Zabūr 125

chāroṅ taraf se qaum kī hifāzat

1ziyārat kā gīt.

jo rabb par bharosā rakhte haiṅ vah koh-e-siyyūn kī mānind haiṅ jo kabhī nahīṅ ḍagmagātā balki abad tak qāim rahatā hai.

2jis tarah yarūshalam pahāṛoṅ se ghirā rahatā hai usī tarah rabb apnī qaum ko ab se abad tak chāroṅ taraf se mahfūz rakhtā hai.

3kyūṅki bedīnoṅ kī rāstbāzoṅ kī mīrās par hukūmat nahīṅ rahegī, aisā na ho ki rāstbāz badkārī karne kī āzmāish meṅ paṛ jāeṅ.

4ai rabb, un se bhalāī kar jo nek haiṅ, jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ.

5lekin jo bhaṭak kar apnī ṭeṛhī-meṛhī rāhoṅ par chalte haiṅ unheṅ rabb badkāroṅ ke sāth ḵẖārij kar de. isrāīl kī salāmatī ho