Zabūr 140

dushman se rihāī kī duā

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.

ai rabb, mujhe sharīroṅ se chhuṛā aur zālimoṅ se mahfūz rakh.

2dil meṅ vah bure mansūbe bāṅdhte, rozānā jaṅg chheṛte haiṅ.

3un kī zabān sāṁp kī zabān jaisī tez hai, aur un ke hoṅṭoṅ meṅ sāṁp kā zahar hai. (silāh)

4ai rabb, mujhe bedīn ke hāthoṅ se mahfūz rakh, zālim se mujhe bachāe rakh, un se jo mere pāoṅ ko ṭhokar khilāne ke mansūbe bāṅdh rahe haiṅ.

5maġrūroṅ ne mere rāste meṅ phaṅdā aur rasse chhupāe haiṅ, unhoṅ ne jāl bichhā kar rāste ke kināre kināre mujhe pakaṛne ke phaṅde lagāe haiṅ. (silāh)

6maiṅ rabb se kahatā hūṅ, “tū hī merā ḵẖudā hai, merī iltijāoṅ kī āvāz sun!”

7ai rabb qādir-e-mutlaq, ai merī qavī najāt! jaṅg ke din tū apnī ḍhāl se mere sar kī hifāzat kartā hai.

8ai rabb, bedīn kā lālach pūrā na kar. us kā irādā kāmyāb hone na de, aisā na ho ki yah log sarfarāz ho jāeṅ. (silāh)

9unhoṅ ne mujhe gher liyā hai, lekin jo āfat un ke hoṅṭ mujh par lānā chāhate haiṅ vah un ke apne saroṅ par āe!

10dahakte koile un par barseṅ, aur unheṅ āg meṅ, athāh gaṛhoṅ meṅ phaiṅkā jāe tāki āindā kabhī na uṭheṅ.

11tuhamat lagāne vālā mulk meṅ qāim na rahe, aur burāī zālim ko mār mār kar us kā pīchhā kare.

12maiṅ jāntā hūṅ ki rabb adālat meṅ musībatzadā kā difā karegā. vahī zarūratmand kā insāf karegā.

13yaqīnan rāstbāz tere nām kī sitāish kareṅge, aur diyānatdār tere huzūr baseṅge.