Zabūr 143

bachāo aur qiyādat kī guzārish (taubā kā sātvāṅ zabūr)

1dāūd kā zabūr.

ai rabb, merī duā sun, merī iltijāoṅ par dhyān de. apnī vafādārī aur rāstī kī ḵẖātir merī sun!

2apne ḵẖādim ko apnī adālat meṅ na lā, kyūṅki tere huzūr koī bhī jāndār rāstbāz nahīṅ ṭhahar saktā.

3kyūṅki dushman ne merī jān kā pīchhā karke use ḵẖāk meṅ kuchal diyā hai. us ne mujhe un logoṅ kī tarah tārīkī meṅ basā diyā hai jo baṛe arse se murdā haiṅ.

4mere andar merī rūh niḍhāl hai, mere andar merā dil dahshat ke māre behiss-o-harkat ho gayā hai.

5maiṅ qadīm zamāne ke din yād kartā aur tere kāmoṅ par ġaur-o-ḵẖauz kartā hūṅ. jo kuchh tere hāthoṅ ne kiyā us meṅ maiṅ mahav-e-ḵẖayāl rahatā hūṅ.

6maiṅ apne hāth terī taraf uṭhātā hūṅ, merī jān ḵẖushk zamīn kī tarah terī piyāsī hai. (silāh)

7ai rabb, merī sunne meṅ jaldī kar. merī jān to ḵẖatm hone vālī hai. apnā chiharā mujh se chhupāe na rakh, varnā maiṅ gaṛhe meṅ utarne vāloṅ kī mānind ho jāūṅgā.

8subah ke vaqt mujhe apnī shafqat kī ḵẖabar sunā, kyūṅki maiṅ tujh par bharosā rakhtā hūṅ. mujhe vah rāh dikhā jis par mujhe jānā hai, kyūṅki maiṅ terā hī ārzūmand hūṅ.

9ai rabb, mujhe mere dushmanoṅ se chhuṛā, kyūṅki maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ.

10mujhe apnī marzī pūrī karnā sikhā, kyūṅki tū merā ḵẖudā hai. terā nek rūh hamvār zamīn par merī rāhanumāī kare.

11ai rabb, apne nām kī ḵẖātir merī jān ko tāzādam kar. apnī rāstī se merī jān ko musībat se bachā.

12apnī shafqat se mere dushmanoṅ ko halāk kar. jo bhī mujhe taṅg kar rahe haiṅ unheṅ tabāh kar! kyūṅki maiṅ terā ḵẖādim hūṅ.