Zabūr 141

hifāzat kī guzārish

1dāūd kā zabūr.

ai rabb, maiṅ tujhe pukār rahā hūṅ, mere pās āne meṅ jaldī kar! jab maiṅ tujhe āvāz detā hūṅ to merī faryād par dhyān de!

2merī duā tere huzūr baḵẖūr kī qurbānī kī tarah qabūl ho, mere terī taraf uṭhāe hue hāth shām kī ġallā kī nazar kī tarah manzūr hoṅ.

3ai rabb, mere muṅh par paharā biṭhā, mere hoṅṭoṅ ke darvāze kī nigahbānī kar.

4mere dil ko ġalat bāt kī taraf māil na hone de, aisā na ho ki maiṅ badkāroṅ ke sāth mil kar bure kām meṅ mulavvas ho jāūṅ aur un ke lazīz khānoṅ meṅ shirkat karūṅ.

5rāstbāz shafqat se mujhe māre aur mujhe tambīh kare. merā sar is se inkār nahīṅ karegā, kyūṅki yah us ke liye shifābaḵẖsh tel kī mānind hogā. lekin maiṅ har vaqt sharīroṅ kī harkatoṅ ke ḵẖilāf duā kartā hūṅ.

6jab vah gir kar us chaṭān ke hāth meṅ āeṅge jo un kā munsif hai to vah merī bātoṅ par dhyān deṅge, aur unheṅ samajh āegī ki vah kitnī piyārī haiṅ.

7ai allāh, hamārī haḍḍiyāṅ us zamīn kī mānind haiṅ jis par kisī ne itne zor se hal chalāyā hai ki ḍhele uṛ kar idhar udhar bikhar gae haiṅ. hamārī haḍḍiyāṅ pātāl ke muṅh tak bikhar gaī haiṅ.

8ai rabb qādir-e-mutlaq, merī āṅkheṅ tujh par lagī rahatī haiṅ, aur maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. mujhe maut ke havāle na kar.

9mujhe us jāl se mahfūz rakh jo unhoṅ ne mujhe pakaṛne ke liye bichhāyā hai. mujhe badkāroṅ ke phaṅdoṅ se bachāe rakh.

10bedīn mil kar un ke apne jāloṅ meṅ ulajh jāeṅ jabki maiṅ bach kar āge niklūṅ.