Zabūr 147
kāināt aur tārīḵẖ meṅ rabb kā band-o-bast
1rabb kī hamd ho! apne ḵẖudā kī madahsarāī karnā kitnā bhalā hai, us kī tamjīd karnā kitnā piyārā aur ḵẖūbsūrat hai.
2rabb yarūshalam ko tāmīr kartā aur isrāīl ke muntashir jilāvatanoṅ ko jamā kartā hai.
3vah dilashikastoṅ ko shifā de kar un ke zaḵẖmoṅ par marham-paṭṭī lagātā hai.
4vah sitāroṅ kī tādād gin letā aur har ek kā nām le kar unheṅ bulātā hai.
5hamārā rabb azīm hai, aur us kī qudrat zabardast hai. us kī hikmat kī koī intihā nahīṅ.
6rabb musībatazadoṅ ko uṭhā khaṛā kartā lekin badkāroṅ ko ḵẖāk meṅ milā detā hai.
7rabb kī tamjīd meṅ shukr kā gīt gāo, hamāre ḵẖudā kī ḵẖushī meṅ sarod bajāo.
8kyūṅki vah āsmān par bādal chhāne detā, zamīn ko bārish muhayyā kartā aur pahāṛoṅ par ghās phūṭne detā hai.
9vah maveshī ko chārā aur kavve ke bacchoṅ ko vah kuchh khilātā hai jo vah shor machā kar māṅgte haiṅ.
10na vah ghoṛe kī tāqat se lutf’andoz hotā, na ādmī kī mazbūt ṭāṅgoṅ se ḵẖush hotā hai.
11rabb un hī se ḵẖush hotā hai jo us kā ḵẖauf mānte aur us kī shafqat ke intizār meṅ rahate haiṅ.
12ai yarūshalam, rabb kī madahsarāī kar! ai siyyūn, apne ḵẖudā kī hamd kar!
13kyūṅki us ne tere darvāzoṅ ke kuṅḍe mazbūt karke tere darmiyān basne vālī aulād ko barkat dī hai.
14vahī tere ilāqe meṅ amn aur sukūn qāim rakhtā aur tujhe behtarīn gandum se ser kartā hai.
15vah apnā farmān zamīn par bhejtā hai to us kā kalām tezī se pahuṅchtā hai.
16vah ūn jaisī barf muhayyā kartā aur pālā rākh kī tarah chāroṅ taraf bikher detā hai.
17vah apne ole kaṅkaroṅ kī tarah zamīn par phaiṅk detā hai. kaun us kī shadīd sardī bardāsht kar saktā hai?
18vah ek bār phir apnā farmān bhejtā hai to barf pighal jātī hai. vah apnī havā chalne detā hai to pānī ṭapakne lagtā hai.
19us ne yāqūb ko apnā kalām sunāyā, isrāīl par apne ahkām aur āīn zāhir kie haiṅ.
20aisā sulūk us ne kisī aur qaum se nahīṅ kiyā. dīgar aqvām to tere ahkām nahīṅ jāntīṅ. rabb kī hamd ho