Zabūr 144

najāt aur ḵẖushhālī kī duā

1dāūd kā zabūr.

rabb merī chaṭān kī hamd ho, jo mere hāthoṅ ko laṛne aur merī uṅgaliyoṅ ko jaṅg karne kī tarbiyat detā hai.

2vah merī shafqat, merā qil’ā, merā najātadihandā aur merī ḍhāl hai. usī meṅ maiṅ panāh letā hūṅ, aur vahī dīgar aqvām ko mere tābe kar detā hai.

3ai rabb, insān kaun hai ki tū us kā ḵẖayāl rakhe? ādamzād kaun hai ki tū us kā lihāz kare?

4insān dam bhar kā hī hai, us ke din tezī se guzarne vāle sāy kī mānind haiṅ.

5ai rabb, apne āsmān ko jhukā kar utar ā! pahāṛoṅ ko chhū tāki vah dhuāṅ chhoṛeṅ.

6bijlī bhej kar unheṅ muntashir kar, apne tīr chalā kar unheṅ darham-barham kar.

7apnā hāth bulandiyoṅ se nīche baṛhā aur mujhe chhuṛā kar pānī kī gaharāiyoṅ aur pardesiyoṅ ke hāth se bachā,

8jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahanā hāth fareb detā hai.

9ai allāh, maiṅ terī tamjīd meṅ nayā gīt gāūṅgā, das tāroṅ kā sitār bajā kar terī madahsarāī karūṅgā.

10kyūṅki tū bādshāhoṅ ko najāt detā aur apne ḵẖādim dāūd ko muhalak talvār se bachātā hai.

11mujhe chhuṛā kar pardesiyoṅ ke hāth se bachā, jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahanā hāth fareb detā hai.

12hamāre beṭe javānī meṅ phalne phūlne vāle paudoṅ kī mānind hoṅ, hamārī beṭiyāṅ mahal ko sajāne ke liye tarāshe hue kone ke satūn kī mānind hoṅ.

13hamāre godām bhare raheṅ aur har qism kī ḵẖurāk muhayyā kareṅ. hamārī bheṛ-bakriyāṅ hamāre maidānoṅ meṅ hazāroṅ balki beshumār bacche janm deṅ.

14hamāre gāy-bail moṭe-tāze hoṅ, aur na koī zāe ho jāe, na kisī ko nuqsān pahuṅche. hamāre chaukoṅ meṅ āh-o-zārī kī āvāz sunāī na de.

15mubārak hai vah qaum jis par yah sab kuchh sādiq ātā hai, mubārak hai vah qaum jis kā ḵẖudā rabb hai