Zabūr 139
allāh sab kuchh jāntā aur har jagah maujūd hai
1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.
ai rabb, tū merā muāinā kartā aur mujhe ḵẖūb jāntā hai.
2merā uṭhnā baiṭhnā tujhe mālūm hai, aur tū dūr se hī merī soch samajhtā hai.
3tū mujhe jāṅchtā hai, ḵẖwāh maiṅ rāste meṅ hūṅ yā ārām karūṅ. tū merī tamām rāhoṅ se vāqif hai.
4kyūṅki jab bhī koī bāt merī zabān par āe tū ai rabb pahale hī us kā pūrā ilm rakhtā hai.
5tū mujhe chāroṅ taraf se ghere rakhtā hai, terā hāth mere ūpar hī rahatā hai.
6is kā ilm itnā hairānkun aur azīm hai ki maiṅ ise samajh nahīṅ saktā.
7maiṅ tere rūh se kahāṅ bhāg jāūṅ, tere chihare se kahāṅ farār ho jāūṅ?
8agar āsmān par chaṛh jāūṅ to tū vahāṅ maujūd hai, agar utar kar apnā bistar pātāl meṅ bichhāūṅ to tū vahāṅ bhī hai.
9go maiṅ tulū-e-subah ke paroṅ par uṛ kar samundar kī dūrtarīn hadd par jā basūṅ,
10vahāṅ bhī terā hāth merī qiyādat karegā, vahāṅ bhī terā dahanā hāth mujhe thāme rakhegā.
11agar maiṅ kahūṅ, “tārīkī mujhe chhupā de, aur mere ird-gird kī raushnī rāt meṅ badal jāe,” to bhī koī farq nahīṅ paṛegā.
12tere sāmne tārīkī bhī tārīk nahīṅ hotī, tere huzūr rāt din kī tarah raushan hotī hai balki raushnī aur aṅdherā ek jaise hote haiṅ.
13kyūṅki tū ne merā bātin banāyā hai, tū ne mujhe māṅ ke peṭ meṅ tashkīl diyā hai.
14maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki mujhe jalālī aur mojizānā taur se banāyā gayā hai. tere kām hairat’aṅgez haiṅ, aur merī jān yah ḵẖūb jāntī hai.
15merā ḍhāṅchā tujh se chhupā nahīṅ thā jab mujhe poshīdgī meṅ banāyā gayā, jab mujhe zamīn kī gaharāiyoṅ meṅ tashkīl diyā gayā.
16terī āṅkhoṅ ne mujhe us vaqt dekhā jab mere jism kī shakl abhī nāmukammal thī. jitne bhī din mere liye muqarrar the vah sab terī kitāb meṅ us vaqt darj the, jab ek bhī nahīṅ guzrā thā.
17ai allāh, tere ḵẖayālāt samajhnā mere liye kitnā mushkil hai! un kī kul tādād kitnī azīm hai.
18agar maiṅ unheṅ gin saktā to vah ret se ziyādā hote. maiṅ jāg uṭhtā hūṅ to tere hī sāth hotā hūṅ.
19ai allāh, kāsh tū bedīn ko mār ḍāle, ki ḵẖūṅḵẖār mujh se dūr ho jāeṅ.
20vah fareb se terā zikr karte haiṅ, hāṅ tere muḵẖālif jhūṭ bolte haiṅ.
21ai rabb, kyā maiṅ un se nafrat na karūṅ jo tujh se nafrat karte haiṅ? kyā maiṅ un se ghin na khāūṅ jo tere ḵẖilāf uṭhe haiṅ?
22yaqīnan maiṅ un se saḵẖt nafrat kartā hūṅ. vah mere dushman ban gae haiṅ.
23ai allāh, merā muāinā karke mere dil kā hāl jān le, mujhe jāṅch kar mere bechain ḵẖayālāt ko jān le.
24maiṅ nuqsāndih rāh par to nahīṅ chal rahā? abdī rāh par merī qiyādat kar