Zabūr 15
kaun allāh ke huzūr qāim rah saktā hai?
1dāūd kā zabūr.
ai rabb, kaun tere ḵẖaime meṅ ṭhahar saktā hai? kis ko tere muqaddas pahāṛ par rahane kī ijāzat hai?
2vah jis kā chāl-chalan begunāh hai, jo rāstbāz zindagī guzār kar dil se sacch boltā hai.
3aisā shaḵẖs apnī zabān se kisī par tuhamat nahīṅ lagātā. na vah apne paṛosī par ziyādtī kartā, na us kī beizzatī kartā hai.
4vah mardūd ko haqīr jāntā lekin ḵẖudātaras kī izzat kartā hai. jo vādā us ne qasam khā kar kiyā use pūrā kartā hai, ḵẖwāh use kitnā hī nuqsān kyūṅ na pahuṅche.
5vah sūd liye baġair udhār detā hai aur us kī rishvat qabūl nahīṅ kartā jo begunāh kā haq mārnā chāhatā hai. aisā shaḵẖs kabhī ḍāṅvāṅḍol nahīṅ hogā.