Zabūr 129

madad ke liye isrāīl kī duā

1ziyārat kā gīt.

isrāīl kahe, “merī javānī se hī mere dushman bār bār mujh par hamlāāvar hue haiṅ.

2merī javānī se hī vah bār bār mujh par hamlāāvar hue haiṅ. to bhī vah mujh par ġālib na āe.”

3hal chalāne vāloṅ ne merī pīṭh par hal chalā kar us par apnī lambī lambī reghārayāṅ banāī haiṅ.

4rabb rāst hai. us ne bedīnoṅ ke rasse kāṭ kar mujhe āzād kar diyā hai.

5allāh kare ki jitne bhī siyyūn se nafrat rakheṅ vah sharmindā ho kar pīchhe haṭ jāeṅ.

6vah chhatoṅ par kī ghās kī mānind hoṅ jo sahīh taur par baṛhne se pahale hī murjhā jātī hai

7aur jis se na fasal kāṭne vālā apnā hāth, na pūle bāṅdhne vālā apnā bāzū bhar sake.

8jo bhī un se guzre vah na kahe, “rabb tumheṅ barkat de.”

ham rabb kā nām le kar tumheṅ barkat dete haiṅ