to vah hameṅ zindā haṛap kar lete.

4phir sailāb ham par ṭūṭ paṛtā, nadī kā tez dhārā ham par ġālib ā jātā

5aur mutlātim pānī ham par se guzar jātā.”

6rabb kī hamd ho jis ne hameṅ un ke dāṅtoṅ ke havāle na kiyā, varnā vah hameṅ phāṛ khāte.

7hamārī jān us chiṛiyā kī tarah chhūṭ gaī hai jo chiṛīmār ke phaṅde se nikal kar uṛ gaī hai. phaṅdā ṭūṭ gayā hai, aur ham bach nikle haiṅ.

8rabb kā nām, hāṅ usī kā nām hamārā sahārā hai jo āsmān-o-zamīn kā ḵẖāliq hai.