Zabūr 130

baṛī musībat se rihāī kī duā (taubā kā chhaṭā zabūr)

1ziyārat kā gīt.

ai rabb, maiṅ tujhe gaharāiyoṅ se pukārtā hūṅ.

2ai rabb, merī āvāz sun! kān lagā kar merī iltijāoṅ par dhyān de!

3ai rabb, agar tū hamāre gunāhoṅ kā hisāb kare to kaun qāim rahegā? koī bhī nahīṅ!

4lekin tujh se muāfī hāsil hotī hai tāki terā ḵẖauf mānā jāe.

5maiṅ rabb ke intizār meṅ hūṅ, merī jān shiddat se intizār kartī hai. maiṅ us ke kalām se ummīd rakhtā hūṅ.

6paharedār jis shiddat se pau phaṭne ke intizār meṅ rahate haiṅ, merī jān us se bhī ziyādā shiddat ke sāth, hāṅ ziyādā shiddat ke sāth rabb kī muntazir rahatī hai.

7ai isrāīl, rabb kī rāh dekhtā rah! kyūṅki rabb ke pās shafqat aur fidyā kā ṭhos band-o-bast hai.

8vah isrāīl ke tamām gunāhoṅ kā fidyā de kar use najāt degā.