Zabūr 142

saḵẖt musībat meṅ madad kī pukār

1hikmat kā gīt. duā jo dāūd ne kī jab vah ġār meṅ thā.

maiṅ madad ke liye chīḵẖtā chillātā rabb ko pukārtā hūṅ, maiṅ zordār āvāz se rabb se iltijā kartā hūṅ.

2maiṅ apnī āh-o-zārī us ke sāmne uṅḍel detā, apnī tamām musībat us ke huzūr pesh kartā hūṅ.

3jab merī rūh mere andar niḍhāl ho jātī hai to tū hī merī rāh jāntā hai. jis rāste meṅ maiṅ chaltā hūṅ us meṅ logoṅ ne phaṅdā chhupāyā hai.

4maiṅ dahanī taraf nazar ḍāl kar dekhtā hūṅ, lekin koī nahīṅ hai jo merā ḵẖayāl kare. maiṅ bach nahīṅ saktā, koī nahīṅ hai jo merī jān kī fikr kare.

5ai rabb, maiṅ madad ke liye tujhe pukārtā hūṅ. maiṅ kahatā hūṅ, “tū merī panāhgāh aur zindoṅ ke mulk meṅ merā maurūsī hissā hai.”

6merī chīḵẖoṅ par dhyān de, kyūṅki maiṅ bahut past ho gayā hūṅ. mujhe un se chhuṛā jo merā pīchhā kar rahe haiṅ, kyūṅki maiṅ un par qābū nahīṅ pā saktā.

7merī jān ko qaidḵẖāne se nikāl lā tāki tere nām kī sitāish karūṅ. jab tū mere sāth bhalāī karegā to rāstbāz mere ird-gird jamā ho jāeṅge.