Zabūr 146

allāh kī abdī vafādārī

1rabb kī hamd ho! ai merī jān, rabb kī hamd kar.

2jīte jī maiṅ rabb kī sitāish karūṅgā, umr bhar apne ḵẖudā kī madahsarāī karūṅgā.

3shurfā par bharosā na rakho, na ādamzād par jo najāt nahīṅ de saktā.

4jab us kī rūh nikal jāe to vah dubārā ḵẖāk meṅ mil jātā hai, usī vaqt us ke mansūbe adhūre rah jāte haiṅ.

5mubārak hai vah jis kā sahārā yāqūb kā ḵẖudā hai, jo rabb apne ḵẖudā ke intizār meṅ rahatā hai.

6kyūṅki us ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā hai. vah hameshā tak vafādār hai.

7vah mazlūmoṅ kā insāf kartā aur bhūkoṅ ko roṭī khilātā hai. rabb qaidiyoṅ ko āzād kartā hai.

8rabb aṅdhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kartā aur ḵẖāk meṅ dabe huoṅ ko uṭhā khaṛā kartā hai, rabb rāstbāz ko piyār kartā hai.

9rabb pardesiyoṅ kī dekh-bhāl kartā, yatīmoṅ aur bevāoṅ ko qāim rakhtā hai. lekin vah bedīnoṅ kī rāh ko ṭeṛhā banā kar kāmyāb hone nahīṅ detā.

10rabb abad tak hukūmat karegā. ai siyyūn, terā ḵẖudā pusht-dar-pusht bādshāh rahegā. rabb kī hamd ho.