Zabūr 127

allāh hī hamārā ghar tāmīr kartā hai

1sulemān kā ziyārat kā gīt.

agar rabb ghar ko tāmīr na kare to us par kām karne vāloṅ kī mehanat abas hai. agar rabb shahar kī paharādārī na kare to insānī paharedāroṅ kī nigahbānī abas hai.

2yah bhī abas hai ki tum subah-savere uṭho aur pūre din mehanat-mashaqqat ke sāth rozī kamā kar rāt gae so jāo. kyūṅki jo allāh ko piyāre haiṅ unheṅ vah un kī zarūriyāt un ke sote meṅ pūrī kar detā hai.

3bacche aisī nemat haiṅ jo ham mīrās meṅ rabb se pāte haiṅ, aulād ek ajr hai jo vahī hameṅ detā hai.

4javānī meṅ paidā hue beṭe sūrme ke hāth meṅ tīroṅ kī mānind haiṅ.

5mubārak hai vah ādmī jis kā tarkash un se bharā hai. jab vah shahar ke darvāze par apne dushmanoṅ se jhagṛegā to sharmindā nahīṅ hogā.